YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 35

35
1Aur Ḳhudá ne Ya‘qúb se kahá, ki Uṭh, Baitel ko já, aur wahíṉ rah; aur waháṉ Ḳhudá ke liye, jo tujhe us waqt dikháí diyá, jab tú apne bháí ‘Esau ke pás se bhágá já rahá thá, ek mazbah baná. 2Tab Ya‘qúb ne apne gharáne aur apne sab sáthíoṉ se kahá, ki Begána deotáoṉ ko, jo tumháre darmiyán haiṉ, dúr karo, aur tihárat karke apne kapṛe badal ḍálo. 3Aur áo, ham rawána hoṉ, aur Baitel ko jáeṉ; waháṉ maiṉ Ḳhudá ke liye, jis ne merí tangí ke din merí du‘á qubúl kí, aur jis ráh meṉ maiṉ chalá, mere sáth rahá, mazbah banáúṉgá. 4Tab unhoṉ ne sab begána deotáoṉ ko, jo un ke pás the, aur mundroṉ ko, jo un ke kánoṉ meṉ the, Ya‘qúb ko de diyá; aur Ya‘qúb ne un ko us balút ke daraḳht ke níche, jo Sikm ke nazdík thá, dabá diyá. 5Aur unhoṉ ne kúch kiyá: aur un ke ás pás ke shahroṉ par aisá baṛá ḳhauf chháyá húá thá ki unhoṉ ne Ya‘qúb ke beṭoṉ ká píchhá na kiyá. 6Aur Ya‘qúb un sab logoṉ samet jo us ke sáth the, Lúz pahuṉchá. Baitel yihí hai, aur mulk i Kan‘án meṉ hai. 7Aur us ne waháṉ mazbah banáyá, aur us maqám ká nám El Baitel rakkhá; kyúṉki jab wuh apne bháí ke pás se bhágá já rahá thá to Ḳhudá wahíṉ us par záhir húá thá. 8Aur Ribqah kí dáya Daborah mar gayí, aur wuh Baitel kí utaráí meṉ balút ke daraḳht ke níche dafn húí: aur us balút ká nám Allon Bakút rakkhá gayá.
9Aur Ya‘qúb ke Faddán Arám se áne ke ba‘d Ḳhudá use phir dikháí diyá, aur use barakat baḳhshí. 10Aur Ḳhudá ne use kahá, ki Terá nám Ya‘qúb hai: terá nám áge ko Ya‘qúb na kahláegá, balki terá nám Isráíl hogá: so us ne us ká nám Isráíl rakkhá. 11Phir Ḳhudá ne use kahá, ki Maiṉ Ḳhudá e Qádir i mutlaq húṉ: tú baromand ho, aur bahut ho já; tujh se ek qaum, balki qaumoṉ ke jathe, paidá hoṉge, aur bádsháh terí sulb se nikleṉge; 12aur yih mulk, jo maiṉ ne Abrahám aur Izháq ko diyá hai, so tujh ko dúṉgá, aur tere ba‘d terí nasl ko bhí yihí mulk dúṉgá. 13Aur Ḳhudá jis jagah us se hamkalám húá, wahíṉ se us ke pás se úpar chalá gayá. 14Tab Ya‘qúb ne us jagah, jaháṉ wuh us se hamkalám húá, patthar ká ek sutún khaṛá kiyá, aur us par tapáwan kiyá, aur tel ḍálá. 15Aur Ya‘qúb ne us maqám ká nám, jaháṉ Ḳhudá us se hamkalám húá, Baitel rakkhá. 16Aur wuh Baitel se chale aur Ifrát thoṛí hí dúr rah gayá thá ki Ráḳhil ke dard i zih lagá; aur waza‘ e haml meṉ niháyat diqqat húí. 17Aur jab wuh saḳht dard meṉ mubtalá thí to dáí ne us se kahá, Ḍar mat; ab ke bhí tere beṭá hí hogá. 18Aur yúṉ húá, ki us ne marte marte us ká nám Bin-úní rakkhá; aur mar gayí; par us ke báp ne us ká nám Binyamín rakkhá. 19Aur Ráḳhil mar gayí, aur Ifrát ya‘ní Baitlahm ke ráste meṉ dafn húí. 20Aur Ya‘qúb ne us kí qabr par ek sutún khaṛá kar diyá: Ráḳhil kí qabr ká yih sutún áj tak maujúd hai. 21Aur Isráíl áge baṛhá aur ‘Adr ke burj kí parlí taraf apná ḍerá lagáyá. 22Aur Isráíl ke us mulk meṉ rahte húe yúṉ húá, ki Rúbin ne jákar apne báp kí haram Bilháh se mubásharat kí, aur Isráíl ko yih ma‘lúm ho gayá.
Us waqt Ya‘qúb ke bárah beṭe the. 23Leáh ke beṭe yih the; Rúbin, Ya‘qúb ká pahlauṭhá, aur Shama‘ún, aur Láwí, aur Yahúdáh, aur Ishkár, aur Zabúlún. 24Aur Ráḳhil ke beṭe Yúsuf aur Binyamín the. 25Aur Ráḳhil kí lauṉḍí Bilháh ke beṭe Dán aur Naftálí the. 26Aur Leáh kí lauṉḍí Zilfah ke beṭe Jadd aur Áshar the. Yih sab Ya‘qúb ke beṭe haiṉ, jo Faddán Arám meṉ paidá húe. 27Aur Ya‘qúb Mamre meṉ, jo Qaryat Arba‘, ya‘ní Habrún hai, jaháṉ Abrahám aur Izháq ne ḍerá kiyá thá, apne báp Izháq ke pás áyá. 28Aur Izháq ek sau assí baras ká húá. 29Tab Izháq ne dam chhoṛ diyá aur wafát páí aur búṛhá aur púrí ‘umr ká hokar apne logoṉ meṉ já milá: aur us ke beṭoṉ ‘Esau aur Ya‘qúb ne use dafn kiyá.

Currently Selected:

Paidáish 35: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in