Yúhanná 18
18
1Yisúʻ yih báteṉ kahkar, apne shágirdoṉ ke sáth Qidron ke nále ke pár gayá. Waháṉ ek bág thá; us meṉ wuh aur us ke shágird dáḳhil húe. 2Aur us ká pakaṛwánewálá Yahúdáh bhí us jagah ko jántá thá, kyúṉki Yisúʻ aksar apne shágirdoṉ ke sáth waháṉ jáyá kartá thá. 3Pas Yahúdáh sipáhíoṉ kí palṭan aur sardár káhinoṉ aur Farísíoṉ se piyáde lekar, mashʻaloṉ aur chirágoṉ aur hathyároṉ ke sáth waháṉ áyá. 4Yisúʻ un sab bátoṉ ko jo us ke sáth honewálí thíṉ jánkar, báhar niklá, aur un se kahne lagá, ki Kise ḍhúṉḍhte ho? 5Unhoṉ ne use jawáb diyá; Yisúʻ Násarí ko. Yisúʻ ne un se kahá; Maiṉ hí húṉ. Aur us ká pakaṛwánewálá Yahúdáh bhí un ke sáth khaṛá thá. 6Us ke yih kahte hí, ki Maiṉ hí húṉ, wuh píchhe haṭkar zamín par gir paṛe. 7Pas us ne un se phir púchhá, ki Tum kise ḍhúṉḍhte ho? Wuh bole, Yisúʻ Násarí ko. 8Yisúʻ ne jawáb diyá; Maiṉ tum se kah to chuká, ki maiṉ hí húṉ. Pas agar mujhe ḍhúṉḍhte ho, to inheṉ jáne do. 9Yih us ne is liye kahá, ki us ká wuh qaul púrá ho, ki Jinheṉ tú ne mujhe diyá, maiṉ ne un meṉ se kisí ko bhí na khoyá. 10Pas Shamaʻún Patras ne talwár jo us ke pás thí kheṉchí, aur sardár káhin ke naukar par chalákar us ká dahiná kán uṛá diyá. Us naukar ká nám Malḳhus thá. 11Yisúʻ ne Patras se kahá; Talwár ko miyán kar; jo piyála Báp ne mujh ko diyá, kyá maiṉ use na píúṉ?
12Tab sipáhíoṉ aur un ke súbadár aur Yahúdíoṉ ke piyádoṉ ne Yisúʻ ko pakaṛkar báṉdh liyá, 13aur pahle use Hanná ke pás le gaye; kyúṉki wuh us baras ke sardár káhin Káifá ká susrá thá. 14Yih wuhí Káifá thá, jis ne Yahúdíoṉ ko saláh dí thí, ki ummat ke wáste ek ádmí ká marná bihtar hai.
15Aur Shamaʻún Patras Yisúʻ ke píchhe ho liyá, aur ek âur shágird bhí. Yih shágird sardár káhin ká jánpahchán thá, aur Yisúʻ ke sáth sardár káhin ke díwánḳháne meṉ gayá. 16Lekin Patras darwáze par báhar khaṛá rahá. Pas wuh dúsrá shágird, jo sardár káhin ká jánpahchán thá, báhar niklá, aur darbánní se kahkar Patras ko andar le gayá. 17Us lauṉdí ne jo darbánní thí, Patras se kahá; Kyá tú bhí is shaḳhs ke shágirdoṉ meṉ se hai? Wuh bolá, Maiṉ nahíṉ húṉ. 18Naukar aur piyáde jáṛe ke sabab se koele dahkákar khaṛe táp rahe the, aur Patras bhí un ke sáth khaṛá táp rahá thá.
19Phir sardár káhin ne Yisúʻ se us ke shágirdoṉ aur us kí taʻlím kí bábat púchhá. 20Yisúʻ ne use jawáb diyá, ki Maiṉ ne dunyá se ʻalániya báteṉ kí haiṉ. Maiṉ ne hamesha ʻibádatḳhánoṉ aur haikal meṉ, jaháṉ sab Yahúdí jamaʻ hote haiṉ, taʻlím dí, aur poshída kuchh nahíṉ kahá. 21Tú mujh se kyúṉ púchhtá hai? Sunnewáloṉ se púchh, ki maiṉ ne un se kyá kahá; dekh, un ko maʻlúm hai ki maiṉ ne kyá kyá kahá. 22Jab us ne yih kahá, to piyádoṉ meṉ se ek shaḳhs ne jo pás khaṛá thá, Yisúʻ ke tamáṉcha márke kahá; Tú sardár káhin ko aisá jawáb detá hai? 23Yisúʻ ne use jawáb diyá, ki Agar maiṉ ne burá kahá, to us buráí par gawáhí de: aur agar achchhá kahá, to mujhe mártá kyúṉ hai? 24Pas Hanná ne use bandhá húá sardár káhin Káifá ke pás bhej diyá.
25Shamaʻún Patras khaṛá táp rahá thá. Pas unhoṉ ne us se kahá; Kyá tú bhí us ke shágirdoṉ meṉ se hai? Us ne inkár karke kahá; Maiṉ nahíṉ húṉ. 26Jis shaḳhs ká Patras ne kán uṛá diyá thá, us ke ek rishtadár ne jo sardár káhin ká naukar thá kahá; Kyá maiṉ ne tujhe us ke sáth bág meṉ nahíṉ dekhá? 27Patras ne phir inkár kiyá, aur fauran murg ne báṉg dí.
28Phir wuh Yisúʻ ko Káifá ke pás se qilʻe ko le gaye aur subh ká waqt thá, aur wuh ḳhud qilʻe meṉ na gaye, táki nápák na hoṉ, balki Fasáh khá sakeṉ. 29Pas Pílátus báhar nikalkar un ke pás áyá aur kahá, ki Tum is ádmí kí kyá faryád karte ho? 30Unhoṉ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Agar yih badkár na hotá, to ham use tere hawále na karte. 31Pílátus ne un se kahá, ki Ise le jákar tum hí apní sharíʻat ke muwáfiq is ká faisala karo. Yahúdíoṉ ne us se kahá; Hameṉ rawá nahíṉ ki kisí ko ján se máreṉ. 32Yih is liye húá, ki Yisúʻ kí wuh bát púrí ho, jo us ne apní maut ke taríq kí taraf ishára karke kahí thí.
33Pas Pílátus qilʻe meṉ phir dáḳhil húá, aur Yisúʻ ko bulákar us se kahá; Kyá tú Yahúdíoṉ ká bádsháh hai? 34Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Tú yih bát áp se kahtá hai, yá auroṉ ne mere haqq meṉ tujh se kahí? 35Pílátus ne jawáb diyá, Kyá maiṉ Yahúdí húṉ? Terí hí qaum aur sardár káhinoṉ ne tujh ko mere hawále kiyá: tú ne kyá kiyá hai? 36Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Merí bádsháhat dunyá kí nahíṉ; agar merí bádsháhat dunyá kí hotí, to mere ḳhádim laṛte, táki maiṉ Yahúdíoṉ ke hawále na kiyá játá. Magar ab merí bádsháhat yaháṉ kí nahíṉ. 37Pílátus ne us se kahá; Pas kyá tú bádsháh hai? Yisúʻ ne jawáb diyá; Tú ḳhud kahtá hai, ki maiṉ bádsháh húṉ. Maiṉ is liye paidá húá, aur is wáste dunyá meṉ áyá húṉ, ki haqq kí gawáhí dúṉ. Jo koí sachcháí ká hai, merí áwáz suntá hai. 38Pílátus ne us se kahá, ki Sachcháí hai kyá?
Yih kahkar wuh Yahúdíoṉ ke pás phir báhar gayá, aur un se kahá, ki Maiṉ us ká kuchh jurm nahíṉ pátá. 39Magar tumhárá dastúr hai ki maiṉ Fasah ko tumhárí ḳhátir ek ádmí chhoṛ diyá kartá húṉ; pas kyá tum ko manzúr hai, ki maiṉ tumhárí ḳhátir Yahúdíoṉ ke bádsháh ko chhoṛ dúṉ? 40Unhoṉ ne chillákar phir kahá, ki Is ko nahíṉ, lekin Bar Abbá ko. Aur Bar Abbá ek ḍákú thá.
Currently Selected:
Yúhanná 18: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)Yúhanná 18

:
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)