1
Paidáish 3:6
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
‘Aurat ne jo dekhá, ki wuh daraḳht kháne ke liye achchhá, aur áṉkhoṉ ko ḳhushnumá ma‘lúm hotá hai, aur ‘aql baḳhshne ke liye ḳhúb hai, to us ke phal meṉ se liyá, aur kháyá; aur apne shauhar ko bhí diyá, aur us ne kháyá.
Compare
Explore Paidáish 3:6
2
Paidáish 3:1
Aur sáṉp kull dashtí jánwaroṉ se, jin ko ḲHUDáWAND Ḳhudá ne banáyá thá, chálák thá. Aur us ne ‘aurat se kahá, Kyá wáqa‘í Ḳhudá ne kahá hai, ki Bág̣ ke kisí daraḳht ká phal tum na kháná?
Explore Paidáish 3:1
3
Paidáish 3:15
aur maiṉ tere aur ‘aurat ke darmiyán aur terí nasl aur ‘aurat kí nasl ke darmiyán ‘adáwat ḍálúṉgá; wuh tere sir ko kuchlegá, aur tú us kí eṛí par káṭegá.
Explore Paidáish 3:15
4
Paidáish 3:16
Phir us ne ‘aurat se kahá, ki Maiṉ tere dard i haml ko bahut baṛháúṉgá; tú dard ke sáth bachche janegí; aur terí rag̣bat apne shauhar kí taraf hogí, aur wuh tujh par hukúmat karegá.
Explore Paidáish 3:16
5
Paidáish 3:19
tú apne muṉh ke pasíne kí roṭí kháegá, jab tak ki zamín meṉ tú phir lauṭ na jáe; is liye ki tú us se nikálá gayá hai: kyúṉki tú ḳhák hai, aur ḳhák meṉ phir lauṭ jáegá.
Explore Paidáish 3:19
6
Paidáish 3:17
Aur Ádam se us ne kahá, Chúṉki tú ne apní bíwí kí bát mání, aur us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat maiṉ ne tujhe hukm diyá thá, ki Use na kháná: is liye zamín tere sabab se la‘natí húí; mashaqqat ke sáth tú apní ‘umr bhar us kí paidáwár kháegá
Explore Paidáish 3:17
7
Paidáish 3:11
Us ne kahá, Tujhe kis ne batáyá ki tú nangá hai? Kyá tú ne us daraḳht ká phal kháyá, jis kí bábat maiṉ ne tujh ko hukm diyá thá, ki use na kháná?
Explore Paidáish 3:11
8
Paidáish 3:24
Chunáṉchi us ne Ádam ko nikál diyá; aur bág i ‘Adan ke mashriq kí taraf karúbíoṉ ko aur chaugird ghúmnewálí shu‘lazan talwár ko rakkhá, ki wuh zindagí ke daraḳht kí ráh kí hifázat kareṉ.
Explore Paidáish 3:24
9
Paidáish 3:20
Aur Ádam ne apní bíwí ká nám Hawwá rakkhá; is liye ki wuh sab zindoṉ kí máṉ hai.
Explore Paidáish 3:20
Home
Bible
Plans
Videos