YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 19

19
1Aur baní Isráíl ko jis din mulk i Misr se nikle tín mahíne húe, usí din wuh Síná ke biyábán meṉ áe. 2Aur jab wuh Rafídím se rawána hokar Síná ke biyábán meṉ áe, to biyábán hí meṉ ḍere lagá liye. So wahíṉ paháṛ ke sámne Isráílíoṉ ke ḍere lage. 3Aur Músá us par chaṛhkar Ḳhudá ke pás gayá, aur Ḳhudáwand ne use paháṛ par se pukárkar kahá, ki Tú Ya‘qúb ke ḳhándán se yúṉ kah, aur baní Isráíl ko yih suná de, 4ki Tum ne dekhá, ki maiṉ ne Misríoṉ se kyá kyá kiyá, aur tum ko goyá ‘uqáb ke paroṉ par biṭhákar apne pás le áyá. 5So ab agar tum merí bát máno, aur mere ‘ahd par chalo, to sab qaumoṉ meṉ se tum hí merí ḳháss milkíyat ṭhahroge; kyúṉki sárí zamín merí hai: 6aur tum mere liye káhinoṉ kí ek mamlukat, aur ek muqaddas qaum hoge. In hí bátoṉ ko tú baní Isráíl ko suná dená. 7Tab Músá ne ákar aur un logoṉ ke buzurgoṉ ko bulákar un ke rúbarú wuh sab báteṉ, jo Ḳhudáwand ne use farmáí thíṉ, bayán kíṉ. 8Aur sab logoṉ ne milkar jawáb diyá, ki Jo kuchh Ḳhudáwand ne farmáyá hai, wuh sab ham kareṉge. Aur Músá ne logoṉ ká jawáb Ḳhudáwand ko jákar sunáyá. 9Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Dekh, maiṉ kále bádal meṉ is liye tere pás átá húṉ, ki jab maiṉ tujh se báteṉ karúṉ, to yih log suneṉ aur sadá terá yaqín kareṉ. Aur Músá ne logoṉ kí báteṉ Ḳhudáwand se bayán kíṉ. 10Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Logoṉ ke pás já, aur áj aur kal un ko pák kar, aur wuh apne kapṛe dho len, 11aur tísre dintaiyár raheṉ; kyúṉki Ḳhudáwand tísre din sab logoṉ ke dekhte dekhte koh i Síná par utregá. 12Aur tú logoṉ ke liye chároṉ taraf hadd báṉdhkar un se kah dená, ki Ḳhabardár, tum na to is paháṛ par chaṛhná, aur na is ke dáman ko chhúná. Jo koí paháṛ ko chhúe zarúr ján se már ḍálá jáe: 13magar use koí háth na lagáe; balki wuh lákalám sangsár kiyá jáe, yá tír se chhedá jáe, ḳhwáh wuh insán ho, ḳhwáh haiwán, wuh jítá na chhoṛá jáe; aur jab narsingá der tak phúṉká jáe, to wuh sab paháṛ ke pás á jáeṉ. 14Tab Músá paháṛ par se utarkar logoṉ ke pás gayá, aur us ne logoṉ ko pák sáf kiyá; aur unhoṉ ne apne kapṛe dho liye. 15Aur us ne logoṉ se kahá, ki Tísre din taiyár rahná; aur ‘aurat ke nazdík na jáná. 16Jab tísrá din áyá to subh hote hí bádal garajne, aur bijlí chamakne lagí, aur paháṛ par kálí ghaṭá chhá gayí, aur qarná kí áwáz bahut baland húí; aur sab log ḍeroṉ meṉ káṉp gaye. 17Aur Músá logoṉ ko ḳhaimagáh se báhar láyá, ki Ḳhudá se miláe; aur wuh paháṛ se níche á khaṛe húe. 18Aur koh i Síná úpar se níche tak dhuweṉ se bhar gayá, kyúṉki Ḳhudáwand shu‘le meṉ hokar us par utrá; aur dhuwáṉ tanúr ke dhuweṉ kí tarah úpar ko uṭh rahá thá aur wuh sárá paháṛ zor se hil rahá thá. 19Aur jab qarná kí áwáz niháyat hí baland hotí gayí, to Músá bolne lagá, aur Ḳhudá ne áwáz ke zarí‘e se use jawáb diyá. 20Aur Ḳhudáwand koh i Síná kí choṭí par utrá, aur Ḳhudáwand ne paháṛ kí choṭí par Músá ko buláyá; so Músá úpar chaṛh gayá. 21Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Níche utarkar logoṉ ko tákídan samjhá de, tá aisá na ho ki wuh dekhne ke liye haddoṉ ko toṛkar Ḳhudáwand ke pás á jáeṉ, aur un meṉ se bahutere halák ho jáeṉ. 22Aur káhin bhí, jo Ḳhudáwand ke nazdík áyá karte haiṉ, apne taíṉ pák kareṉ, kahíṉ aisá na ho, ki Ḳhudáwand un par ṭúṭ paṛe. 23Tab Músá ne Ḳhudáwand se kahá, ki Log koh i Síná par nahíṉ chaṛh sakte, kyúṉki tú ne to ham ko tákídan kahá hai, ki Paháṛ ke chaugird haddbandí karke use pák rakkho. 24Ḳhudáwand ne use kahá, Níche utar já, aur Hárún ko apne sáth lekar úpar á: par káhin aur ‘awámm haddeṉ torkar Ḳhudáwand ke pás úpar na áeṉ, tá na ho ki wuh un par ṭúṭ paṛe. 25Chunáṉchi Músá níche utarkar logoṉ ke pás gayá, aur yih báteṉ un ko batáíṉ.

Currently Selected:

Ḳhurúj 19: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in