YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 1

1
1Isráíl ke beṭoṉ ke nám, jo apne apne gharáne ko lekar Ya‘qúb ke sáth Misr meṉ áe, yih haiṉ. 2Rúbin, Shama‘ún, Láwí, Yahúdáh, 3Ishkár, Zabúlún, Binyamín, 4Dán, Naftálí, Jadd, Áshar. 5Aur sab jáneṉ, jo Ya‘qúb ke sulb se paidá húíṉ, sattar thíṉ; aur Yúsuf to Misr meṉ pahle hí se thá. 6Aur Yúsuf, aur us ke sab bháí, aur us pusht ke sab log, mar miṭe. 7Aur Isráíl kí aulád baromand, aur kasíru’t ti‘dád aur firáwán, aur niháyat zoráwar ho gaye; aur wuh mulk un se bhar gayá.
8Tab Misr meṉ ek nayá bádsháh húá, jo Yúsuf ko nahíṉ jántá thá. 9Aur us ne apní qaum ke logoṉ se kahá, Dekho, Isráílí ham se ziyáda aur qawí ho gaye haiṉ. 10So áo, ham un ke sáth hikmat se pesh áeṉ, tá na ho, ki jab wuh âur ziyáda ho jáeṉ, aur us waqt jang chhiṛ jáe, to wuh hamáre dushmanoṉ se milkar ham se laṛeṉ, aur mulk se nikal jáeṉ. 11Is liye unhoṉ ne un par begár lenewále muqarrar kiye, jo un se saḳht kám le lekar un ko satáeṉ. So unhoṉ ne Fir‘aun ke liye zaḳhíra ke shahr Pitom aur Ra‘msís banáe. 12Par unhoṉ ne jitná un ko satáyá, wuh utná hí ziyáda baṛhte aur phailte gaye; is liye wuh log baní Isráíl kí taraf se fikrmand ho gaye. 13Aur Misríoṉ ne baní Isráíl par tashaddud kar karke un se kám karáyá. 14Aur unhoṉ ne un se saḳht mihnat se gárá aur íṉṭ banwá banwákar, aur khet meṉ har qism kí ḳhidmat le lekar un kí zindagí talḳh kí; un kí sab ḳhidmateṉ, jo wuh un se karáte the, tashaddud kí thíṉ.
15Tab Misr ke bádsháh ne ‘Ibrání dáiyoṉ se, jin meṉ ek ká nám Sifrah, aur dúsrí ká Fú‘ah thá, bateṉ kíṉ, 16aur kahá, ki Jab ‘Ibrání ‘auratoṉ ke tum bachche janáo, aur un ko patthar kí baiṭhakoṉ par baiṭhí dekho, to agar beṭá ho, to use már ḍálná, aur agar beṭí ho, to wuh jítí rahe. 17Lekin wuh dáiyáṉ Ḳhudá se ḍartí thíṉ: so unhoṉ ne Misr ke bádsháh ká hukm na máná, balki laṛkoṉ ko jítá chhoṛ detí thíṉ. 18Phir Misr ke bádsháh ne dáiyoṉ ko bulwákar un se kahá, Tum ne aisá kyúṉ kiyá, ki laṛkoṉ ko jítá rahne diyá? 19Dáiyoṉ ne Fir‘aun se kahá, ‘Ibrání ‘aurateṉ Misrí ‘auratoṉ kí tarah nahíṉ haiṉ; wuh aisí mazbút hotí haiṉ, ki dáiyoṉ ke pahuṉchne se pahle hí jankar fárig̣ ho játí haiṉ. 20Pas Ḳhudá ne dáiyoṉ ká bhalá kiyá: aur log baṛhe, aur bahut zabardast ho gaye. 21Aur is sabab se, ki dáiyáṉ Ḳhudá se ḍaríṉ, us ne un ke ghar ábád kar diye. 22Aur Fir‘aun ne apní qaum ke sab logoṉ ko tákídan kahá, ki Un meṉ jo beṭá paidá ho, tum use daryá meṉ ḍál dená; aur jo beṭí ho, use jítá chhoṛná.

Currently Selected:

Ḳhurúj 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in