Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 32

32
1Aur Ya‘qúb ne bhí apní ráh lí, aur Ḳhudá ke firishte use mile. 2Aur Ya‘qúb ne un ko dekhkar kahá, ki Yih Ḳhudá ká lashkar hai, aur us jagah ká nám Mahanáyim rakkhá.
3Aur Ya‘qúb ne apne áge áge qásidoṉ ko Adom ke mulk ko jo Sha‘ír kí sarzamín meṉ hai, apne bháí ‘Esau ke pás bhejá. 4Aur un ko hukm diyá, ki Tum meṛe ḳhudáwand ‘Esau se yih kahná, ki Áp ká banda Ya‘qúb kahtá hai, ki Maiṉ Lában ke háṉ muqím thá, aur ab tak wahíṉ rahá: 5aur mere pás gáe bail, aur gadhe, aur bheṛ bakriyáṉ aur naukar chákar aur lauṉḍiyáṉ haiṉ, aur maiṉ apne ḳhudáwand ke pás is liye ḳhabar bhejtá húṉ, ki mujh par áp ke karam kí nazar ho. 6Pas qásid Ya‘qúb ke pás lauṭkar áe aur kahne lage, ki Ham tere bháí ‘Esau ke pás gaye the: wuh chár sau ádmíoṉ ko sáth lekar terí muláqát ko á rahá hai. 7Tab Ya‘qúb niháyat ḍar gayá aur pareshán húá: aur us ne apne sáth ke logoṉ, aur bheṛ bakriyoṉ aur gáe bailoṉ, aur uṉṭoṉ ke do g̣ol kiye; 8aur sochá, ki Agar ‘Esau ek g̣ol par á paṛe aur use máre, to dúsrá g̣ol bachkar bhág jáegá. 9Aur Ya‘qúb ne kahá, Ai mere báp Abrahám ke Ḳhudá, aur mere báp Izháq ke Ḳhudá; Ai Ḳhudáwand, jis ne mujhe yih farmáyá, ki Tú apne mulk ko apne rishtadároṉ ke pás lauṭ já, aur maiṉ tere sáth bhaláí karúṉgá. 10Maiṉ terí sab rahmatoṉ aur wafádárí ke muqábale meṉ jo tú ne apne bande ke sáth bartí hai bi’lkull hech húṉ, kyúṉki maiṉ sirf apní láṭhí lekar is Yardan ke pár gayá thá, aur ab aisá húṉ ki mere do g̣ol haiṉ. 11Maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki mujhe mere bháí ‘Esau ke háth se bachá le; kyúṉki maiṉ us se daṛtá húṉ, ki kahíṉ wuh ákar mujhe aur bachchoṉ ko máṉ samet már na ḍále. 12Yih terá hí farmán hai, ki Maiṉ tere sáth zarúr bhaláí karúṉgá, aur terí nasl ko daryá kí ret kí mánind banáúṉgá, jo kasrat ke sabab se giní nahíṉ já saktí. 13Aur wuh us rát wahíṉ rahá; aur jo us ke pás thá us meṉ se apne bháí ‘Esau ke liye yih nazrána liyá: 14do sau bakriyáṉ, aur bís bakre, do sau bheṛen, aur bís meṉḍhe, 15aur tís dúdh denewálí úṉṭniyáṉ bachchoṉ samet, aur chálís gáeṉ, aur das bail, bís gadhiyáṉ, aur das gadhe. 16Aur un ko judá judá g̣ol karke naukaroṉ ko sauṉpá, aur un se kahá, ki Tum mere áge áge pár jao, aur g̣oloṉ ko zará dúr dúr rakhná. 17Aur us ne sab se agle g̣ol ke rakhwále ko hukm diyá, ki Jab merá bháí ‘Esau tujhe mile, aur tujh se púchhe, ki Tú kis ká naukar hai, aur kaháṉ játá hai, aur yih jánwar jo tere áge áge haiṉ, kis ke haiṉ? 18to kahná, ki Yih tere ḳhádim Ya‘qúb ke haiṉ; yih nazrána hai jo mere ḳhudáwand ‘Esau ke liye bhejá gayá hai, aur wuh ḳhud bhí hamáre píchhe píchhe á rahá hai. 19Aur us ne dúsre aur tísre ko, aur goloṉ ke sab rakhwáloṉ ko hukm diyá, ki Jab ‘Esau tum ko mile to tum yihí bát kahná. 20Aur yih bhí kahná, ki Terá ḳhádim Ya‘qúb ḳhud bhí hamáre píchhe píchhe á rahá hai. Us ne yih sochá, ki Maiṉ is nazráne se, jo mujh se pahle waháṉ jáegá, use rází kar lúṉ, tab us ká muṉh dekhúṉgá, sháyad yúṉ wuh mujh ko qubúl kare. 21Chunáṉchi wuh nazrána us ke áge áge pár gayá; par wuh ḳhud us rát apne ḍere meṉ rahá.
22Aur wuh usí rát uṭhá, aur apní donoṉ bíwiyoṉ, donoṉ lauṉḍiyoṉ aur gyárah beṭoṉ ko lekar un ko Yabboq ke gháṭ se pár utárá. 23Aur un ko lekar nadí pár karáyá, aur apná sab kuchh pár bhej diyá. 24Aur Ya‘qúb akelá rah gayá; aur pau phaṭne ke waqt tak ek shaḳhs waháṉ us se kushtí laṛtá rahá. 25Jab us ne dekhá, ki wuh us par g̣álib nahíṉ hotá, to us kí rán ko andar kí taraf se chhúá; aur Ya‘qúb kí rán kí nas us ke sáth kushtí karne meṉ chaṛh gayí. 26Aur us ne kahá, Mujhe jáne de, kyúṉki pau phaṭ chalí. Ya‘qúb ne kahá, ki Jab tak tú mujhe barakat na de, maiṉ tujhe jáne nahíṉ dúṉgá. 27Tab us ne us se púchhá, ki Terá kyá nám hai? Us ne jawáb diyá, Ya‘qúb. 28Us ne kahá, ki Terá nám áge ko Ya‘qúb nahíṉ, balki Isráíl hogá; kyúṉki tú ne Ḳhudá aur ádmíoṉ ke sáth zorázmáí kí, aur g̣álib húá. 29Tab Ya‘qúb ne us se kahá, ki Maiṉ terí minnat kartá húṉ, tú mujhe apná nám batá de. Us ne kahá, ki Tú merá nám kyúṉ púchhtá hai? Aur us ne use waháṉ barakat dí. 30Aur Ya‘qúb ne us jagah ká nám Faníel rakkhá; aur kahá, ki Maiṉ ne Ḳhudá ko rúbarú dekhá, taubhí merí ján bachí rahí. 31Aur jab wuh Faníel se guzar rahá thá, to áftáb tulú‘ húá, aur wuh apní rán se langṛátá thá. 32Isí sabab se baní Isráíl us nas ko, jo rán meṉ andar kí taraf hai, áj tak nahíṉ kháte, kyúṉki us shaḳhs ne Ya‘qúb kí rán kí nas ko, jo andar kí taraf se chaṛh gayí thí, chhú diyá thá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 32: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia