YouVersion Logo
Search Icon

Ahbár 21

21
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Hárún ke beṭoṉ se, jo káhin haiṉ kah, ki Apne qabíle ke murde ke sabab se koí apne áp ko najis na kar le. 2Apne qaríbí rishtadároṉ ke sabab se, jaise apní máṉ ke sabab se, aur apne báp ke sabab se, aur apne beṭe beṭí ke sabab se, aur apne bháí ke sabab se, 3aur apní sagí kuṉwárí bahin ke sabab se, jis ne shauhar na kiyá ho, in kí ḳhátir wuh apne ko najis kar saktá hai. 4Chúṉki wuh apne logoṉ meṉ sardár hai, is liye wuh apne áp ko aisá álúda na kare, ki nápák ho jáe. 5Wuh na apne sir un kí ḳhátir bích se ghuṭwáen, aur na apní dáṛhí ke kone munḍwáen, aur na apne ko zaḳhmí kareṉ. 6Wuh apne Ḳhudá ke liye pák bane raheṉ, aur apne Ḳhudá ke nám ko behurmat na kareṉ; kyúṉki wuh Ḳhudáwand kí átashín qurbaníáṉ, jo un ke Ḳhudá kí g̣izá haiṉ, guzránte haiṉ; is liye wuh pák raheṉ. 7Wuh kisí fáhisha yá nápák ‘aurat se biyáh na kareṉ; aur na us ‘aurat se biyáh kareṉ, jise us ke shauhar ne taláq dí ho; kyúṉki káhin apne Ḳhudá ke liye muqaddas hai. 8Pas tum káhin ko muqaddas jánná, kyúṉki wuh tumháre Ḳhudá kí g̣izá guzrántá hai; so wuh tumhárí nazar meṉ muqaddas ṭhahre; kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand jo tum ko muqaddas kartá húṉ, quddús húṉ. 9Aur agar káhin kí beṭí fáhisha bankar apne áp ko nápák kare, to wuh apne báp ko nápák ṭhahrátí hai; wuh ‘aurat ág meṉ jaláí jáe.
10Aur wuh jo apne bháiyoṉ ke darmiyán sardár káhin ho, jis ke sir par masah karne ká tel ḍálá gayá, aur jo pák libás pahinne ke liye maḳhsús kiyá gayá, wuh apne sir ke bál bikharne na de, aur apne kapṛe na pháṛe. 11Wuh kisí murde ke pás na jáe, aur na apne báp yá máṉ kí ḳhátir apne áp ko najis kare. 12Aur wuh maqdis ke báhar bhí na nikle, aur na apne Ḳhudá ke maqdis ko behurmat kare; kyúṉki us ke Ḳhudá ke masah karne ke tel ká táj us par hai. Maiṉ Ḳhudáwand húṉ. 13Aur wuh kuṉwárí ‘aurat se biyáh kare; 14jo bewa, yá mutallaqa, yá nápák ‘aurat, yá fáhisha ho, un se wuh biyáh na kare, balki wuh apní hí qaum kí kuṉwárí ko biyáh le. 15Aur wuh apne tuḳhm ko apní qaum meṉ nápák na ṭhahráe; kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand húṉ, jo use muqaddas kartá húṉ.
16Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 17Hárún se kah de, ki Terí nasl meṉ pusht dar pusht agar koí kisí tarah ká ‘aib rakhtá ho, to wuh apne Ḳhudá kí g̣izá guzránne ko nazdík na áe; 18ḳhwáh koí ho jis meṉ ‘aib ho, wuh nazdík na áe; ḳhwáh wuh andhá ho, ya langṛá, yá nakchapṭá ho, yá záidu’l a‘zá, 19yá us ká páṉw ṭúṭá ho, yá háth ṭúṭá ho, 20yá wuh kubṛá, yá bauná ho, yá us kí áṉkh meṉ kuchh nuqs ho, yá khujlí bhará ho, yá us ke papṛiyáṉ hoṉ, yá us ke ḳhusye pichke hoṉ. 21Hárún káhin kí nasl meṉ se koí jo ‘aibdár ho Ḳhudáwand kí átashín qurbáníáṉ guzránne ko názdík na áe; wuh ‘aibdár hai; wuh hargiz apne Ḳhudá kí g̣izá guzránne ko pás na áe. 22Wuh apne Ḳhudá kí niháyat hí muqaddas aur pák, donoṉ tarah kí roṭí kháe; 23lekin parde ke andar dáḳhil na ho, na mazbah ke pás áe, is liye ki wuh ‘aibdár hai; tá aisá na ho ki wuh mere muqaddas maqámoṉ ko behurmat kare; kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand un ká muqaddas karnewálá húṉ. 24So Músá ne Hárún, aur us ke beṭoṉ, aur sáre baní Isráíl se yih báten kahíṉ.

Currently Selected:

Ahbár 21: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in