1
Yūhannā 6:35
Kitab-i Muqaddas
Jawāb meṅ Īsā ne kahā, “Maiṅ hī zindagī kī roṭī hūṅ. Jo mere pās āe use phir kabhī bhūk nahīṅ lagegī. Aur jo mujh par īmān lāe use phir kabhī pyās nahīṅ lagegī.
Comparer
Explorer Yūhannā 6:35
2
Yūhannā 6:63
Allāh kā Rūh hī zindā kartā hai jabki jismānī tāqat kā koī fāydā nahīṅ hotā. Jo bāteṅ maiṅ ne tum ko batāī haiṅ wuh Rūh aur zindagī haiṅ.
Explorer Yūhannā 6:63
3
Yūhannā 6:27
Aisī ḳhurāk ke lie jidd-o-jahd na karo jo gal saṛ jātī hai, balki aisī ke lie jo abadī zindagī tak qāym rahtī hai aur jo Ibn-e-Ādam tum ko degā, kyoṅki Ḳhudā Bāp ne us par apnī tasdīq kī muhr lagāī hai.”
Explorer Yūhannā 6:27
4
Yūhannā 6:40
Kyoṅki mere Bāp kī marzī yihī hai ki jo bhī Farzand ko dekh kar us par īmān lāe use abadī zindagī hāsil ho. Aise shaḳhs ko maiṅ qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅga.”
Explorer Yūhannā 6:40
5
Yūhannā 6:29
Īsā ne jawāb diyā, “Allāh kā kām yih hai ki tum us par īmān lāo jise us ne bhejā hai.”
Explorer Yūhannā 6:29
6
Yūhannā 6:37
Jitne bhī Bāp ne mujhe die haiṅ wuh mere pās āeṅge aur jo bhī mere pās āegā use maiṅ hargiz nikāl na dūṅgā.
Explorer Yūhannā 6:37
7
Yūhannā 6:68
Shamāūn Patras ne jawāb diyā, “Ḳhudāwand, ham kis ke pās jāeṅ? Abadī zindagī kī bāteṅ to āp hī ke pās haiṅ.
Explorer Yūhannā 6:68
8
Yūhannā 6:51
Maiṅ hī zindagī kī wuh roṭī hūṅ jo āsmān se utar āī hai. Jo is roṭī se khāe wuh abad tak zindā rahegā. Aur yih roṭī merā gosht hai jo maiṅ duniyā ko zindagī muhaiyā karne kī ḳhātir pesh karūṅga.”
Explorer Yūhannā 6:51
9
Yūhannā 6:44
Sirf wuh shaḳhs mere pās ā saktā hai jise Bāp jis ne mujhe bhejā hai mere pās khīṅch lāyā hai. Aise shaḳhs ko maiṅ qiyāmat ke din murdoṅ meṅ se phir zindā karūṅga.
Explorer Yūhannā 6:44
10
Yūhannā 6:33
Kyoṅki Allāh kī roṭī wuh shaḳhs hai jo āsmān par se utar kar duniyā ko zindagī baḳhshtā hai.”
Explorer Yūhannā 6:33
11
Yūhannā 6:48
Zindagī kī roṭī maiṅ hūṅ.
Explorer Yūhannā 6:48
12
Yūhannā 6:11-12
Īsā ne roṭiyāṅ le kar shukrguzārī kī duā kī aur unheṅ baiṭhe hue logoṅ meṅ taqsīm karwāyā. Yihī kuchh us ne machhliyoṅ ke sāth bhī kiyā. Aur sab ne jī bhar kar roṭī khāī. Jab sab ser ho gae to Īsā ne shāgirdoṅ ko batāyā, “Ab bache hue ṭukṛe jamā karo tāki kuchh zāe na ho jāe.”
Explorer Yūhannā 6:11-12
13
Yūhannā 6:19-20
Kashtī ko khete khete shāgird chār yā pāṅch kilomīṭar kā safr tay kar chuke the ki achānak Īsā nazar āyā. Wuh pānī par chaltā huā kashtī kī taraf baṛh rahā thā. Shāgird dahshatzadā ho gae. Lekin us ne un se kahā, “Maiṅ hī hūṅ. Ḳhauf na karo.”
Explorer Yūhannā 6:19-20
Accueil
Bible
Plans
Vidéos