ki yakáyak ásmán se aisí áwáz áí, jaise zor kí áṉdhí ká sannáṭá hotá hai, aur us se sárá ghar jaháṉ wuh baiṭhe the, gúṉj gayá. Aur unheṉ ág ke shuʻle kí sí phaṭtí húí zabáneṉ dikháí díṉ; aur un meṉ se har ek par á ṭhahríṉ. Aur wuh sab Rúhuʼl Quds se bhar gaye, aur gair zabáneṉ bolne lage, jis tarah Rúh ne unheṉ bolne kí táqat baḳhshí.