Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 20

20
1Aur Abrahám waháṉ se junúb ke mulk kí taraf chalá, aur Qádis aur Shor ke darmiyán ṭhahrá, aur Jirár meṉ qiyám kiyá. 2Aur Abrahám ne apní bíwí Sárah ke haqq meṉ kahá, ki Wuh merí bahin hai; aur Jirár ke bádsháh Abímalik ne Sárah ko bulwá liyá. 3Lekin rát ko Ḳhudá Abímalik ke pás ḳhwáb meṉ áyá, aur use kahá, ki Dekh, tú us ‘aurat ke sabab se jise tú ne liyá hai halák hogá, kyúṉki wuh shauharwálí hai. 4Par Abímalik ne us se suhbat nahíṉ kí thí: so us ne kahá, Ai Ḳhudáwand, kyá tú sádiq qaum ko bhí máregá? 5Kyá us ne ḳhud mujh se nahíṉ kahá, ki Yih merí bahin hai? aur wuh áp bhí yihí kahtí thí, ki Wuh merá bháí hai: maiṉ ne to apne sachche dil aur pákíza háthoṉ se yih kiyá. 6Aur Ḳhudá ne use ḳhwáb meṉ kahá, Háṉ, maiṉ jántá húṉ, ki tú ne apne sachche dil se yih kiyá; aur maiṉ ne bhí tujhe roká, ki tú merá gunáh na kare: isí liye maiṉ ne tujhe us ko chhúne na diyá. 7Ab tú us mard kí bíwí ko wápas kar de, kyúṉki wuh nabí hai, aur wuh tere liye du‘á karegá, aur tú jítá rahegá: par agar tú use wápas na kare, to ján le ki tú bhí aur jitne tere haiṉ sab zarúr halák hoṉge. 8Tab Abímalik ne subh sawere uṭhkar apne sab naukaroṉ ko buláyá, aur un ko yih sab báteṉ kah sunáíṉ: tab wuh log bahut ḍar gaye. 9Aur Abímalik ne Abrahám ko bulákar us se kahá, ki Tú ne ham se yih kyá kiyá? aur mujh se terá kyá qusúr húá, ki tú mujh par aur merí bádsháhí par ek gunáh i ‘azím láyá? Tú ne mujh se wuh kám kiye, jin ká karná munásib na thá. 10Abímalik ne Abrahám se yih bhí kahá, ki Tú ne kyá samajhkar yih bát kí? 11Abrahám ne kahá, ki Merá ḳhayál thá ki Ḳhudá ká ḳhauf to is jagah hargiz na hogá, aur wuh mujhe merí bíwí ke sabab se már ḍáleṉge. 12Aur fi’lhaqíqat wuh merí bahin bhí hai, kyúṉki wuh mere báp kí beṭí hai, agarchi merí máṉ kí beṭí nahíṉ. Phir wuh merí bíwí húí. 13Aur jab Ḳhudá ne mere báp ke ghar se mujhe áwára kiyá, to maiṉ ne is se kahá, ki Mujh par yih terí mihrbání hogí, ki jaháṉ kahíṉ ham jáeṉ, tú mere haqq meṉ yihí kahná, ki Yih merá bháí hai. 14Tab Abímalik ne bheṛ bakriyáṉ aur gáe bail, aur g̣ulám aur lauṉḍiyáṉ Abrahám ko díṉ, aur us kí bíwí Sárah ko bhí use wápas kar diyá. 15Aur Abímalik ne kahá, ki Dekh, merá mulk tere sámne hai; jaháṉ jí cháhe rah. 16Aur us ne Sárah se kahá, ki Dekh, maiṉ ne tere bháí ko chándí ke hazár sikke diye haiṉ, wuh un sab ke sámne jo tere sáth haiṉ, tere liye áṉkh ká parda hai, aur sab ke sámne terí dádrasí ho gayí. 17Tab Abrahám ne Ḳhudá se du‘á kí; aur Ḳhudá ne Abímalik, aur us kí bíwí, aur us kí lauṉḍiyoṉ ko, shifá baḳhshí, aur un ke aulád hone lagí; 18kyúṉki Ḳhudáwand ne Abrahám kí bíwí Sárah ke sabab se Abímalik ke ḳhándán ke sab rihm band kar diye the.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 20: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia