YouVersion Logo
Search Icon

Paidāish 33

33
Yāqūb Esau se Miltā Hai
1Phir Esau un kī taraf ātā huā nazar āyā. Us ke sāth 400 ādmī the. Unheṅ dekh kar Yāqūb ne bachchoṅ ko bāṅṭ kar Liyāh, Rāḳhil aur donoṅ launḍiyoṅ ke hawāle kar diyā. 2Us ne donoṅ launḍiyoṅ ko un ke bachchoṅ samet āge chalne diyā. Phir Liyāh us ke bachchoṅ samet aur āḳhir meṅ Rāḳhil aur Yūsuf āe. 3Yāqūb ḳhud sab se āge Esau se milne gayā. Chalte chalte wuh sāt dafā zamīn tak jhukā. 4Lekin Esau dauṛ kar us se milne āyā aur use gale lagā kar bosā diyā. Donoṅ ro paṛe.
5Phir Esau ne auratoṅ aur bachchoṅ ko dekhā. Us ne pūchhā, “Tumhāre sāth yih log kaun haiṅ?” Yāqūb ne kahā, “Yih āp ke ḳhādim ke bachche haiṅ jo Allāh ne apne karm se nawāze haiṅ.”
6Donoṅ launḍiyāṅ apne bachchoṅ samet ā kar us ke sāmne jhuk gaīṅ. 7Phir Liyāh apne bachchoṅ ke sāth āī aur āḳhir meṅ Yūsuf aur Rāḳhil ā kar jhuk gae.
8Esau ne pūchhā, “Jis jānwaroṅ ke baṛe ġhol se merī mulāqāt huī us se kyā murād hai?” Yāqūb ne jawāb diyā, “Yih tohfā hai tāki āp kā ḳhādim āp kī nazar meṅ maqbūl ho.” 9Lekin Esau ne kahā, “Mere bhāī, mere pās bahut kuchh hai. Yih apne pās hī rakho.” 10Yāqūb ne kahā, “Nahīṅ jī, agar mujh par āp ke karm kī nazar hai to mere is tohfe ko zarūr qabūl farmāeṅ. Kyoṅki jab maiṅ ne āp kā chehrā dekhā to wuh mere lie Allāh ke chehre kī mānind thā, āp ne mere sāth is qadar achchhā sulūk kiyā hai. 11Mehrbānī karke yih tohfā qabūl kareṅ jo maiṅ āp ke lie lāyā hūṅ. Kyoṅki Allāh ne mujh par apne karm kā izhār kiyā hai, aur mere pās bahut kuchh hai.”
Yāqūb isrār kartā rahā to āḳhirkār Esau ne use qabūl kar liyā. Phir Esau kahne lagā, 12“Āo, ham rawānā ho jāeṅ. Maiṅ tumhāre āge āge chalūṅgā.” 13Yāqūb ne jawāb diyā, “Mere mālik, āp jānte haiṅ ki mere bachche nāzuk haiṅ. Mere pās bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur un ke dūdh pīne wāle bachche bhī haiṅ. Agar maiṅ unheṅ ek din ke lie bhī had se zyādā hāṅkūṅ to wuh mar jāeṅge. 14Mere mālik, mehrbānī karke mere āge āge jāeṅ. Maiṅ ārām se usī raftār se āp ke pīchhe pīchhe chaltā rahūṅgā jis raftār se mere maweshī aur mere bachche chal sakeṅge. Yoṅ ham āhistā chalte hue āp ke pās Saīr pahuṅcheṅge.” 15Esau ne kahā, “Kyā maiṅ apne ādmiyoṅ meṅ se kuchh āp ke pās chhoṛ dūṅ?” Lekin Yāqūb ne kahā, “Kyā zarūrat hai? Sab se aham bāt yih hai ki āp ne mujhe qabūl kar liyā hai.”
16Us din Esau Saīr ke lie aur 17Yāqūb Sukkāt ke lie rawānā huā. Wahāṅ us ne apne lie makān banā liyā aur apne maweshiyoṅ ke lie jhoṅpṛiyāṅ. Is lie us maqām kā nām Sukkāt yānī Jhoṅpṛiyāṅ paṛ gayā.
18Phir Yāqūb chalte chalte salāmatī se Sikam Shahr pahuṅchā. Yoṅ us kā Masoputāmiyā se Mulk-e-Kanān tak kā safr iḳhtitām tak pahuṅch gayā. Us ne apne ḳhaime shahr ke sāmne lagāe. 19Us ke ḳhaime Hamor kī aulād kī zamīn par lage the. Us ne yih zamīn chāṅdī ke 100 sikkoṅ ke badle ḳharīd lī. 20Wahāṅ us ne qurbāngāh banāī jis kā nām us ne ‘El Ḳhudā-e-Isrāīl’ rakhā.

Currently Selected:

Paidāish 33: GVR

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in