Paidáish 7

7
1Aur Ḳhudáwand ne Núh se kahá, ki Tú apne púre ḳhándán ke sáth kishtí meṉ á; kyúṉki maiṉ ne tujhí ko apne sámne is zamáne meṉ rástbáz dekhá hai. 2Kull pák jánwaroṉ meṉ se sát sát, nar aur un kí máda: aur un meṉ se jo pák nahíṉ haiṉ, do do, nar aur un kí máda, apne sáth le lená. 3Aur hawá ke parandoṉ meṉ se bhí, sát sát, nar o máda, lená; táki tamám zamín par un kí nasl báqí rahe. 4Kyúṉki sát din ke ba‘d maiṉ zamín par chálís din aur chálís rát pání barsáúṉgá, aur har jándár shai ko, jise maiṉ ne banáyá, zamín par se miṭá ḍálúṉgá. 5Aur Núh ne wuh sab, jaisá Ḳhudáwand ne use hukm diyá thá, kiyá.
6Aur Núh chha sau baras ká thá, jab pání ká túfán zamín par áyá. 7Tab Núh aur us ke beṭe, aur us kí bíwí, aur us ke beṭoṉ kí bíwiyáṉ, us ke sáth, túfán ke pání se bachne ke liye kishtí meṉ gaye. 8Aur pák jánwaroṉ meṉ se, aur un jánwaroṉ meṉ se jo pák nahíṉ, aur parandoṉ meṉ se, aur zamín par ke har reṉgnewále jándár meṉ se, 9do do, nar aur máda, kishtí meṉ Núh ke pás gaye, jaisá Ḳhudá ne Núh ko hukm diyá thá. 10Aur sát din ke ba‘d aisá húá ki túfán ká pání zamín par á gayá. 11Núh kí ‘umr ká chha sauwáṉ sál thá, ki us ke dúsre mahíne kí ṭhík sattrahwíṉ táríḳh ko, baṛe samundar ke sab sote phúṭ nikle, aur ásmán kí khiṛkiyáṉ khul gayíṉ. 12Aur chálís din aur chálís rát zamín par bárish hotí rahí. 13Usí roz Núh aur Núh ke beṭe Sim, aur Hám, aur Yáfat, aur Núh kí bíwí, aur us ke beṭoṉ kí tínoṉ bíwiyáṉ; 14aur har qism ká jánwar aur har qism ká chaupáya aur har qism ká zamín par reṉgnewálá jándár aur har qism ká paranda aur har qism kí chiṛiyá, yih sab kishtí meṉ dáḳhil húe. 15Aur jo zindagí ká dam rakhte haiṉ, un meṉ se do do kishtí meṉ Núh ke pás áe. 16Aur jo andar áe, wuh jaisá Ḳhudá ne use hukm diyá thá, sab jánwaroṉ ke nar o máda the. Tab Ḳhudáwand ne us ko báhar se band kar diyá. 17Aur chálís din tak zamín par túfán rahá; aur pání baṛhá, aur us ne kishtí ko úpar uṭhá diyá: so kishtí zamín par se uṭh gayí. 18Aur pání zamín par chaṛhtá hí gayá, aur bahut baṛhá; aur kishtí pání ke úpar tairtí rahí. 19Aur pání zamín par bahut hí ziyáda chaṛhá; aur sab úṉche paháṛ, jo dunyá meṉ haiṉ, chhip gaye. 20Pání un se pandrah háth âur úpar chaṛhá; aur paháṛ ḍúb gaye. 21Aur sab jánwar, jo zamín par chalte the, parande, aur chaupáye, aur janglí jánwar, aur zamín par ke sab reṉgnewále jándár, aur sab ádmí, mar gaye: 22aur ḳhushkí ke sab jándár, jin ke nathnoṉ meṉ zindagí ká dam thá, mar gaye. 23Balki har jándár shai jo rú e zamín par thí mar miṭí, kyá insán, kyá haiwán, kyá reṉgnewálá jándár, kyá hawá ká paranda, yih sab ke sab zamín par se mar miṭe. Faqat ek Núh báqí bachá, yá wuh jo us ke sáth kishtí meṉ the. 24Aur pání zamín par ek sau pachás din tak chaṛhtá rahá.

S'ha seleccionat:

Paidáish 7: URDR55

Subratllat

Comparteix

Copia

None

Vols que els teus subratllats es desin a tots els teus dispositius? Registra't o inicia sessió