Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Ḳhurúj 10

10
1Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Fir‘aun ke pás já: kyúṉki maiṉ hí ne us ke dil, aur us ke naukaroṉ ke dil ko saḳht kar diyá hai, táki maiṉ apne yih nishán un ke bích dikháúṉ; 2aur tú apne beṭe, aur apne pote ko mere nishán, aur wuh kám jo maiṉ ne Misr meṉ un ke darmiyán kiye, sunáe; aur tum ján lo ki Ḳhudáwand maiṉ hí húṉ. 3Aur Músá aur Hárún ne Fir‘aun ke pás jákar us se kahá, ki Ḳhudáwand, ‘Ibráníoṉ ká Ḳhudá, yúṉ farmátá hai, ki Tú kab tak mere sámne níchá banne se inkár karegá? Mere logoṉ ko jáne de, ki wuh merí ‘ibádat kareṉ. 4Warna, agar tú mere logoṉ ko jáne na degá, to dekh, kal maiṉ tere mulk meṉ ṭiḍḍiyáṉ le áúṉgá. 5Aur wuh zamín kí sath ko aisá ḍháṉk leṉgí ki koí zamín ko dekh bhí na sakegá; aur terá jo kuchh oloṉ se bach rahá hai, wuh use khá jáeṉgí, aur tumháre jitne daraḳht maidán meṉ lage haiṉ un ko bhí chaṭ kar jáeṉgí: 6aur wuh tere aur tere naukaroṉ, balki sab Misríoṉ ke gharoṉ meṉ bhar jáeṉgí: aur aisá tere ábá o ajdád ne, jab se wuh paidá húe us waqt se áj tak nahíṉ dekhá hogá. Aur wuh lauṭkar Fir‘aun ke pás se chalá gayá. 7Tab Fir‘aun ke naukar Fir‘aun se kahne lage, ki Yih shaḳhs kab tak hamáre liye phandá baná rahegá? In logoṉ ko jáne de, táki wuh Ḳhudáwand apne Ḳhudá kí ‘ibádat kareṉ. Kyá, tujhe ḳhabar nahíṉ, ki Misr barbád ho gayá? 8Tab Músá aur Hárún Fir‘aun ke pás phir bulá liye gaye; aur us ne un ko kahá, ki Jáo, aur Ḳhudáwand apne Ḳhudá ki ‘ibádat karo: par wuh kaun kaun haiṉ, jo jáeṉge? 9Músá ne kahá, ki Ham apne jawánoṉ, aur buḍḍhoṉ, aur apne beṭoṉ, aur beṭiyoṉ, aur apní bheṛ bakriyoṉ, aur apne gáe bailoṉ samet jáeṉge; kyúṉki ham ko apne Ḳhudá kí ‘íd karní hai. 10Tab us ne un ko kahá, ki Ḳhudáwand hí tumháre sáth rahe; maiṉ to zarúr hí tum ko bachchoṉ samet jáne dúṉgá. Ḳhabardár ho jáo; is meṉ tumhárí ḳharábí hai. 11Nahíṉ. Aisá nahíṉ hone páegá. So tum mard hí mard jákar Ḳhudáwand kí ‘ibádat karo, kyúṉki tum yihí cháhte the. Aur wuh Fir‘aun ke pás se nikál diye gaye.
12Tab Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki Mulk i Misr par apná háth baṛhá, táki ṭiḍḍiyáṉ mulk i Misr par áeṉ, aur har qism kí sabzí ko, jo is mulk meṉ oloṉ se bach rahí hai, chaṭ kar jáeṉ. 13Pas Músá ne mulk i Misr par apní láṭhí baṛháí, aur Ḳhudáwand ne us sáre din aur sárí rát purwá áṉdhí chaláí; aur subh hote hote purwá áṉdhí ṭiḍḍiyáṉ le áí. 14Aur ṭiḍḍiyáṉ sáre mulk i Misr par chhá gayíṉ aur wahíṉ Misr kí hudúd meṉ baserá kiyá, aur un ká dal aisá bhárí thá, ki na to un se pahle aisí ṭiḍḍiyáṉ kabhí áíṉ, na un ke ba‘d phir áeṉgí. 15Kyúṉki unhoṉ ne tamám rú e zamín ko ḍháṉk liyá, aisá ki mulk meṉ andherá ho gayá; aur unhoṉ ne us mulk kí ek ek sabzí ko aur daraḳhtoṉ ke mewoṉ ko, jo oloṉ se bach gaye the, chaṭ kar liyá: aur mulk i Misr meṉ na to kisí daraḳht kí, na khet kí kisí sabzí kí hariyálí báqí rahí. 16Tab Fir‘aun ne jald Músá aur Hárún ko bulwákar kahá, ki Maiṉ Ḳhudáwand tumháre Ḳhudá ká, aur tumhárá gunahgár húṉ. 17So faqat is bár merá gunáh baḳhsho, aur Ḳhudáwand apne Ḳhudá se shafá‘at karo, ki wuh sirf is maut ko mujh se dúr kar de. 18So us ne Fir‘aun ke pás se nikalkar Ḳhudáwand se shafá‘at kí. 19Aur Ḳhudáwand ne pachhwá áṉdhí bhejí, jo ṭiḍḍiyoṉ ko uṛákar le gayí, aur un ko Bahr i Qulzum meṉ ḍál diyá; aur Misr kí hudúd meṉ ek ṭiḍḍí bhí báqí na rahí. 20Par Ḳhudáwand ne Fir‘aun ke dil ko saḳht kar diyá, aur us ne baní Isráíl ko jáne na diyá.
21Phir Ḳhudáwand ne Músá se kahá, kí Apná háth ásmán kí taraf baṛhá, táki mulk i Misr meṉ táríkí chhá jáe; aisí táríkí jise ṭaṭol sakeṉ. 22Aur Músá ne apná háth ásmán kí taraf baṛháyá; aur tín din tak sáre mulk i Misr meṉ gahrí táríkí rahí. 23Tín din tak na to kisí ne kisí ko dekhá, aur na koí apní jagah se hilá: par sab baní Isráíl ke makánoṉ meṉ ujálá rahá. 24Tab Fir‘aun ne Músá ko bulwákar kahá, ki Tum jáo, aur Ḳhudáwand kí ‘ibádat karo; faqat apní bheṛ bakriyoṉ aur gáe bailoṉ ko yahíṉ chhoṛ jáo, aur jo tumháre bál bachche haiṉ, un ko bhí sáth lete jáo. 25Músá ne kahá, ki Tujhe ham ko qurbáníoṉ aur soḳhtaní qurbáníoṉ ke liye jánwar dene paṛeṉge, táki ham Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke áge qurbání kareṉ. 26So hamáre chaupáye bhí hamáre sáth jáeṉge; aur un ká ek khur tak bhí píchhe nahíṉ chhoṛá jáegá; kyúṉki un hí meṉ se ham ko Ḳhudáwand apne Ḳhudá kí ‘ibádat ká sámán lená paṛegá; aur jab tak ham waháṉ pahuṉch na jáeṉ, ham nahíṉ jánte, ki kyá kyá lekar ham ko Ḳhudáwand kí ‘ibádat karní hogí. 27Lekin Ḳhudáwand ne Fir‘aun ke dil ko saḳht kar diyá: aur us ne un ko jáne hí na diyá. 28Aur Fir‘aun ne use kahá, Mere sámne se chalá já; aur hoshyár rah; phir merá muṉh dekhne ko mat áná; kyúṉki jis din tú ne merá muṉh dekhá, tú márá jáegá. 29Tab Músá ne kahá, ki Tú ne ṭhík kahá hai; maiṉ phir terá muṉh kabhí nahíṉ dekhúṉgá.

Iliyochaguliwa sasa

Ḳhurúj 10: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia