YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 45

45
PAIṈTÁLÍSWÍN ZABÚR.
Is zabúr meṉ ek baṛe Bádsháh kí tạríf hai, jo bahut shahzádíoṉ se biyáh kartá hai, aur un meṉ se ek ḳháss malika hai; aur is tamsíl ká matlab yih hai, ki Masíh apní qadím kalísyá se ḳháss yagánagat rakhta thá, aur aur qaumoṉ ko apní kalísyá meṉ shámil karke un se aisí hí ḳháss nisbat rakhegá, aur sárí qaumoṉ ká málik aur kull zamín par musallit hogá Musannif kahtá hai ki maiṉ us sháh-an-sháh kí tạrif karúngá (1), jo husn o jamál se bharpúr aur lab kí latáfat aur íláhí barakatoṉ se mạmúr hai (2), aur sachái aur rástí kí jang meṉ fathyáb pahlawán (3—5), aur iláhí aur dáimí aur sádiq sultán hai (6), aur is sabab se ḳháss ịzzat aur ḳhushí us kí hai (7), aur wuh libás i sháhána aur poshák i ziyáfat o sháhdíyána se malbús hai (8), aur shahzádíoṉ se ghirá hai, jin meṉ se ek kháss malika us ke dahne háth biṭhláí gaí (9). Musannif khairḳhwáhí ke taur se us malika ko yih targ̣íb detá hai, ki púrání rishtadárí se alag hokar apne shauhar kí kámil farmáṉbardárí kare, táki wuh bhí us se ulfat rakhe; aur yih peshḳhabarí detá hai, ki sab se g̣aní qạumeṉ us se milne kí ḳhwáhish karengí (10—12). Us ke bad dulhin ke libás aur us kí sajáwaṭ aur barát ká bayán hai (13—15). Áḳhir meṉ Bádsháh se mukhátib hokar kahtá hai, ki ánewálí pushtoṉ meṉ terí rúhání nasl bakasrat aur sárí zamín par musallit (16), aur terí shuhrat abadí hogí (17).
Sardár Mug̣anní ke liye; Sosanoṉ#Yạne, ḳhúbsúrat ạuratoṉ. kí nisbat; Baní Qurah ke liye; Tạlím-dihinda Zabúr; Piyáríoṉ#Yạne, piyárí ạuratoṉ. Aur yih ḳhúbsúrat aur piyárí ạurateṉ Masíh kí qadím ummat i ḳháss, aur sárí aur qaumeṉ haiṉ jo rúháni biyáh meṉ us se mil jáengí. kí G̣azal.
1Mera dil josh mar rahá hai; maiṉ achchhí bát kahtá húṉ. Mere kám Bádsháh ke liye hoṉ! Merí zabán zúd-nawís ká qalam ho!
2Tú baní Ádam se az hadd hasín o jamíl hai; tere láboṉ meṉ lutf unḍelá gayá; is liye Ḳhudá ne tujhe abad tak baṛakat dí hai.
3Ai Jabbár, apní talwár kamar par bándh, apne jalál aur apní hashmat samet; 4aur apní hashmat meṉ sacháí aur farotaní o sadáqat ke waste sawár hoke áge baṛh; aur tera dahná háth tujhe haibatnák kámoṉ kí ráh dikhláegá. 5Bádsháh ke dushmanoṉ ke dil meṉ tere tír tez kie gae haiṉ; ummateṉ tere tale girengí.
6Ai Ḳhudá, tera taḳht abad-ul-ábád hai, terí mamlukat ká ạsá rástí ká ạsá hai. 7Tú ne sadáqat ko dost rakhá aur sharárat se ghin kiyá hai; isí sabab se Ḳhudá, tere Ḳhudá ne ḳhushi ke tel se tere musáhiboṉ se ziyáda tujhe mamsúh kiyá hai. 8Terí sárí poshákeṉ murr aur ụ́d aur taj haiṉ; háthí dánt ke mahaloṉ se, wahíṉ se unhoṉ ne tujhe ḳhush kiyá hai. 9Bádsháh kí beṭíáṉ terí beshqímatoṉ meṉ haiṉ, malika Ofír ke sone se saṉwárí jáke tere dahne háth biṭhláí gaí hai.
10Ai beṭí, sun aur dekh, aur apná kan jhuká, aur apní qaum aur apne báp ke ghar ko bhul já; 11aur Bádsháh tere jamál ká mushtáq ho; kyúṉki wahí tera Ḳhudáwand hai, aur tú us ko sijda kar. 12Aur bint i Súr, yạne, sab se g̣aní ummateṉ, nazr ke wasíle se terí mihrbání kí darkhwást karengí.
13Bádsháh kí beṭí mahall ke andar bilkull jalálí hai; us ká libás sunahrá búṭedár hai. 14Rang-á-rang kapṛoṉ meṉ wuh Bádsháh ke pas pahuncháí jáegí; us ke píchhe píchhe us kí rafíq kuṉwáríáṉ tujh pás láí gaíṉ. 15Wuh ḳhushíoṉ aur shádmání ke sáth pahuncháí jáengí; Báḍsháh ke mahall meṉ áengí.
16Tere báp dádoṉ ke ịwaz tere farzand honge; tú unheṉ sárí zamín par sardár ṭhahráegá. 17Maiṉ sárí pushtoṉ meṉ tere nam ká zikr karwáúṉgá; is sabab se ummateṉ abad-ul-ábád tera iqrár karengí.

Currently Selected:

Zabúr 45: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in