1
Yūhannā 8:12
Kitab-i Muqaddas
Phir Īsā dubārā logoṅ se muḳhātib huā, “Duniyā kā nūr maiṅ hūṅ. Jo merī pairawī kare wuh tārīkī meṅ nahīṅ chalegā, kyoṅki use zindagī kā nūr hāsil hogā.”
Compare
Explore Yūhannā 8:12
2
Yūhannā 8:32
Phir tum sachchāī ko jān loge aur sachchāī tum ko āzād kar degī.”
Explore Yūhannā 8:32
3
Yūhannā 8:31
Jo Yahūdī us kā yaqīn karte the Īsā ab un se hamkalām huā, “Agar tum merī tālīm ke tābe rahoge tab hī tum mere sachche shāgird hoge.
Explore Yūhannā 8:31
4
Yūhannā 8:36
Is lie agar Farzand tum ko āzād kare to tum haqīqatan āzād hoge.
Explore Yūhannā 8:36
5
Yūhannā 8:7
Jab wuh us se jawāb kā taqāzā karte rahe to wuh khaṛā ho kar un se muḳhātib huā, “Tum meṅ se jis ne kabhī gunāh nahīṅ kiyā, wuh pahlā patthar māre.”
Explore Yūhannā 8:7
6
Yūhannā 8:34
Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki jo bhī gunāh kartā hai wuh gunāh kā ġhulām hai.
Explore Yūhannā 8:34
7
Yūhannā 8:10-11
Phir us ne khaṛe ho kar kahā, “Ai aurat, wuh sab kahāṅ gae. Kyā kisī ne tujh par fatwā nahīṅ lagāyā?” Aurat ne jawāb diyā, “Nahīṅ Ḳhudāwand.” Īsā ne kahā, “Maiṅ bhī tujh par fatwā nahīṅ lagātā. Jā, āindā gunāh na karnā.”
Explore Yūhannā 8:10-11
Home
Bible
Plans
Videos