Kisary famantarana ny YouVersion
Kisary fikarohana

Paidáish 9

9
1Aur Ḳhudá ne Núh aur us ke beṭoṉ ko barakat dí, aur un ko kahá, ki Bárwar ho, aur baṛho, aur zamín ko ma‘múr karo. 2Aur zamín ke kull jándároṉ aur hawá ke kull parandoṉ par tumhárí dahshat aur tumhárá ru‘b hogá; yih aur tamám kíṛe jin se zamín bharí paṛí hai aur samundar kí kull machhliyáṉ tumháre háth meṉ kí gayíṉ. 3Har chaltá phirtá jándár tumháre kháne ko hogá, harí sabzí kí tarah maiṉ ne sab ká sab tum ko de diyá. 4Magar tum gosht ke sáth ḳhún ko, jo us kí ján hai, na kháná. 5Maiṉ tumháre ḳhún ká badla zarúr lúṉgá; har jánwar se, us ká badla lúṉgá; ádmí kí ján ká badla ádmí se aur us ke bháí band se lúṉgá. 6Jo ádmí ká ḳhún kare, us ká ḳhún ádmí se hogá, kyúṉki Ḳhudá ne insán ko apní súrat par banáyá hai. 7Aur tum bárwar ho, aur baṛho, aur zamín par ḳhúb apní nasl baṛháo, aur bahut ziyáda ho jáo.
8Aur Ḳhudá ne Núh aur us ke beṭoṉ se kahá, 9Dekho, maiṉ ḳhud tum se aur tumháre ba‘d tumhárí nasl se, 10aur sab jándároṉ se, jo tumháre sáth haiṉ, kyá parande kyá chaupáye aur zamín ke jánwar, ya‘ní zamín ke un sab jánwaroṉ ke báre meṉ, jo kishtí se utre ‘ahd kartá húṉ. 11Maiṉ is ‘ahd ko tumháre sáth qáim rakkhúṉgá; ki sab jándár túfán ke pání se phir halák na hoṉge, aur na kabhí zamín ko tabáh karne ke liye phir túfán áegá. 12Aur Ḳhudá ne kahá, ki Jo ‘ahd maiṉ apne aur tumháre darmiyán, aur sab jándároṉ ke darmiyán, jo tumháre sáth haiṉ, pusht dar pusht hamesha ke liye kartá húṉ, us ká nishán yih hai, ki 13maiṉ apní kamán ko bádal meṉ rakhtá húṉ; wuh mere aur zamín ke darmiyán ‘ahd ká nishán hogí. 14Aur aisá hogá, ki jab maiṉ zamín par bádal láúṉgá, to merí kamán bádal meṉ dikháí degí: 15aur maiṉ apne ‘ahd ko, jo mere aur tumháre aur har tarah ke jándár ke darmiyán hai, yád karúṉgá; aur tamám jándároṉ kí halákat ke liye pání ká túfán phir na hogá. 16Aur kamán bádal meṉ hogí; aur maiṉ us par nigáh karúṉgá, táki us abadí ‘ahd ko yád karúṉ jo Ḳhudá ke aur zamín ke sab tarah ke jándár ke darmiyán hai. 17Pas, Ḳhudá ne Núh se kahá, ki Yih us ‘ahd ká nishán hai, jo maiṉ apne aur zamín ke kull jándároṉ ke darmiyán, qáim kartá húṉ.
18Núh ke beṭe, jo kishtí se nikle, Sim, Hám, aur Yáfat the: aur Hám Kan‘án ká báp thá. 19Yihí tínoṉ Núh ke beṭe the: aur in hí kí nasl sárí zamín par phailí.
20Aur Núh káshtkárí karne lagá; aur us ne ek angúr ká bág̣ lagáyá. 21Aur us ne us kí mai pí aur use nasha áyá, aur wuh apne ḍere meṉ barahna ho gayá. 22Aur Kan‘án ke báp Hám ne apne báp ko barahna dekhá, aur apne donoṉ bháiyoṉ ko báhar ákar ḳhabar dí. 23Tab Sim aur Yáfat ne ek kapṛá liyá aur use apne kandhoṉ par dhará, aur píchhe ko ulṭe chalkar gaye, aur apne báp kí barahnagí ḍháṉkí. So un ke muṉh ulṭí taraf the, aur unhoṉ ne apne báp kí barahnagí na dekhí. 24Jab Núh apní mai ke nashe se hosh meṉ áyá, to jo us ke chhoṭe beṭe ne us ke sáth kiyá thá use ma‘lúm húá: 25aur us ne kahá, ki
Kan‘án mal‘ún ho;
Wuh apne bháiyoṉ ke g̣ulámoṉ ká g̣ulám hogá.
26Phir kahá,
Ḳhudáwand, Sim ká Ḳhudá, mubárak ho;
Aur Kan‘án Sim ká g̣ulám ho.
27Ḳhudá Yáfat ko phailáe,
Ki wuh Sim ke ḍeroṉ meṉ base;
Aur Kan‘án us ká g̣ulám ho.
28Aur túfán ke ba‘d Núh sáṛhe tín sau baras âur jítá rahá. 29Aur Núh kí kull ‘umr sáṛhe nau sau baras kí húí. Tab us ne wafát páí.

Voafantina amin'izao fotoana izao:

Paidáish 9: URDR55

Asongadina

Hizara

Dika mitovy

None

Tianao hovoatahiry amin'ireo fitaovana ampiasainao rehetra ve ireo nasongadina? Hisoratra na Hiditra