Paidāish 5
5
Ādam se Nūh tak kā Nasabnāmā
1Zail meṅ Ādam kā nasabnāmā darj hai.
Jab Allāh ne insān ko ḳhalaq kiyā to us ne use apnī sūrat par banāyā. 2Us ne unheṅ mard aur aurat paidā kiyā. Aur jis din us ne unheṅ ḳhalaq kiyā us ne unheṅ barkat de kar un kā nām Ādam yānī Insān rakhā.
3Ādam kī umr 130 sāl thī jab us kā beṭā Set paidā huā. Set sūrat ke lihāz se apne bāp kī mānind thā, wuh us se mushābahat rakhtā thā. 4Set kī paidāish ke bād Ādam mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 5Wuh 930 sāl kī umr meṅ faut huā.
6Set 105 sāl kā thā jab us kā beṭā Anūs paidā huā. 7Is ke bād wuh mazīd 807 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 8Wuh 912 sāl kī umr meṅ faut huā.
9Anūs 90 baras kā thā jab us kā beṭā Qīnān paidā huā. 10Is ke bād wuh mazīd 815 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 11Wuh 905 sāl kī umr meṅ faut huā.
12Qīnān 70 sāl kā thā jab us kā beṭā Mahalalel paidā huā. 13Is ke bād wuh mazīd 840 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 14Wuh 910 sāl kī umr meṅ faut huā.
15Mahalalel 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Yārid paidā huā. 16Is ke bād wuh mazīd 830 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 17Wuh 895 sāl kī umr meṅ faut huā.
18Yārid 162 sāl kā thā jab us kā beṭā Hanūk paidā huā. 19Is ke bād wuh mazīd 800 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 20Wuh 962 sāl kī umr meṅ faut huā.
21Hanūk 65 sāl kā thā jab us kā beṭā Matūsilah paidā huā. 22Is ke bād wuh mazīd 300 sāl Allāh ke sāth chaltā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 23Wuh kul 365 sāl duniyā meṅ rahā. 24Hanūk Allāh ke sāth sāth chaltā thā. 365 sāl kī umr meṅ wuh ġhāyb huā, kyoṅki Allāh ne use uṭhā liyā.
25Matūsilah 187 sāl kā thā jab us kā beṭā Lamak paidā huā. 26Wuh mazīd 782 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe aur beṭiyāṅ bhī paidā hue. 27Wuh 969 sāl kī umr meṅ faut huā.
28Lamak 182 sāl kā thā jab us kā beṭā paidā huā. 29Us ne us kā nām Nūh yānī Tasallī rakhā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ kahā, “Hamārā khetībāṛī kā kām nihāyat taklīfdeh hai, is lie ki Allāh ne zamīn par lānat bhejī hai. Lekin ab ham beṭe kī mārifat tasallī pāeṅge.” 30Is ke bād wuh mazīd 595 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue. 31Wuh 777 sāl kī umr meṅ faut huā.
32Nūh 500 sāl kā thā jab us ke beṭe Sim, Hām aur Yāfat paidā hue.
Արդեն Ընտրված.
Paidāish 5: GVR
Ընդգծել
Կիսվել
Պատճենել
Ցանկանու՞մ եք պահպանել ձեր նշումները ձեր բոլոր սարքերում: Գրանցվեք կամ մուտք գործեք
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND

: