YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 39

39
UNTÁLÍSWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr ke pahle hisse meṉ (1—6) Dáúd bayán kartá hai ki sharíroṉ kí kámyábí aur Ḳhudá ke intizám ke bhed kí nisbat us ke guzre ḳhiyálát aur báteṉ kaisí thíṉ, yạne, us ne us bhed kí nisbat saho aur gunáh kiyá; aur dúsre hisse meṉ (7—13) bayán kartá hai, ki usí bhed kí nisbat us ke hál ke khiyálát aur ạqíde kaise haiṉ, aur Ḳhudá kí rahmat kí darḳhwást kartá hai.
Sardár Mug̣anní ke liye, yạne, Yadútún ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Maiṉ ne kahá, ki “Apní ráhoṉ kí hifázat karúṉgá, táki apní zabán se ḳhatá na karúṉ; jab tak ki sharír mere sámhne hai, main apne muṉh par khonch lagáúṉgá.” 2Maiṉ gúngá hoke ḳhámosh ho rahá; bhalái se apná muṉh band kiyá, aur mera g̣am ubhárá gayá. 3Merá dil mere andar jal uṭhá; jab maiṉ sochtá húṉ, tab ág bhaṛaktí hai; maiṉ apní zabán se bol uthá: ki 4“Ai Yahowáh, mere anjám ká mujhe ịlm de, aur mere dinoṉ ká andáza, ki wuh kitná hai; maiṉ wáqif húá cháhtá húṉ ki kis waqt tamám húṉgá. 5Dekh, tú ne mere din bálishtoṉ se die haiṉ, aur merí páedárí tere sámhne goyá hech hai. Sáre ádamzád mahz bátil aur bíl kull bátil muqarrar húe haiṉ. Siláh. 6Insán sirf súrat meṉ chaltá phirtá hai;#39:6 Yạne, fání aur besabát hai. wuh sirf dam bhar shor macháte haiṉ; wuh ḳhazánoṉ ká ḍher kartá hai, aur nahíṉ jántá ki kaun unheṉ baṭor le jáegá.”
7Aur ab maiṉ ne kis kí intizárí kí hai? Ai Ḳhudáwand, merí ummed tujhí par hai. 8Mujh ko merí sárí taqsíroṉ se riháí baḳhsh; mujhe ahmaq ká nang na baná. 9Maiṉ ḳhámosh ho gaya húṉ, apná muṉh na kholúṉgá, kyúṉki Tú hí ne yih kiyá hai. 10Apní tambíh mujh par se haṭá le; Maiṉ tere háth kí zarb se faná ho gaya. 11Tú badí ke sabab se tambíhoṉ ke sáth insán ko sazá detá hai, aur us kí marg̣úb chíz ko kíṛe ke mánind sáf kar ḍáltá hai. Sáre ádam zád mahz bátil haiṉ. Siláh. 12Ai Yahowáh, merí duạ́ sun le, aur merí duháí par kán dhar; mere áṉsúoṉ se ḳhámosh na rah, kyúṉki maiṉ tere sáth pardesí húṉ, apne sáre báp dádoṉ ke mánind musáfir. 13Mujh se g̣azab kí nigáh pher le aur main bashshásh húṉ, us se peshṭar ki maiṉ jáúṉ aur phir na rahúṉ.

Currently Selected:

Zabúr 39: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in