YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 15

15
PANDRAHWÍṈ ZABÚR.
Chaudahwíṉ zabúr meṉ insán kí ḳharábí ká bayán húá, aur, us ke jawáb meṉ, yaháṉ sádiq ká bayán hai. Is zabúr kí tạlím yíh hai, ki pákízagí ke bag̣air koí ádmí na Ḳhudá ke huzúr meṉ maqbúl ho saktá, na us kí panáh meṉ rah saktá hai. Pahlí áyat meṉ yih sawál hai, ki Kaun Ḳhudá ke ghar meṉ maqbúl, aur us kí nịmatoṉ meṉ sharík ho saktá hai? Aur jawáb báqí áyatoṉ meṉ hai, ki jo shaḳhs fulání fulání báton ko pasand, aur fulání fulání bátoṉ se nafrat rakhtá hai, wuh Ḳhudá ke ghar meṉ maqbúl hogá. Aur khátima is bát par hai, ki jis shaḳhs ká bayán ho chuká, wuh Ḳhudá kí panáh meṉ rahegá.
Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, tere ḳhaime meṉ kaun rahegá? Tere Koh i Muqaddas meṉ kaun sukúnat karegá?
2Apne dil se beạib chalte húe, aur sadáqat karte húe, aur sach bolte húe; 3us ne apní zabán se gíbat nahíṉ kí, apne paṛosí ká nuqsán nahíṉ kiyá, aur apne qaríb par tuhmat nahíṉ lagáí; 4mardúd us kí ánkhoṉ meṉ zalíl hai, aur wuh Yahowáh ke darnewáloṉ kí ịzzat kartá hai; us ne apná nuqsán karnewálí qasam kháí, aur na badlegá; 5us ne apná rúpiya súd ke liye nahíṉ diyá, aur na beạib ke liye rishwat lí hai: yihí karte húe wuh abad tak na ṭalegá.

Currently Selected:

Zabúr 15: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in