YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 46

46
1Aur Isráíl apná sab kuchh lekar chalá, aur Baírsaba‘ meṉ ákar apne báp Izháq ke Ḳhudá ke liye qurbáníáṉ guzráníṉ. 2Aur Ḳhudá ne rát ko royá meṉ Isráíl se báteṉ kíṉ, aur kahá, Ai Ya‘qúb, ai Ya‘qúb! Us ne jawáb diyá, Maiṉ házir húṉ. 3Us ne kahá, Maiṉ Ḳhudá, tere báp ká Ḳhudá húṉ; Misr meṉ jáne se na ḍar, kyúṉki maiṉ waháṉ tujh se ek baṛí qaum paidá karúṉgá. 4Maiṉ tere sáth Misr ko jáúṉgá; aur phir tujhe zarúr lauṭá bhí láúṉgá, aur Yúsuf apná háth terí áṉkhoṉ par lagáegá. 5Tab Ya‘qúb Baírsaba‘ se rawána húá, aur Isráíl ke beṭe apne báp Ya‘qúb ko, aur apne bál bachchoṉ, aur apní bíwiyoṉ ko un gáṛiyoṉ par le gaye jo Fir‘aun ne un ke láne ko bhejí thíṉ. 6Aur wuh apne chaupáyoṉ aur sáre mál o asbáb ko jo unhoṉ ne mulk i Kan‘án meṉ jama‘ kiyá thá lekar Misr meṉ áe; aur Yaq‘úb ke sáth us kí sárí aulád thí. 7Wuh apne beṭoṉ aur beṭiyoṉ aur potoṉ aur potiyoṉ, g̣araz apní kull nasl ko, apne sáth Misr meṉ le áyá.
8Aur Ya‘qúb ke sáth jo Isráílí, ya‘ní us ke beṭe wag̣aira, Misr meṉ áe, un ke nám yih haiṉ: Rúbin, Ya‘qúb ká pahlauṭhá. 9Aur baní Rúbin yih haiṉ: Hanúk, aur Fallú, aur Hasron, aur Karmí. 10Aur baní Shama‘ún yih haiṉ: Yamúel, aur Yamín, aur Ahad, aur Yakín, aur Suhr, aur Sáúl jo ek Kan‘ání ‘aurat se paidá húá thá. 11Aur baní Láwí yih haiṉ: Jairson, aur Qihát, aur Mirárí. 12Aur baní Yahúdáh yih haiṉ: ‘Er, aur Onán, aur Selah, aur Fáras, aur Zárah. In meṉ se ‘Er aur Onán mulk i Kan‘án meṉ mar chuke the. Aur Fáras ke beṭe yih haiṉ: Hasron, aur Hamúl. 13Aur baní Ishkár yih haiṉ: Tola‘, aur Fuwah, aur Yob, aur Simron. 14Aur baní Zabúlún yih haiṉ: Sarad, aur Ailon, aur Yahalíel. 15Yih sab Ya‘qúb ke un beṭoṉ kí aulád haiṉ, jo Faddán Arám meṉ Leáh se paidá húe. Isí ke batn se us kí beṭí Dínah thí. Yaháṉ tak to us ke sáre beṭe beṭiyoṉ ká shumár teṉtís húá. 16Baní Jadd yih haiṉ: Safiyán, aur Hají, aur Súní, aur Asbán, aur ‘Erí, aur Arúdí, aur Arelí. 17Aur baní Áshar yih haiṉ: Yimnah, aur Iswáh, aur Iswí, aur Barí‘áh, aur Sirah un kí bahin. Aur baní Barí‘áh yih haiṉ: Hibr, aur Malkíel. 18Yih sab Ya‘qúb ke un beṭoṉ kí aulád haiṉ jo Zilfah lauṉḍí se paidá húe, jise Lában ne apní beṭí Leáh ko diyá thá. Un ká shumár solah thá. 19Aur Ya‘qúb ke beṭe Yúsuf aur Binyamín Ráḳhil se paidá húe the. 20Aur Yúsuf se mulk i Misr meṉ On ke pujárí Fotífira‘ kí beṭí Ásináth ke Munassí aur Ifráím paidá hué. 21Aur baní Binyamín yih haiṉ: Bála‘, aur Bakr, aur Ashbel, aur Jirá, aur Na‘mán, Aḳhí, aur Ros, Muffím, aur Huffím, aur Arad. 22Yih sab Ya‘qúb ke un beṭoṉ kí aulád haiṉ, jo Ráḳhil se paidá húe. Yih sab shumár meṉ chaudah the. 23Aur Dán ke beṭe ká nám Hashím thá. 24Aur baní Naftálí yih haiṉ: Yahasíel, aur Júní, aur Yisr, aur Salím. 25Yih sab Ya‘qúb ke un beṭoṉ kí aulád haiṉ, jo Bilháh lauṉḍí se paidá húe, jise Lában ne apní betí Ráḳhil ko diyá thá. In ká shumár sát thá. 26Ya‘qúb ke sulb se, jo log paidá húe aur us ke sáth Misr meṉ áe, wuh us kí bahúoṉ ko chhoṛkar shumár meṉ chhiyásaṭh the. 27Aur Yúsuf ke do beṭe the, jo Misr meṉ paidá húe: so Ya‘qúb ke gharáne ke jo log Misr meṉ áe wuh sab milkar sattar húe.
28Aur us ne Yahúdáh ko apne se áge Yúsuf ke pás bhejá, táki wuh use Jashan ká rásta dikháe; aur wuh Jashan ke ‘iláqe meṉ áe. 29Aur Yúsuf apná rath taiyár karwáke apne báp Isráíl ke istiqbál ke liye Jashan ko gayá, aur us ke pás jákar us ke gale se lipaṭ gayá aur wahíṉ lipṭá húá der tak rotá rahá. 30Tab Isráíl ne Yúsuf se kahá, Ab cháhe maiṉ mar jáúṉ, kyúṉki terá muṉh dekh chuká ki tú abhí jítá hai. 31Aur Yúsuf ne apne bháiyoṉ se aur apne báp ke gharáne se kahá, Maiṉ abhí jákar Fir‘aun ko ḳhabar kar dúṉgá aur us se kah dúṉgá, ki Mere bháí aur mere báp ke gharáne ke log, jo mulk i Kan‘án meṉ the, mere pás á gaye haiṉ. 32Aur wuh chaupán haiṉ; kyúṉki barábar chaupáyoṉ ko pálte áe haiṉ, aur wuh apní bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail aur jo kuchh un ká hai sab le áe haiṉ. 33Pas jab Fir‘aun tum ko bulákar púchhe, ki Tumhárá pesha kyá hai? 34to tum yih kahná, ki Tere ḳhádim, ham bhí aur hamáre bápdádá bhí, laṛakpan se lekar áj tak chaupáye pálte áe haiṉ. Tab tum Jashan ke ‘iláqe meṉ rah sakoge; is liye ki Misríoṉ ko chaupánoṉ se nafrat hai.

Currently Selected:

Paidáish 46: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in