YouVersion Logo
Search Icon

Ahbár 10

10
1Aur Nadab aur Abíhú ne, jo Hárún ke beṭe the, apne apne baḳhúrdán ko lekar un meṉ ág bharí, aur us par âur úparí ág, jis ká hukm Ḳhudáwand ne un ko nahíṉ diyá thá, Ḳhudáwand ke huzúr guzrání. 2Aur Ḳhudáwand ke huzúr se ág niklí, aur un donoṉ ko khá gayí, aur wuh Ḳhudáwand ke huzúr mar gaye. 3Tab Músá ne Hárún se kahá, Yih wuhí bát hai, jo Ḳhudáwand ne kahí thí, ki jo mere nazdík áeṉ, zarúr hai ki wuh mujhe muqaddas jáneṉ, aur sab logoṉ ke áge merí tamjíd kareṉ. Aur Hárún chup rahá. 4Phir Músá ne Mísáel aur Ilsafan ko, jo Hárún ke chachá ‘Uzzíel ke beṭe the, bulákar un se kahá, Nazdík áo, aur apne bháiyoṉ ko maqdis ke sámne se uṭhákar lashkargáh ke báhar le jáo. 5Pas wuh nazdík gaye, aur unheṉ un ke kurtoṉ samet uṭhákar, Músá ke hukm ke mutábiq, lashkargáh ke báhar le gaye. 6Aur Músá ne Hárún aur us ke beṭoṉ Ilí‘azar aur Itamar se kahá, ki Na tumháre sir ke bál bikharne páeṉ, aur na tum apne kapṛe pháṛná, táki na tum hí maro, aur na sárí jamá‘at par us ká g̣azab názil ho; par Isráíl ke sab gharáne ke log, jo tumháre bháí haiṉ, us ág par, jo Ḳhudáwand ne lagáí hai, nauha kareṉ. 7Aur tum ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze se báhar na jáná, tá aisá na ho ki tum mar jáo: kyúṉki Ḳhudáwand ká masah karne ká tel tum par lagá húá hai. So unhoṉ ne Músá ke kahne ke mutábiq ‘amal kiyá.
8Aur Ḳhudáwand ne Hárún se kahá, ki 9Tú yá tere beṭe mai yá sharáb píkar kabhí ḳhaima e ijtimá‘ ke andar dáḳhil na honá, táki tum mar na jáo. Yih tumháre liye nasl dar nasl hamesha tak ek qánún rahegá: 10táki tum muqaddas aur ‘ámm ashyá meṉ, aur pák aur nápák meṉ tamíz kar sako; 11aur baní Isráíl ko wuh sab áín sikhá sako, jo Ḳhudáwand ne Músá kí ma‘rifat un ko farmáe haiṉ.
12Phir Músá ne Hárún aur us ke beṭoṉ Ilí‘azar aur Itamar se, jo báqí rah gaye the, kahá, ki Ḳhudáwand kí átashín qurbáníoṉ meṉ se, jo nazr kí qurbání bach rahí hai, use le lo; aur bag̣air ḳhamír ke us ko mazbah ke pás kháo: kyúṉki yih niháyat muqaddas hai: 13aur tum use kisí pák jagah meṉ kháná, is liye ki Ḳhudáwand kí átashín qurbáníoṉ meṉ se terá aur tere beṭoṉ ká yih haqq hai: kyúṉkí mujhe aisá hí hukm milá hai. 14Aur hiláne kí qurbání ke síne ko, aur uṭháne kí qurbání kí rán ko tum log, ya‘ní tere sáth tere beṭe aur beṭiyáṉ bhí kisí sáf jagah meṉ kháná; kyúṉki baní Isráíl ke salámatí ke zabíhoṉ meṉ se yih terá aur tere beṭoṉ ká haqq hai, jo diyá gayá hai. 15Aur uṭháne kí qurbání kí rán aur hiláne kí qurbání ká sína, jise wuh charbí kí átashín qurbáníoṉ ke sáth láeṉge, táki wuh Ḳhudáwand ke huzúr hiláne kí qurbání ke taur par hiláe jáeṉ: yih donoṉ hamesha ke liye Ḳhudáwand ke hukm ke mutábiq terá aur tere beṭoṉ ká haqq hogá.
16Phir Músá ne ḳhatá kí qurbání ke bakre ko, jo bahut talásh kiyá, to kyá dekhtá hai, ki wuh jal chuká hai. Tab wuh Hárún ke beṭoṉ Ilí‘azar aur Itamar par, jo bach rahe the, náráz húá, aur kahne lagá, ki 17Ḳhatá kí qurbání, jo niháyat muqaddas hai, aur jise Ḳhudáwand ne tum ko is liye diyá hai, ki tum jamá‘at ke gunáh ko apne úpar uṭhákar Ḳhudáwand ke huzúr un ke liye kaffára do, tum ne us ká gosht maqdis meṉ kyúṉ na kháyá? 18Dekho, us ká ḳhún maqdis meṉ to láyá hí nahíṉ gayá thá. Pas tumheṉ lázim thá, ki mere hukm ke mutábiq tum use maqdis meṉ khá lete. 19Tab Hárún ne Músá se kahá, Dekh, áj hí unhoṉ ne apní ḳhatá kí qurbání aur apní soḳhtaní qurbání Ḳhudáwand ke huzúr guzrání, aur mujh par aise aise hádise guzar gaye. Pas agar maiṉ áj ḳhatá kí qurbání ká gosht khátá, to kyá yih bát Ḳhudáwand kí nazar meṉ bhalí hotí? 20Jab Músá ne yih suná, to use pasand áyá.

Currently Selected:

Ahbár 10: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in