YouVersion Logo
Search Icon

Yúhanná 14

14
1Tumhárá dil na ghabráe; tum Ḳhudá par ímán rakhte ho, mujh par bhí ímán rakkho. 2Mere Báp ke ghar meṉ bahut se makán haiṉ; agar na hote, to maiṉ tum se kah detá; kyúṉki maiṉ játá húṉ, táki tumháre liye jagah taiyár karúṉ. 3Aur agar maiṉ jákar tumháre liye jagah taiyár karúṉ, to phir ákar tumheṉ apne sáth le lúṉgá, táki jaháṉ maiṉ húṉ, tum bhí ho. 4Aur jaháṉ maiṉ játá húṉ, tum waháṉ kí ráh jánte ho. 5Tomá ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, ham nahíṉ jánte ki tú kaháṉ játá hai; phir ráh kis tarah jáneṉ? 6Yisúʻ ne us se kahá, ki Ráh, aur Haqq, aur Zindagí maiṉ húṉ; koí mere wasíle ke bagair Báp ke pás nahíṉ átá. 7Agar tum ne mujhe jáná hotá, to mere Báp ko bhí jánte; ab use jánte ho, aur dekh liyá hai. 8Filippus ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, Báp ko hameṉ dikhá; yihí hameṉ káfí hai. 9Yisúʻ ne us se kahá; Ai Filippus, maiṉ itní muddat se tumháre sath húṉ; kyá tú mujhe nahíṉ jántá? Jis ne mujhe dekhá, us ne Báp ko dekhá; tú kyúṉkar kahtá hai, ki Báp ko hameṉ dikhá? 10Kyá tú yaqín nahíṉ kartá, ki maiṉ Báp meṉ húṉ, aur Báp mujh meṉ hai? Yih báteṉ jo maiṉ tum se kahtá húṉ, apní taraf se nahíṉ kahtá: lekin Báp mujh meṉ rahkar apne kám kartá hai. 11Merá yaqín karo, ki maiṉ Báp meṉ húṉ, aur Báp mujh meṉ; nahíṉ to mere kámoṉ hí ke sabab merá yaqín karo. 12Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo mujh par ímán rakhtá hai, yíh kám jo maiṉ kartá húṉ, wuh bhí karegá; balki in se bhí baṛe kám karegá; kyúṉki maiṉ Báp ke pás játá húṉ. 13Aur jo kuchh tum mere nám se cháhoge, maiṉ wuhí karúṉgá, táki Báp Beṭe meṉ jalál páe. 14Agar mere nám se mujh se kuchh cháhoge, to maiṉ wuhí karúṉgá. 15Agar tum mujh se mahabbat rakhte ho, to mere hukmoṉ par ʻamal karoge; 16aur maiṉ Báp se darḳhwást karúṉgá, to wuh tumheṉ dúsrá Madadgár baḳhshegá, ki abad tak tumháre sath rahe, 17yaʻní sachcháí kí Rúh, jise dunyá hásil nahíṉ kar saktí, kyúṉki na use dekhtí, aur na jántí hai: tum use jánte ho; kyúṉki wuh tumháre sáth rahtí hai, aur tumháre andar hogí. 18Maiṉ tumheṉ yatím na chhoṛúṉgá; maiṉ tumháre pás áúṉgá. 19Thoṛí der báqí hai, ki dunyá mujhe phir na dekhegí; magar tum mujhe dekhte rahoge: chúṉki maiṉ jítá húṉ, tum bhí jíte rahoge. 20Us roz tum jánoge ki maiṉ apne Báp meṉ húṉ, aur tum mujh meṉ, aur maiṉ tum meṉ. 21Jis ke pás mere hukm haiṉ, aur wuh un par ʻamal kartá hai, wuhí mujh se mahabbat rakhtá hai; aur jo mujh se mahabbat rakhtá hai, wuh mere Báp ká piyárá hogá, aur maiṉ us se mahabbat rakkhúṉgá, aur apne áp ko us par záhir karúṉgá. 22Us Yahúdáh ne, jo Iskariyotí na thá, us se kahá; Ai Ḳhudáwand, kyá húá, kí tú apne áp ko ham par to záhir kiyá cháhtá hai, magar dunyá par nahíṉ? 23Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Agar koí mujh se mahabbat rakkhe, to wuh mere kalám par ʻamal karegá, aur merá Báp us se mahabbat rakkhegá, aur ham us ke pás áeṉge aur us ke sáth sukúnat kareṉge. 24Jo mujh se mahabbat nahíṉ rakhtá, wuh mere kalám par ʻamal nahíṉ kartá; aur jo kalám tum sunte ho, wuh merá nahíṉ, balki Báp ká hai, jis ne mujhe bhejá. 25Maiṉ ne yih báteṉ tumháre sáth rahkar tum se kahíṉ. 26Lekin Madadgár, yaʻní Rúhuʼl Quds, jise Báp mere nám se bhejegá, wuhí tumheṉ sab báteṉ sikháegá, aur jo kuchh maiṉ ne tum se kahá hai, wuh sab tumheṉ yád diláegá. 27Maiṉ tumheṉ itmínán diye játá húṉ; apná itmínán tumheṉ detá húṉ: jis tarah dunyá detí hai, maiṉ tumheṉ us tarah nahíṉ detá. Tumhárá dil na ghabráe aur na ḍare. 28Tum sun chuke ho, ki maiṉ ne tum se kahá, ki Játá húṉ, aur tumháre pás phir átá húṉ. Agar tum mujh se mahabbat rakhte, to is bát se, ki maiṉ Báp ke pás játá húṉ, ḳhush hote; kyúṉki Báp mujh se baṛá hai. 29Aur ab maiṉ ne tum se us ke hone se pahle kah diyá hai, táki jab ho jáe, to tum yaqín karo. 30Is ke baʻd maiṉ tum se bahut sí báteṉ na karúṉgá, kyúṉki dunyá ká sardár átá hai: aur mujh meṉ us ká kuchh nahíṉ; 31lekin yih is liye hotá hai ki dunyá jáne, ki maiṉ Báp se mahabbat rakhtá húṉ; aur jis tarah Báp ne mujhe hukm diyá, maiṉ waisá hí kartá húṉ. Uṭho, yaháṉ se chaleṉ.

Currently Selected:

Yúhanná 14: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in