YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 12

12
1Phir Ḳhudáwand ne mulk i Misr meṉ Músá aur Hárún se kahá, ki 2Yih mahína tumháre liye mahínoṉ ká shurú‘ aur sál ká pahlá mahína ho. 3Pas Isráílíoṉ kí sárí jamá‘at se yih kah do, ki Isí mahíne ke dasweṉ din, har shaḳhs apne ábáí ḳhándán ke mutábiq, ghar píchhe ek barra, le. 4Aur agar kisí ke gharáne meṉ barre ko kháne ke liye ádmí kam hoṉ, to wuh aur us ká hamsáya, jo us ke ghar ke barábar rahtá ho, donoṉ milkar, nafarí ke shumár ke muwáfiq ek barra le rakkheṉ; tum har ek ádmí ke kháne kí miqdár ke mutábiq barre ká hisáb lagáná. 5Tumhárá barra be‘aib, aur yaksála nar ho: aur aisá bachcha yá to bheṛoṉ meṉ se chunkar lená, yá bakriyoṉ meṉ se. 6Aur tum use is mahíne kí chaudahwíṉ tak rakh chhoṛná: aur Isráílíoṉ ke qabíloṉ kí sárí jamá‘at shám ko use zabh kare. 7Aur thoṛá sá ḳhún lekar jin gharoṉ meṉ wuh use kháeṉ un ke darwázoṉ ke donoṉ bázúoṉ aur úpar kí chaukhaṭ par lagá deṉ. 8Aur wuh us ke gosht ko usí rát ág meṉ bhúnkar kaṛwe ság pát ke sáth khá leṉ. 9Use kachchá yá pání meṉ ubálkar hargiz na kháná, balki us ko sir aur páe aur andarúní ‘azá samet ág par bhúnkar kháná. 10Aur us meṉ se kuchh bhí subh tak báqí na chhoṛná, aur agar kuchh us meṉ se subh tak báqí rah jáe to use ág meṉ jalá dená. 11Aur tum use is tarah kháná: apní kamar báṉdhe, aur apní jútiyáṉ pánwoṉ meṉ pahine aur apní láṭhí háth meṉ liye húe; tum use jaldí jaldí kháná, kyúṉki yih fasah Ḳhudáwand kí hai. 12Is liye ki maiṉ us rát mulk i Misr meṉ se hokar guzrúṉgá, aur insán aur haiwán ke sab pahlauṭhoṉ ko jo mulk i Misr meṉ haiṉ, márúṉgá; aur Misr ke sáre deotáoṉ ko bhí sazá dúṉgá. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 13Aur jin gharoṉ meṉ tum ho, un par wuh ḳhún tumhárí taraf se nishán ṭhahregá: aur maiṉ us ḳhún ko dekhkar tum ko chhoṛtá jáúṉgá; aur jab maiṉ Misríoṉ ko márúṉgá, to wabá tumháre pás phaṭakne kí bhí nahíṉ, ki tum ko halák kare. 14Aur wuh din tumháre liye ek yádgár hogá; aur tum us ko Ḳhudáwand kí ‘íd ká din samajhkar mánná. Tum use hamesha kí rasm karke us din ko nasl dar nasl ‘íd ká din mánná. 15Sát din tak tum beḳhamírí roṭí kháná; aur pahle hí din se ḳhamír apne apne ghar se báhar kar dená: is liye ki jo koí, pahle din se sátweṉ din tak, ḳhamírí roṭí kháe, wuh shaḳhs Isráíl meṉ se káṭ ḍálá jáegá. 16Aur pahle din tumhárá muqaddas majma‘ ho; aur sátweṉ din bhí muqaddas majma‘ ho: un donoṉ dinoṉ meṉ koí kám na kiyá jáe, siwá us kháne ke jise har ek ádmí kháe; faqat yihí kiyá jáe. 17Aur tum beḳhamírí roṭí kí yih ‘íd manáná; kyúṉki maiṉ usí din tumháre jathoṉ ko mulk i Misr se nikálúṉgá; is liye tum us din ko, hamesha kí rasm karke nasl dar nasl mánná. 18Pahle mahíne kí chaudahwíṉ táríḳh kí shám se, ikkíswíṉ táríḳh kí shám tak, tum beḳhamírí roṭí kháná. 19Sát din tak tumháre gharoṉ meṉ kuchh bhí ḳhamír na ho; kyúṉki jo koí kisí ḳhamírí chíz ko kháe, wuh ḳhwáh musáfir ho, ḳhwáh us kí paidáish usí mulk kí ho, Isráíl kí jamá‘at se káṭ ḍálá jáegá. 20Tum koí ḳhamírí chíz na kháná, balki apní sab bastiyoṉ meṉ beḳhamírí roṭí kháná.
21Tab Músá ne Isráíl ke sab buzurgoṉ ko bulwákar un ko kahá, ki Apne apne ḳhándán ke mutábiq ek ek barra nikál rakkho, aur yih fasah ká barra zabh karná. 22Aur tum zúfe ká ek guchchhá lekar, us ḳhún meṉ, jo básan meṉ hogá ḍuboná, aur usí básan ke ḳhún meṉ se kuchh úpar kí chaukhaṭ aur darwáze ke donoṉ bázúoṉ par lagá dená; aur tum meṉ se koí subh tak apne ghar ke darwáze se báhar na jáe. 23Kyúṉki Ḳhudáwand Misríoṉ ko mártá húá guzregá; aur jab Ḳhudáwand úpar kí chaukhaṭ aur darwáze ke donoṉ bázúoṉ par ḳhún dekhegá, to wuh us darwáze ko chhoṛ jáegá, aur halák karnewále ko tum ko márne ke liye ghar ke andar áne na degá. 24Aur tum is bát ko apne aur apní aulád ke liye hamesha kí rasm karke mánná. 25Aur jab tum us mulk meṉ, jo Ḳhudáwand tum ko apne wa‘de ke muwáfiq degá, dáḳhil ho jáo, to is ‘ibádat ko barábar járí rakhná. 26Aur jab tumhárí aulád tum se púchhe, ki Is ‘ibádat se tumhárá maqsad kyá hai? 27To tum yih kahná, ki Yih Ḳhudáwand kí fasah kí qurbání hai jo Misr meṉ Misríoṉ ko márte waqt baní Isráíl ke gharoṉ ko chhoṛ gayá aur yúṉ hamáre gharoṉ ko bachá liyá. Tab logoṉ ne sir jhukákar sijda kiyá. 28Aur baní Isráíl ne jákar, jaisá Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún ko farmáyá thá, waisá hí kiyá.
29Aur ádhí rát ko Ḳhudáwand ne mulk i Misr ke sab pahlauṭhoṉ ko, Fir‘aun, jo apne taḳht par baiṭhá thá, us ke pahlauṭhe se lekar, wuh qaidí jo qaidḳháne meṉ thá, us ke pahlauṭhe tak, balki chaupáyoṉ ke pahlauṭhoṉ ko bhí halák kar diyá. 30Aur Fir‘aun aur us ke sab naukar, aur sab Misrí rát hí ko uṭh baiṭhe, aur Misr meṉ baṛá kuhrám machá; kyúṉki ek bhí aisá ghar na thá, jis meṉ koí na mará ho. 31Tab us ne rát hí rát meṉ Músá aur Hárún ko bulwákar kahá, ki Tum baní Isráíl ko lekar merí qaum ke logoṉ meṉ se nikal jáo, aur jaisá kahte ho jákar Ḳhudáwand kí ‘ibádat karo. 32Aur apne kahne ke mutábiq apní bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail bhí lete jáo, aur mere liye bhí du‘á karná. 33Aur Misrí un logoṉ se bajidd hone lage, táki un ko mulk i Misr se jald báhar chaltá kareṉ, kyúṉki wuh samjhe, ki Ham sab mar jáeṉge. 34So in logoṉ ne apne guṉdhe guṉdháe áṭe ko bag̣air ḳhamír diye, laganoṉ samet, kapṛoṉ meṉ báṉdhkar apne kandhoṉ par dhar liyá. 35Aur baní Isráíl ne Músá ke kahne ke muwáfiq yih bhí kiyá, ki Misríoṉ se sone chándí ke zewar aur kapṛe máṉg liye. 36Aur Ḳhudáwand ne un logoṉ ko Misríoṉ kí nigáh meṉ aisí ‘izzat baḳhshí, ki jo kuchh unhoṉ ne máṉgá unhoṉ ne de diyá. So unhoṉ ne Misríoṉ ko lúṭ liyá.
37Aur baní Isráíl ne Ra‘msís se Sukkát tak paidal safar kiyá, aur bál bachchoṉ ko chhoṛkar wuh koí chha lákh mard the. 38Aur un ke sáth ek milá julá guroh bhí gayá, aur bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail aur bahut chaupáye un ke sáth the. 39Aur unhoṉ ne us guṉdhe húe áṭe kí, jise wuh Misr se láe the, beḳhamírí roṭiyáṉ pakáíṉ; kyúṉki wuh us meṉ ḳhamír dene na páe the, is liye ki wuh Misr se aise jabran nikál diye gaye, ki waháṉ ṭhahar na sake, aur na kuchh kháná apne liye taiyár karne páe. 40Aur baní Isráíl ko, Misr meṉ búdobásh karte húe, chár sau tís baras húe the. 41Aur un chár sau tís barasoṉ ke guzar jáne par, ṭhík usí roz Ḳhudáwand ká sárá lashkar mulk i Misr se nikal gayá. 42Yih wuh rát hai jise Ḳhudáwand kí ḳhátir mánná bahut munásib hai, kyúṉki is meṉ wuh un ko mulk i Misr se nikál láyá. Ḳhudáwand kí yih wuhí rát hai, jise lázim hai ki sab baní Isráíl nasl dar nasl ḳhúb máneṉ.
43Phir Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún se kahá, ki Fasah kí rasm yih hai, ki koí begána use kháne na páe. 44Lekin agar koí shaḳhs kisí ká zarḳharíd gulám ho, aur tum logoṉ ne us ká ḳhatna kar diyá ho, to wuh use kháe. 45Par ajnabí aur mazdúr use kháne na páe. 46Aur use ek hí ghar meṉ kháeṉ, ya‘ní us ká zará bhí gosht tum ghar se báhar na le jáná, aur na us kí koí haḍḍí toṛná. 47Isráíl kí sárí jamá‘at is par ‘amal kare. 48Aur agar koí ajnabí tumháre sáth muqím ho, aur Ḳhudáwand kí fasah ko mánná cháhtá ho, to us ke háṉ ke sab mard apná ḳhatna karáeṉ; tab wuh pás ákar fasah kare, yúṉ wuh aisá samjhá jáegá goyá usí mulk kí us kí paidáish hai. Par koí námaḳhtún ádmí use kháne na páe. 49Wataní aur us ajnabí ke liye, jo tumháre bích muqím ho, ek hí sharí‘at hogí. 50Pas sab baní Isráíl ne, jaisá Ḳhudáwand ne Músá aur Hárún ko farmáyá, waisá hí kiyá. 51Aur ṭhík usí roz Ḳhudáwand baní Isráíl ke sab jathoṉ ko mulk i Misr se nikál le gayá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 12: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in