Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ; aur wuh samundar kí machhliyoṉ, aur ásmán ke parandoṉ, aur chaupáyoṉ, aur tamám zamín, aur sab jándároṉ par jo zamín par reṉgte haiṉ, iḳhtiyár rakkheṉ. Aur Ḳhudá ne insán ko apní súrat par paidá kiyá, Ḳhudá ki súrat par us ko paidá kiyá; nar o nárí un ko paidá kiyá.