YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 35

35
PAIṈTÍSWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr ke tin hisse, aur har ek meṉ judá judá faryádeṉ aur duạ́eṉ aur riháí ke liye shukrguzárí ke wạde haiṉ. Pahle hisse meṉ yih duạ́ hai, ki Ḳhudá ke dushmanoṉ par us kí ạdálateṉ názil hoṉ; aur yih wạda, ki naját pane ke bạd shádmání o ḳhushí karúngá (1—10). Dúsre hisse meṉ in dushmanoṉ ká mufassal bayán hai, ki wuh zálim aur tuhmat karnewále aur nekí ke ịwaz badí karnewále aur ṭhaṭṭhebáz o badḳho haiṉ, aur us ke bạd Ḳhudá se madad kí duạ́, aur shukrguzárí ká wạda (11—18). Aur tísre hisse meṉ unhín dushmanoṉ ká muḳhtasar bayán, aur un se riháí pane kí duạ́, aur abadí shukrguzárí ká wạda hai (19—28).
Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, mere laṛnewáloṉ se laṛ; mere nigalnewáloṉ ko nigal já. 2Sipar aur pharí ko tham, aur merí madad ke liye khaṛá ho. 3Aur bhálá nikal, aur mere píchhá karnewáloṉ ke muqábale meṉ ráh band kar; merí ján se kah, ki “Maiṉ terí naját húṉ.” 4Merí ján ke ḳhwáháṉ sharminda aur ruswá hoṉ; mere nuqsán ke tálib píchhe haṭáe jáeṉ aur ḳhajil hoṉ. 5Wuh bhúse ke mánind hoṉ jo hawá ke sámhne hai, aur Yahowáh ká firishta unheṉ mártá ho. 6Un kí ráh tárík aur phisalní ho, aur Yahowáh ká firishta unheṉ khadeṛtá ho. 7Kyúṉki unhoṉ ne besabab mere liye gaṛhe meṉ apná jál chhipáyá; unhoṉ ne besabab merí ján ke liye khodá. 8Us par nágahání tabáhí áe; aur us ká jál jise us ne chhipáyá hai use phaṉsá le; wuh tabáhí ke sáth us meṉ gire. 9Aur merí ján Yahowáh meṉ shádmání karegí, us kí naját meṉ khushí karegí. 10Merí sárí haddíán kahengí ki, “Ai Yahowáh, tujh sá kaun hai jo musíbatzada ko us ádmí se jo us se qawítar hai, háṉ, musíbatzada aur muhtáj ko us ke g̣áratgar se riháí baḳhshtá hai?”
11Zulm ke gawáh uṭhte haiṉ, wuh mujh se us kí nisbat suwál karte haiṉ jis se maiṉ ágáh nahíṉ húá. 12Wuh nekí ke ịwaz mujhe badí ká badla dete haiṉ, balki merí ján ke liye barbádí. 13Aur Maiṉ, jab wuh bímár paṛe, tab mera libás ṭáṭ thá; maiṉ ne roze se apní ján ko dukh diyá, aur merí duạ́ merí god meṉ phir áegí. 14Merí chál aisí thí ki wuh merá dost, mera bháí thá; jaisá koí má ke liye g̣am kare, waisá hí maiṉ mailá kuchailá hokar jhuk gayá. 15Aur wuh mere langṛáne se ḳhush húe aur jamạ ho gae; langṛe merí muḳhálafat meṉ jama húe aur maiṉ ne na jáná; unhoṉ ne pháṛá aur ḳhámosh na rahe; 16un nikammoṉ ke sáth jo roṭí ke liye ṭhaṭṭhá karte haiṉ, jinhoṉ ne mujh par apne dánt píse. 17Ai Ḳhudáwand, tú kab tak dekhegá? Merí ján ko un kí ḳharábíoṉ se pher lá, merí wahída ko jawán sheroṉ se. 18Maiṉ baṛí jamáạt meṉ tera shukr karúṉgá, ummat i qawí meṉ terí hamd karúṉgá.
19Mere darog̣go dushman mujh par ḳhush na hone páeṉ, aur jo besabab mere hásid haiṉ wuh chashmak na márne páeṉ. 20Kyúṉki wuh salámatí ke kalam nahíṉ karte, aur zamín ke salímoṉ ke barḳhiláf makr kí báteṉ sochte haiṉ. 21Aur unhoṉ ne mujh par apná muṉh bichkáyá hai; unhoṉ ne kahá hai, “Ahá ahá, hamárí ánkh ne dekhá hai”! 22Ai Yahowáh, tú ne dekhá hai, ḳhámosh na rah; Ai Ḳhudáwand, mujh se dúr na rah. 23Mere insáf ke liye aur mere jhagṛe ke liye, Ai mere Ḳhudá aur mere Ḳhudáwand, apne taín jagá aur chauṉká! 24Ai Yahowáh, mere Ḳhudá, apní sadáqat ke mutábiq mera insáf kar, aur wuh merí nisbat ḳhush na hone páeṉ. 25Wuh apne dil meṉ na kahne páeṉ, “Ahá, hamárí dilí ḳhwáhish!” 26Wuh na kahne páeṉ, ki “Ham use nigal gae!” Merí musíbat se ḳhush honewále ek hí sáth sharminda aur ḳhajil hoṉ; jo mere muqábale meṉ áp ko baṛháte haiṉ, wuh sharmindagí aur ruswáí ká libás pahineṉ. 27Merí sadáqat ke ḳhwáháṉ tarannum kareṉ aur ḳhush hoṉ, aur hamesha kahá kareṉ, ki “Yahowáh buzurg ho, jo apne bande kí salámatí ká ḳhwáháṉ hai!” 28Aur merí zabán terí sadáqat, aur tamám din terí hamd bayán kiyá karegí.

Currently Selected:

Zabúr 35: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in