So ab agar tum merí bát máno, aur mere ‘ahd par chalo, to sab qaumoṉ meṉ se tum hí merí ḳháss milkíyat ṭhahroge; kyúṉki sárí zamín merí hai: aur tum mere liye káhinoṉ kí ek mamlukat, aur ek muqaddas qaum hoge. In hí bátoṉ ko tú baní Isráíl ko suná dená.