YouVersion Logo
Search Icon

Ḳhurúj 28

28
1Aur tú baní Isráíl meṉ se Hárún ko, jo terá bháí hai, aur us ke sáth us ke beṭoṉ ko apne nazdík kar lená, táki Hárún aur us ke beṭe Nadab aur Abíhú aur Ilí‘azar aur Itamar kahánat ke ‘uhde par hokar merí ḳhidmat kareṉ. 2Aur tú apne bháí Hárún ke liye ‘izzat aur zínat ke wáste muqaddas libás baná dená. 3Aur tú un sab raushanzamíroṉ se, jin ko maiṉ ne hikmat kí rúh se bhará hai, kah, ki wuh Hárún ke liye libás banáeṉ, táki wuh muqaddas hokar mere liye káhin kí ḳhidmat ko anjám de. 4Aur jo libás wuh banáeṉge, yih haiṉ: ya‘ní sínaband aur afod, aur jubba, aur chár ḳháne ká kurta, aur ‘amáma, aur kamarband. Wuh tere bháí Hárún aur us ke beṭoṉ ke wáste yih pák libás banáeṉ, táki wuh mere liye káhin kí ḳhidmat ko anjám de. 5Aur wuh soná, aur ásmání, aur arg̣awání, aur surḳh rang ke kapṛe, aur mihín katán leṉ.
6Aur afod sone, aur ásmání, aur arg̣awání, aur surḳh rang ke kapṛoṉ, aur bárík baṭe húe katán ká banáeṉ, jo kisí máhir ustád ke háth ká kám ho. 7Aur wuh is tarah se joṛá jáe ki us ke donoṉ moṉḍhoṉ ke sire ápas meṉ milá diye jáeṉ. 8Aur us ke úpar jo kárígarí se buná húá paṭká us ke báṉdhne ke liye hogá, us par afod kí tarah kám ho, aur wuh usí kapṛe ká ho; aur sone, aur ásmání, aur arg̣awání, aur surḳh rang ke kapṛoṉ, aur bárík baṭe húe katán ká buná húá ho. 9Aur tú do sulaimání patthar lekar un par Isráíl ke beṭoṉ ke nám kanda karáná. 10Un meṉ se chha ke nám to ek patthar par, aur báqíoṉ ke chha nám dúsre patthar par; un kí paidáish kí tartíb ke muwáfiq hoṉ. 11Tú patthar ke kandakár ko lagákar angushtarí ke naqsh kí tarah Isráíl ke beṭoṉ ke nám, un donoṉ pattharoṉ par kanda karáke un ko sone ke ḳhánoṉ meṉ jaṛwáná. 12Aur donoṉ pattharoṉ ko afod ke donoṉ moṉḍhoṉ par lagáná, táki yih patthar Isráíl ke beṭoṉ kí yádgárí ke liye hoṉ; aur Hárúṉ un ke nám Ḳhudáwand ke rúbarú apne donoṉ kandhoṉ par yádgárí ke liye lagáe rahe.
13Aur tú sone ke ḳháne banáná. 14Aur ḳhális sone kí do zanjíreṉ ḍorí kí tarah gundhí húí banáná; aur in gundhí húí zanjíroṉ ko ḳhánoṉ meṉ jaṛ dená. 15Aur ‘adl ká sínaband kisí máhir ustád se banwáná, aur afod kí tarah sone, aur ásmání, aur arg̣awání, aur surḳh rang ke kapṛoṉ, aur bárík baṭe húe katán ká banwáná. 16Wuh chaukhúṉṭá aur duhrá ho; us kí lambáí ek bálisht, aur chauṛáí bhí ek hí bálisht ho. 17Aur chár qatároṉ meṉ us par jawáhir jaṛná. Pahlí qatár meṉ yáqút i surḳh, aur pukhráj, aur gauhar i shabchirág̣ ho. 18Dúsrí qatár meṉ zumurrud, aur nílam, aur hírá. 19Tísrí qatár meṉ lasham, aur yashm, aur yáqút. 20Chauthí qatár meṉ fíroza, aur sang i sulaimání, aur zabarjad. Yih sab sone ke ḳhánoṉ meṉ jaṛe jáeṉ. 21Yih jawáhir Isráíl ke beṭoṉ ke námoṉ ke mutábiq shumár meṉ bárah hoṉ; aur angushtarí ke naqsh kí tarah yih nám, jo bárah qabíloṉ ke nám hoṉge, un par kanda kiye jáeṉ. 22Aur tú sínaband par ḍorí kí tarah gundhí húí ḳhális sone kí do zanjíreṉ lagáná. 23Aur sínaband ke liye sone ke do halqe banákar un ko sínaband ke donoṉ siroṉ par lagáná. 24Aur sone kí donoṉ gundhí húí zanjíroṉ ko un donoṉ halqon meṉ, jo sínaband ke donoṉ siroṉ par hoṉge, lagá dená. 25Aur donoṉ gundhí húí zanjíroṉ ke báqí donoṉ siroṉ ko donoṉ pattharoṉ ke ḳhánoṉ meṉ jaṛkar un ko afod ke donoṉ moṉḍhoṉ par sámne kí taraf lagá dená. 26Aur sone ke âur do halqe banákar un ko sínaband ke donoṉ siroṉ ke, us háshiye meṉ lagáná, jo afod ke andar kí taraf hai. 27Phir sone ke do halqe âur banákar un ko afod ke donoṉ moṉḍhoṉ ke níche, us ke agle hisse meṉ lagáná, jaháṉ afod joṛá jáegá, táki wuh afod ke kárígarí se bune húe paṭke ke úpar rahe. 28Aur wuh sínaband ko lekar us ke halqoṉ ko ek níle fíte se báṉdh deṉ, táki yih sínaband afod ke kárígarí se bune húe paṭke ke úpar bhí rahe, aur afod se bhí alag na hone páe. 29Aur Hárún Isráíl ke beṭoṉ ke nám ‘adl ke sínaband par apne síne par pák maqám meṉ dáḳhil hone ke waqt, Ḳhudáwand ke rúbarú lagáe rahe, táki hamesha un kí yádgárí húá kare. 30Aur tú ‘adl ke sínaband meṉ Urím aur Tummím ko rakhná, aur jab Hárún Ḳhudáwand ke huzúr jáe, to yih us ke dil ke úpar hoṉ. Yúṉ Hárún baní Isráíl ke faisale ko apne dil ke úpar Ḳhudáwand ke rúbarú hamesha liye rahegá.
31Aur afod ká jubba bi’lkull ásmání rang ká banáná. 32Aur us ká girebán bích meṉ ho, aur zirah ke girebán kí tarah us ke girebán ke girdágird buní húí goṭ ho, táki wuh phaṭne na páe. 33Aur us ke dáman ke gher meṉ chároṉ taraf ásmání, arg̣awání, aur surḳh rang ke anár banáná, aur un ke darmiyán chároṉ taraf sone kí ghanṭiyáṉ lagáná. 34Ya‘ní jubbe ke dáman ke púre gher meṉ ek sone kí ghanṭí ho, aur us ke ba‘d anár; phir ek sone kí ghanṭí ho, aur us ke ba‘d anár. 35Is jubbe ko Hárún ḳhidmat ke waqt pahiná kare, táki jab jab wuh pák maqám ke andar Ḳhudáwand ke huzúr jáe, yá waháṉ se nikle, to us kí áwáz sunáí de, tá aisá na ho ki wuh mar jáe.
36Aur ḳhális sone ká ek patthar banákar us par angushtarí ke naqsh kí tarah yih kanda karná, Ḳhudáwand Ke Liye Muqaddas. 37Aur use níle fíte se báṉdhná, táki wuh ‘amáme par, ya‘ní ‘amáme ke sámne ke hisse par ho. 38Aur yih Hárún kí peshání par rahe, táki jo kuchh baní Isráíl apne pák hadyoṉ ke zarí‘e se muqaddas ṭhahráeṉ, un muqaddas ṭhahráí húí chízoṉ kí badí Hárún uṭháe, aur yih us kí peshání par hamesha rahe, táki wuh Ḳhudáwand ke huzúr maqbúl hoṉ. 39Aur kurta bárík katán ká buná húá aur chár ḳháne ká ho; aur ‘amáma bhí bárík katán hí ká banáná; aur ek kamarband banáná, jis par bel búṭe kaṛhe hoṉ. 40Aur Hárún ke beṭoṉ ke liye kurte banáná; aur ‘izzat aur zínat ke wáste un ke liye kamarband aur pagṛiyáṉ banáná. 41Aur tú yih sab apne bháí Hárún aur us ke sáth us ke beṭoṉ ko pahináná; aur un ko masah aur maḳhsús aur muqaddas karná, táki wuh sab mere liye káhin kí ḳhidmat ko anjám deṉ. 42Aur tú un ke liye katán ke pájáme baná dená, táki un ká badan ḍhaká rahe; yih kamar se rán tak ke hoṉ. 43Aur Hárún aur us ke beṭe jab jab ḳhaima e ijtimá‘ meṉ dáḳhil hoṉ, yá ḳhidmat karne ko pák makán ke andar qurbángáh ke nazdík jáeṉ, un ko pahiná kareṉ, tá aisá na ho ki gunahgár ṭhahreṉ aur mar jáeṉ. Yih dastúru’l ‘amal us ke aur us kí nasl ke liye hamesha rahegá.

Currently Selected:

Ḳhurúj 28: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in