Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Ḳhurúj 20

20
1Aur Ḳhudá ne yih sab báteṉ farmáíṉ, ki
2 Ḳhudáwand terá Ḳhudá, jo tujhe mulk i Misr se, aur g̣ulámí ke ghar se nikál láyá, maiṉ húṉ.
3Mere huzúr tú g̣airma‘búdoṉ ko na mánná.
4Tú apne liye koí taráshí húí múrat na banáná; na kisí chíz kí súrat banáná, jo úpar ásmán meṉ, yá níche zamín par, yá zamín ke níche pání meṉ hai. 5Tú un ke áge sijda na karná, aur na un kí ‘ibádat karná; kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand terá Ḳhudá g̣aiyúr Ḳhudá húṉ, aur jo mujh se ‘adáwat rakhte haiṉ, un kí aulád ko tísrí aur chauthí pusht tak bápdádá kí badkárí kí sazá detá húṉ, 6aur hazároṉ par, jo mujh se mahabbat rakhte, aur mere hukmoṉ ko mánte haiṉ, rahm kartá húṉ.
7Ḳhudáwand apne Ḳhudá ká nám befáida na lená; kyúṉki jo us ká nám befáida letá hai, Ḳhudáwand use begunáh na ṭhahráegá.
8Yád karke tú sabt ká din pák mánná. 9Chha din tak tú mihnat karke apná sárá kám káj karná; 10lekin sátwáṉ din Ḳhudáwand tere Ḳhudá ká sabt hai. Us meṉ na tú koí kám karná, na terá beṭá, na terí beṭí, na terá g̣ulám, na terí lauṉḍí, na tere chaupáye, na koí musáfir jo tere háṉ tere pháṭakoṉ ke andar ho; 11kyúṉki Ḳhudáwand ne chha din meṉ ásmán, aur zamín, aur samundar, aur jo kuchh un meṉ hai, wuh sab banáyá, aur sátweṉ din árám kiyá: is liye Ḳhudáwand ne sabt ke din ko barakat dí, aur use muqaddas ṭhahráyá.
12Tú apne báp aur apní máṉ kí ‘izzat karná, táki terí ‘umr us mulk meṉ, jo Ḳhudáwand terá Ḳhudá tujhe detá hai, daráz ho.
13Tú ḳhún na karná.
14Tú ziná na karná.
15Tú chorí na karná.
16Tú apne paṛausí ke ḳhiláf jhúṭhí gawáhí na dená.
17Tú apne paṛausí ke ghar ká lálach na karná, tú apne paṛausí kí bíwí ká lálach na karná, aur na us ke g̣ulám, aur us kí lauṉḍí, aur us ke bail, aur us ke gadhe ká, aur na apne paṛausí kí kisí âur chíz ká lálach karná.
18Aur sab logoṉ ne bádal garajte aur bijlí chamakte, aur qarná kí áwáz hote, aur paháṛ se dhuwáṉ uṭhte dekhá, aur jab logoṉ ne yih dekhá, to káṉp uṭhe, aur dúr khaṛe ho gaye, 19aur Músá se kahne lage, Tú hí ham se báteṉ kiyá kar, aur ham sun liyá kareṉge, lekin Ḳhudá ham se báteṉ na kare, tá na ho ki ham mar jáeṉ. 20Músá ne logoṉ se kahá, ki Tum ḍaro mat, kyúṉki Ḳhudá is liye áyá hai, ki tumhárá imtihán kare, aur tum ko us ká ḳhauf ho, táki tum gunáh na karo. 21Aur wuh log dúr hí khaṛe rahe, aur Músá us gahrí táríkí ke nazdík gayá, jaháṉ Ḳhudá thá.
22Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, Tú baní Isráíl se yih kahná, ki Tum ne ḳhud dekhá, ki maiṉ ne ásmán par se tumháre sáth báteṉ kíṉ. 23Tum mere sáth kisí ko sharík na karná, ya‘ní chándí yá sone ke deotá apne liye na ghaṛ lená. 24Aur miṭṭí kí ek qurbángáh mere liye banáyá karná, aur us par apní bheṛ bakriyoṉ aur gáe bailoṉ kí soḳhtaní qurbáníáṉ aur salámátí kí qurbáníáṉ chaṛháná; aur jaháṉ jaháṉ maiṉ apne nám kí yádgárí karáúṉgá, waháṉ maiṉ tere pás ákar tujhe barakat dúṉgá. 25Aur agar tú mere liye patthar kí qurbángáh banáe, to taráshe húe patthar se na banáná: kyúṉki agar tú us par apne auzár lagáe, to tú use nápák kar degá. 26Aur tú merí qurbángáh par síṛhiyoṉ se hargiz na chaṛhna, tá na ko ki terí barhanagí us par záhir ho.

Iliyochaguliwa sasa

Ḳhurúj 20: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia