1
Yūhannā 19:30
Kitab-i Muqaddas
Yih sirkā pīne ke bād Īsā bol uṭhā, “Kām mukammal ho gayā hai.” Aur sar jhukā kar us ne apnī jān Allāh ke sapurd kar dī.
Compare
Explore Yūhannā 19:30
2
Yūhannā 19:28
Is ke bād jab Īsā ne jān liyā ki merā mishan takmīl tak pahuṅch chukā hai to us ne kahā, “Mujhe pyās lagī hai.” (Is se bhī kalām-e-muqaddas kī ek peshgoī pūrī huī.)
Explore Yūhannā 19:28
3
Yūhannā 19:26-27
Jab Īsā ne apnī māṅ ko us shāgird ke sāth khaṛe dekhā jo use pyārā thā to us ne kahā, “Ai ḳhātūn, dekheṅ āp kā beṭā yih hai.” Aur us shāgird se us ne kahā, “Dekh, terī māṅ yih hai.” Us waqt se us shāgird ne Īsā kī māṅ ko apne ghar rakhā.
Explore Yūhannā 19:26-27
4
Yūhannā 19:33-34
Jab wuh Īsā ke pās āe to unhoṅ ne dekhā ki wuh faut ho chukā hai, is lie unhoṅ ne us kī ṭāṅgeṅ na toṛīṅ. Is ke bajāe ek ne neze se Īsā kā pahlū chhed diyā. Zaḳhm se fauran ḳhūn aur pānī bah niklā.
Explore Yūhannā 19:33-34
5
Yūhannā 19:36-37
Yih yoṅ huā tāki kalām-e-muqaddas kī yih peshgoī pūrī ho jāe, “Us kī ek haḍḍī bhī toṛī nahīṅ jāegī.” Kalām-e-muqaddas meṅ yih bhī likhā hai, “Wuh us par nazar ḍāleṅge jise unhoṅ ne chhedā hai.”
Explore Yūhannā 19:36-37
6
Yūhannā 19:17
Wuh apnī salīb uṭhāe shahr se niklā aur us jagah pahuṅchā jis kā nām Khopaṛī (Arāmī zabān meṅ Gulgutā) thā.
Explore Yūhannā 19:17
7
Yūhannā 19:2
Faujiyoṅ ne kāṅṭedār ṭahniyoṅ kā ek tāj banā kar us ke sar par rakh diyā. Unhoṅ ne use arġhawānī rang kā libās bhī pahnāyā.
Explore Yūhannā 19:2
Home
Bible
Plans
Videos