Bhāiyo, yih bāt pesh-e-nazar rakh kar apne meṅ se sāt ādmī chun leṅ, jin ke nek kirdār kī āp tasdīq kar sakte haiṅ aur jo Rūhul-quds aur hikmat se māmūr haiṅ. Phir ham unheṅ khānā taqsīm karne kī yih zimmedārī de kar apnā pūrā waqt duā aur kalām kī ḳhidmat meṅ sarf kar sakeṅge.”