YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 28

28
1Tab Izháq ne Ya‘qúb ko buláyá, aur use du‘á dí, aur use tákíd kí, ki Tú Kan‘ání laṛkiyoṉ meṉ se kisí se biyáh na karná. 2Tú uṭhkar Faddán Arám ko apne náná Baitúel ke ghar já; aur waháṉ se apne mámúṉ Lában kí beṭiyoṉ meṉ se ek ko biyáh lá. 3Aur Qádir i mutlaq Ḳhudá tujhe barakat baḳhshe, aur tujhe baromand kare, aur baṛháe, ki tujh se qaumoṉ ke jathe paidá hoṉ. 4Aur wuh Abrahám kí barakat tujhe aur tere sáth terí nasl ko de, ki terí musáfarat kí yih sarzamín, jo Ḳhudá ne Abrahám ko dí, terí mírás ho jáe. 5So Izháq ne Ya‘qúb ko ruḳhsat kiyá, aur wuh Faddán Arám meṉ Lában ke pás, jo Arámí Baitúel ká beṭá, aur Ya‘qúb aur ‘Esau kí máṉ Ribqah ká bháí thá, gayá. 6Pas jab ‘Esau ne dekhá ki Izháq ne Ya‘qúb ko du‘á dekar use Faddán Arám ko bhejá hai táki wuh waháṉ se bíwí biyáh kar láe, aur use du‘á dete waqt yih tákíd bhí kí hai, ki Tú Kan‘ání laṛkiyoṉ meṉ se kisí se biyáh na karná, 7aur Ya‘qúb apne máṉ báp kí bát mánkar Faddán Arám ko chalá gayá; 8aur ‘Esau ne yih bhí dekhá, ki Kan‘ání laṛkiyáṉ us ke báp Izháq ko burí lagtí haiṉ, 9to ‘Esau Ismá‘íl ke pás gayá, aur Mahalat ko, jo Ismá‘íl bin Abrahám kí beṭí, aur Nabáyot kí bahin thí, biyáhkar use apní âur bíwíoṉ meṉ shámil kiyá.
10Aur Ya‘qúb Baírsaba‘ se nikalkar Harán kí taraf chalá, 11aur ek jagah pahuṉchkar sárí rát wahíṉ rahá; kyúṉki súraj ḍúb gayá thá: aur us ne us jagah ke pattharoṉ meṉ se ek uṭhákar apne sarháne dhar liyá, aur usí jagah sone ko leṭ gayá. 12Aur ḳhwáb meṉ kyá dekhtá hai, ki ek síṛhí zamín par khaṛí hai, aur us ká sir ásmán tak pahuṉchá húá hai; aur Ḳhudá ke firishte us par se chaṛhte utarte haiṉ. 13Aur Ḳhudáwand us ke úpar khaṛá kah rahá hai, ki Maiṉ Ḳhudáwand, tere báp Abrahám ká Ḳhudá, aur Izháq ká Ḳhudá húṉ: maiṉ yih zamín, jis par tú leṭá hai, tujhe aur terí nasl ko dúṉgá: 14aur terí nasl zamín kí gard ke zarroṉ kí mánind hogí, aur tú mashriq aur mag̣rib aur shimál aur junúb meṉ phail jáegá, aur zamín ke sab qabíle tere aur terí nasl ke wasíle se barakat páeṉge. 15Aur dekh, maiṉ tere sáth húṉ, aur har jagah, jaháṉ kahíṉ tú jáe, terí hifázat karúṉgá, aur tujh ko is mulk meṉ phir láúṉgá; aur jo maiṉ ne tujh se kahá hai, jab tak use púrá na kar lúṉ, tujhe nahíṉ chhoṛúṉgá. 16Tab Ya‘qúb jág uṭhá aur kahne lagá, ki Yaqínan Ḳhudáwand is jagah hai, aur mujhe ma‘lúm na thá. 17Aur us ne ḍarkar kahá, Yih kaisí bhayának jagah hai; so yih Ḳhudá ke ghar aur ásmán ke ástáne ke siwá âur kuchh na hogá. 18Aur Ya‘qúb subh sawere uṭhá, aur us patthar ko, jise us ne apne sarháne dhará thá, lekar sutún kí tarah khaṛá kiyá, aur us ke sire par tel ḍálá. 19Aur us jagah ká nam Baitel rakkhá; lekin pahle us bastí ká nám Lúz thá. 20Aur Ya‘qúb ne mannat mání, aur kahá, ki Agar Ḳhudá mere sáth rahe, aur jo safar maiṉ kar rahá húṉ us meṉ merí hifázat kare, aur mujhe kháne ko roṭí, aur pahinne ko kapṛá detá rahe, 21aur maiṉ apne báp ke ghar salámat lauṭ áúṉ, to Ḳhudáwand merá Ḳhudá hogá: 22aur yih patthar, jo maiṉ ne sutún sá khaṛá kiyá hai Ḳhudá ká ghar hogá; aur jo kuchh tú mujhe de us ká daswáṉ hissa zarúr hí tujhe diyá karúṉgá.

Currently Selected:

Paidáish 28: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in