YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 42

42
BAYÁLÍSWÍṈ ZABÚR.
SIFR I SÁNÍ.
Is zabúr meṉ do hisse haiṉ (1—5, 6—11). Dáúd Ḳhudá kí maqdis se mahrúm aur is sabab se g̣amzada hokar árzú aur tamanná rakhtá hai ki phir Bait-ul-muqaddas meṉ házir hoke Ḳhudá kí nịmatoṉ aur barakatoṉ meṉ sharík ho (1, 2). Us ká g̣am us ke dushmanoṉ kí lạn-tạn, aur us kí aglí ḳhushhálí aur barakatoṉ kí yád se niháyat baṛh gaya hai (3). Tau bhí use yaqín hai ki Ḳhudá use phir bahál karegá, aur apní ján ko targ̣íb detá hai ki us par ummed aur bharosa rakhe (4, 5). Phir, apní musíbat ke qạr meṉ se Ḳhudá ko madad ke liye pukártá hai (6, 7), aur ummed rakhtá hai ki Ḳhudá us kí sunegá (8, 9), agarchi us ke dushmanoṉ kí lạn-tạn ke sabab se us ká dil niháyat shikast ho gaya thá (10); aur áḳhir meṉ phir apní ján ko targ̣íb detá hai, ki Ḳhudá par ummed aur bharosa rakhe (11).
Sardár Mug̣anní ke liye; Tạlím-dihinda Zabúr; Baní Qurah ke liye.
1Jaise harní pání kí naddíoṉ ke liye hámptí hai, waise hí merí ján, Ai Ḳhudá, tere liye hámptí hai! 2Merí ján Ḳhudá ke liye, Zinda Qádir i Mutlaq ke liye, pyásí hai. Maiṉ kab áúngá aur Ḳhudá ke huzúr meṉ házir húṉgá? 3Mera ánsú rát din mere liye roṭí húá hai, jab wuh sáre din mujh se kahte the, ki “Tera Ḳhudá kahán hai?” 4Maiṉ in bátoṉ ko yád karúṉgá, aur dil hí dil meṉ soch o ḳhiyál karúṉgá, jab bhíṛ meṉ guzrúṉgá, tarannum aur shukrguzárí kí áwáz aur ị́d kí dhúmdhám se un ke sáth Ḳhudá ke ghar meṉ jáúṉgá. 5Ai merí ján, tú áp ko kyúṉ jhukáyá karegí aur mujh meṉ shor macháegí! Ḳhudá kí intizárí kar, kyúṉki main us ke huzúr kí naját ke liye phir us kí shukrguzárí karúṉgá.
6Ai mere Ḳhudá, merí ján mujh meṉ áp ko jhukáyá kartí hai, is liye maiṉ Yardan aur Harmuním kí zamín se, aur koh i Misg̣ár se tujhe yád karúṉgá. 7Tere parnáloṉ kí áwáz se gahráo gahráo ko pukártá hai; terí sárí maujeṉ aur terí lahareṉ mujh par se guzar gai haiṉ. 8Din ko Yahowáh apní mihrbání aur rát ko apní g̣azal mere sáth rahne ko farmáegá: merí hayát ke Qádir i Mutlaq se merí duạ́ hogí. 9Maiṉ Qádir i Mutlaq se, jo merí chaṭán hai, kahúṉgá, ki “Tú mujhe kyúṉ bhul gayá? Maiṉ kyúṉ dushman ke zulm se mátam kartá húá chalúṉ?” 10Merí haḍḍíoṉ kí shikastagí ke sáth mere dushmanoṉ ne mujh par lạn-tạn kí hai, jab wuh sáre din mujh se kahte the, ki “Tera Ḳhudá kaháṉ hai?” 11Ai merí ján, tú áp ko kyúṉ jhukáyá karegí aur kyúṉ mujh meṉ shor macháegí? Ḳhudá kí intizárí kar, kyúṉki maiṉ phir us kí shukrguzárí karúṉgá, jo mere chihre kí naját aur mera Ḳhudá hai.

Currently Selected:

Zabúr 42: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in