YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 60

60
SÁṬHWÍṈ ZABÚR.
Is sabab se ki Ḳhudá ne apní ummat ko dukh diyá, aur goyá use tark kiyá hai, liházá Isráíl is zabúr ke pahle hisse meṉ us kí aglí mihrbání aur wạdawafáí se ishára kartá hai (1—4); aur dúsre meṉ Ḳhudá kí Tauret ke us wạde ká zikr kartá hai jis se use yaqín hai ki tamám zamín i Kanaạn ka wáris húngá (5—8); aur tísre meṉ use yaqín hai ki Adúmí dushmanoṉ par jang karne meṉ salámat aur fathyáb rahúngá (9—12).
Sardár Mug̣anní ke liye; Gawáhí#Gawáhí se Tauret murád hai, is liye ki neki o sacháí aur gunah kí muḳhálafat par gawáhí detí hai (2 Salátín 11:12); aur Sosan ke phúl se us Tauret kí ḳhushnumáí o latáfat aur us ke wạde kí khubí murád hai. kí Sosan kí nisbat; Dáúd ká Ráz sikhláne ke liye;#Istisná 31:19 ko dekho. jab us ne Aram Naharain par aur Arám Zobáh par fath páí, aur Yoáb lauṭá aur Namak ke Wádí meṉ bárah hazár Adúmí mare.#2 Sam. 8:13; 1 Tawár. 18:12 ko dekho.
1Ai Ḳhudá, tú ne hameṉ tark kiyá, ham meṉ raḳhna ḍálá hai; tú g̣usse húá; tú hameṉ phir bahál karegá. 2Tú ne zamín ko kampáyá, use shaqq kiyá hai; us ke raḳhnoṉ ko durust kar, 3kyúṉki wuh hil gaí. Tú ne apní ummat ko saḳhtí dikhláí; hameṉ laṛkhaṛáne kí sharáb piláí hai. 4Tú ne apne ḍarnewáloṉ ko ek jhanḍá diyá hai, táki terí sacháí ke sabab se khaṛá kiyá jáe. Siláh.
5Táki tere mahbúb chhúṛáe jáen, tú apne dahne háth se bachá, aur hamárí sun. 6Ḳhudá ne apní quddúsí ke sáth kalam kiyá, liházá main faḳhr karúṉgá; Sikam ko taqsím karúṉgá, aur Wádí i Sukkát ko nápúṉgá. 7Jiliạd mera hai, Manassí bhí mera, aur Ifráím mere sir ká qalạ, Yahúdáh mera sharíạt-dihinda. 8Moáb mere dhone dháne kí silafchí hai; maiṉ Adum par apní jútí phenkúṉgá: Ai Filist, mere liye shádiyána bajá!
9Kaun mujhe muhkam shahr meṉ láegá? Kis ne mujhe Adum tak pahuncháyá hai? 10Kyá Tú hí ne nahíṉ, Ai Ḳhudá, jis ne hameṉ radd kiyá; aur, Ai Ḳhudá, tú jo hamáre lashkaroṉ ke sáth na chalegá? 11Tangí meṉ hamárí madad kar; kyúṉki ádmí kí taraf se naját lag̣o hai. 12Ḳhudá se ham qúwat hásil karenge, aur wahí hamáre satánewáloṉ ko pámál karegá.

Currently Selected:

Zabúr 60: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in