YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 53

53
TIRPANWÍṈ ZABÚR.
Dáúd ke háth se chaudahwíṉ zabúr kí naql, kuchh kamí beshí o tabdil ke sáth.
Sardár Mug̣anní ke liye; #Yạne, us rúháni maraz kí nisbat jis se sáre baní Ádam bargashtagí ke báis se maríz haiṉ.Maraz kí nisbat; Dáúd kí Tạlím-dihinda Zabúr.
1Ahmaq ne apne dil meṉ kahá hai, ki “Ḳhudá hai hí nahín.” Unhoṉ ne ḳharábí kí, aur nafratí badí kí hai; koí nikokár nahíṉ. 2Ḳhudá ne ásmán par se baní Ádam par jhánká, táki dekhe ki koí dánishmandí kartá, yạne, Ḳhudá ko ḍhúnḍhtá hai, yá nahíṉ. 3Wuh bilkull bargashta ho gae; wuh ek hí sáth bigaṛ gae; koí nikokár nahíṉ, ek bhi nahíṉ.
4Kyá yih badkár nahíṉ jánte, jo merí ummat ko kháte jaise roṭí kháte haiṉ, aur Ḳhudá ká nám nahíṉ lete? 5Waháṉ wuh shiddat se ḍare jaháṉ ḍar nahíṉ thá, kyúṉki Ḳhudá ne tere muhásara karnewále kí haḍḍíoṉ ko bithráyá hai; tú ne un kí tahqír kí, kyúṉki Ḳhudá ne unheṉ radd kiyá hai.
6Kásh Ḳhudá ke apní asír ummat ke pás phir áne meṉ Saihúṉ se Isráíl kí najáteṉ hoṉ! Tab Yạqúb shád, aur Isráíl ḳhush ho!

Currently Selected:

Zabúr 53: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in