1
Yūhannā 13:34-35
Kitab-i Muqaddas
Maiṅ tum ko ek nayā hukm detā hūṅ, yih ki ek dūsre se muhabbat rakho. Jis tarah maiṅ ne tum se muhabbat rakhī usī tarah tum bhī ek dūsre se muhabbat karo. Agar tum ek dūsre se muhabbat rakhoge to sab jān leṅge ki tum mere shāgird ho.”
Compare
Explore Yūhannā 13:34-35
2
Yūhannā 13:14-15
Maiṅ, tumhāre Ḳhudāwand aur ustād ne tumhāre pāṅw dhoe. Is lie ab tumhārā farz bhī hai ki ek dūsre ke pāṅw dhoyā karo. Maiṅ ne tum ko ek namūnā diyā hai tāki tum bhī wuhī karo jo maiṅ ne tumhāre sāth kiyā hai.
Explore Yūhannā 13:14-15
3
Yūhannā 13:7
Īsā ne jawāb diyā, “Is waqt tū nahīṅ samajhtā ki maiṅ kyā kar rahā hūṅ, lekin bād meṅ yih terī samajh meṅ ā jāegā.”
Explore Yūhannā 13:7
4
Yūhannā 13:16
Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ġhulām apne mālik se baṛā nahīṅ hotā, na paiġhambar apne bhejne wāle se.
Explore Yūhannā 13:16
5
Yūhannā 13:17
Agar tum yih jānte ho to is par amal bhī karo, phir hī tum mubārak hoge.
Explore Yūhannā 13:17
6
Yūhannā 13:4-5
Chunāṅche us ne dastarḳhwān se uṭh kar apnā libās utār diyā aur kamr par tauliyā bāndh liyā. Phir wuh bāsan meṅ pānī ḍāl kar shāgirdoṅ ke pāṅw dhone aur bandhe hue tauliyā se poṅchh kar ḳhushk karne lagā.
Explore Yūhannā 13:4-5
Home
Bible
Plans
Videos