YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 21

21
1Wuh ahkám, jo tujhe un ko batáne haiṉ, yih haiṉ.
2Agar tú koí ‘Ibrání g̣ulám ḳharíde, to wuh chha baras ḳhidmat kare, aur sátweṉ baras muft ázád hokar chalá jáe. 3Agar wuh akelá áyá ho to akelá hí chalá jáe: aur agar wuh biyáhá ho, to us kí bíwí bhí us ke sáth jáe. 4Agar us ke áqá ne us ká biyáh karáyá ho, aur us ‘aurat ke us se beṭe aur beṭiyáṉ húí hoṉ, to wuh ‘aurat aur us ke bachche us áqá ke hokar raheṉ, aur wuh akelá chalá jáe. 5Par agar wuh g̣ulám sáf kah de, ki Maiṉ apne áqá se aur apní bíwí aur bachchoṉ se mahabbat rakhtá húṉ, maiṉ ázád hokar nahíṉ jáúṉgá, 6to us ká áqá use Ḳhudá ke pás le jáe; aur use darwáze par, yá darwáze kí chaukhaṭ par lákar sutárí se us ká kán chhede; tab wuh hamesha us kí ḳhidmat kartá rahe.
7Aur agar koí shaḳhs apní beṭí ko lauṉḍí hone ke liye bech ḍále, to wuh g̣ulámoṉ kí tarah chalí na jáe. 8Agar us ká áqá, jis ne us se nisbat kí hai, us se ḳhush na ho, to wuh us ká fidiya manzúr kare, par use yih iḳhtiyár na hogá ki us ko kisí ajnabí qaum ke háth beche, kyúṉki us ne us se dag̣ábází kí. 9Aur agar wuh us kí nisbat apne beṭe se kar de, to wuh us se beṭiyoṉ ká sá sulúk kare. 10Agar wuh dúsrí ‘aurat kar le, taubhí wuh us ke kháne kapṛe aur shádí ke farz meṉ qásir na ho. 11Aur agar wuh us se yih tínoṉ báteṉ na kare, to wuh muft, be rupaye diye, chalí jáe.
12Agar koí kisí ádmí ko aisá máre ki wuh mar jáe, to wuh qata‘í ján se márá jáe. 13Par agar wuh shaḳhs ghát lagákar na baiṭhá ho, balki Ḳhudá hí ne use us ke hawále kar diyá ho, to maiṉ aise hál meṉ ek jagah batá dúṉgá, jaháṉ wuh bhág jáe. 14Aur agar koí dída o dánista apne hamsáye par chaṛh áe, táki use makr se már dále to tú use merí qurbángáh se judá kar dená, táki wuh márá jáe.
15Aur jo koí apne báp yá apní máṉ ko máre, wuh qata‘í ján se márá jáe.
16Aur jo koí kisí ádmí ko churáe, ḳhwáh wuh use bech ḍále, ḳhwáh wuh us ke háṉ mile, wuh qata‘í már ḍálá jáe.
17Aur jo apne báp yá apní máṉ par la‘nat kare, wuh qata‘í már ḍálá jáe.
18Aur agar do shaḳhs jhagṛeṉ, aur ek dúsre ko patthar yá mukká máre, aur wuh mare to nahíṉ par bistar par paṛá rahe, 19to jab wuh uṭhkar apní láṭhí ke saháre báhar chalne phirne lage, tab wuh jis ne márá thá, barí ho jáe aur faqat us ká harjána bhar de, aur us ká púrá ‘iláj kará de.
20Aur agar koí apne g̣ulám yá lauṉḍí ko láṭhí se aisá máre ki wuh us ke háth se mar jáe, to use zarúr sazá dí jáe. 21Lekin agar wuh ek do din jítá rahe, to áqá ko sazá na dí jáe; is liye ki wuh g̣ulám us ká mál hai.
22Agar log ápas meṉ márpíṭ kareṉ, aur kisí hámila ko aisí choṭ pahuṉcháeṉ ki use isqát ho jáe, par âur koí nuqsán na ho, to us se jitná jurmána us ká shauhar tajwíz kare liyá jáe, aur wuh jis tarah qází faisala kareṉ, jurmána bhar de. 23Lekin agar nuqsán ho jáe, to tú ján ke badle ján le, 24aur áṉkh ke badle áṉkh, dáṉt ke badle dáṉt, aur háth ke badle háth, páṉw ke badle páṉw, 25jaláne ke badle jaláná, zaḳhm ke badle zaḳhm aur choṭ ke badle choṭ.
26Aur agar koí apne g̣ulám yá apní lauṉḍí kí áṉkh par aisá máre, ki wuh phúṭ jáe, to wuh us kí áṉkh ke badle use ázád kar de. 27Agar koí apne g̣ulám yá apní lauṉḍí ká dáṉt márkar toṛ de, to wuh us ke dáṉt ke badle use ázád kar de.
28Agar bail kisí mard yá ‘aurat ko aisá síṉg máre ki wuh mar jáe, to wuh bail zarúr sangsár kiyá jáe, aur us ká gosht kháyá na jáe; lekin bail ká málik begunáh ṭhahre. 29Par agar us bail kí pahle se síṉg márne kí ‘ádat thí, aur us ke málik ko batá bhí diyá gayá thá, taubhí us ne use báṉdhkar nahíṉ rakkhá, aur us ne kisí mard yá ‘aurat ko már diyá ho, to bail sangsár kiyá jáe, aur us ká málik bhí márá jáe. 30Aur agar us se ḳhúnbahá máṉgá jáe, to use apní ján ke fidiye meṉ jitná us ke liye ṭhahráyá jáe utná hí dená paṛegá. 31Ḳhwah us ne kisí ke beṭe ko márá ho, yá beṭí ko, isí hukm ke muwáfiq us ke sáth ‘amal kiyá jáe. 32Agar bail kisí ke g̣ulám yá lauṉḍí ko síṉg se máre, to málik us g̣ulám yá lauṉḍí ke málik ko tís misqál rupaye de, aur bail sangsár kiyá jáe.
33Aur agar koí ádmí gaṛhá khole yá khode, aur us ká muṉh na ḍháṉpe, aur koí bail yá gadhá us meṉ gir jáe, 34to gaṛhe ká málik is ká nuqsán bhar de, aur un ke málik ko qímat de; aur mare húe jánwar ko ḳhud le le.
35Aur agar kisí ká bail dúsre ke bail ko aisá choṭ pahuṉcháe ki wuh mar jáe, to wuh jíte bail ko becheṉ, aur us ká dám ádhá ádhá ápas meṉ báṉṭ leṉ; aur is mare húe bail ko bhí aise hí báṉṭ leṉ. 36Aur agar ma‘lúm ho jáe, ki us bail kí pahle se síṉg márne kí ‘ádat thí, aur us ke málik ne use báṉdhkar nahíṉ rakkhá, to use qata‘í bail ke badle bail dená hogá, aur wuh mará húá jánwar us ká hogá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 21: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in