YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 80

80
ASSÍWÍṈ ZABÚR.
Ag̣lab hai ki yih zabúr us májare se taạlluq rakhtí ho jab Isráíl ke das firqe Hizqiyáh kí ạmaldárí ke chhaṭhweṉ baras ke qaríb asír hoke mulk i Asúr meṉ gae; aur is sabab se Ásaf kí zabúr kahí gaí, ki baní Ásaf meṉ se kisí ne ise tasníf kiyá. Isráíl kí pastháli kí nisbat minnat hai ki Ḳhudá Yúsuf aur Binyamín kí madad kare, aur us musibat o tangí par faryád hai jis meṉ Ḳhudá ke log paṛe hain (1—7). Aur baṛí latíf o dilpazír ịbárat se ummat i ḳháss ki us hálat ká bayán hai jab Ḳhudá ne use ták ke muwáfiq zamín i Misr se nikalke zamín i Kanaạ́n meṉ lagá diyá (8—13). Aur yih duạ́ hai, ki Ḳhudá phir apui musíbatzada ummat par rahm kare (14—19). Is zabúr ká matlab tísrí aur sátwíṉ aur unníswíṉ áyatoṉ meṉ hai, yạne, Ai Ḳhudá, hameṉ phirá, aur apne chihre kí roshní ham par jalwagar farmá, aur hameṉ bahál kar!
Sardár Mug̣anní ke liye; Sosanoṉ kí nisbat; #Yạne, un latíf o ḳhátir-pasand nịmatoṉ aur barakatoṉ kí nisbat jin kí is zabúr meṉ darḳhwást hai. Zabúr 45, 60, 69 ke sarnámoṉ ko dekho. Gawáhí; #Yạne, yih zabúr kalam i rabbání ke mutábiq gawáhí ke taur par hukm i iláhí se likhí gaí. Zabúr 60 ke sarnáme ko dekho. Ásaf kí Zabúr.
1Ai Isráíl ke Charwáhe, jo galle ke mánind Yúsuf kí rahnumáí kartá hai, kan dhar; Ai Karúbím par baiṭhnewále, jalwagar ho! 2Ifráím aur Binyamín aur Manassí ke áge apní qúwat ko jagá, aur hamárí naját ke waste á. 3Ai Ḳhudá, hameṉ bahál kar, aur apná chihra jalwagar farmá; aur ham bach jáeṉ!
4Ai Yahowáh, Ḳhudá, Lashkaroṉ ke Ḳhudá, tú ne kab se apní ummat kí duá par dhúáṉ uṭháyá hai? 5Tú ne unheṉ áṉsúoṉ kí roṭí khiláí, aur unheṉ maṭke bhar bhar áṉsú piláe haiṉ. 6Tú hameṉ hamáre hamsáyoṉ ke liye jhagṛe ká sabab ṭhahrátá hai, aur hamáre dụshman apne taíṉ ḳhush karte haiṉ. 7Ai Ḳhudá, Lashkaroṉ ke Ḳhudá, hameṉ bahál kar, aur apná chihra jalwagar farmá; aur ham bach jáeṉ!
8Tú ek ták Misr se nikáltá, g̣air-qaumoṉ ko ḳhárij kartá aur use lagátá hai. 9Tú ne us ke áge jagah sáf kí, aur us ne jaṛ pakaṛ lí, aur zamín ko bhar diyá. 10Paháṛ us ke sáye se ḍhap gae, aur us kí sháḳhoṉ se Qádir i Mutlaq ke arz.#Zabúr 29:5, 92:13, 104:16 ko dekho. 11Wuh apní ḍálíáṉ samundar tak pahunchátá hai, aur apní ṭahníáṉ nahr tak. 12Tú ne us kí báṛoṉ ko kis liye toṛ ḍálá, ki sáre rah-rau use khasoṭte haiṉ? 13Banailá súar use ḳharáb kartá hai, aur jangalí jánwar use khá játá hai.
14Ai Ḳhudá, Lashkaroṉ ke Ḳhudá, mihrbání se phir á, ásmán se nigah kar, aur dekh, aur is ták par tawajjuh kar; 15aur jo tere dahne háth ne lagáyá hai use sambhál, aur us beṭe par jise tú ne apne liye pálá hai panáh rakh. 16Wuh ág se jaláyá gaya, káṭá gaya; wuh tere chihre kí tahdíd se halák hote haiṉ. 17Tera háth apne dahne háth ke insán par ho, us ibn i Ádam par jise tú ne apne liye pálá hai. 18To ham tujh se bargashta na honge; tú hameṉ jiláegá, aur ham tera hí nam pukárenge. 19Ai Yahowáh, Ḳhudá, Lashkaroṉ ke Ḳhudá, hameṉ bahál kar, apná chihra jalwagar farmá; aur ham bach jáeṉ!

Currently Selected:

Zabúr 80: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in