Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidáish 47

47
1Tab Yúsuf ne ákar Fir‘aun ko ḳhabar dí, ki Merá báp, aur mere bháí, aur un kí bheṛ bakriyáṉ, aurgáe bail, aur un ká sárá mál o matá‘ mulk i Kan‘án se á gayá hai, aur abhí to wuh sab Jashan ke ‘iláqe meṉ haiṉ. 2Phir us ne apne bháiyoṉ meṉ se páṉch ko apne sáth liyá, aur un ko Fir‘aun ke sámne házir kiyá. 3Aur Fir‘aun ne us ke bháiyoṉ se púchhá, Tumhárá pesha kyá hai? Unhoṉ ne Fir‘aun se kahá, Tere ḳhádim chaupán haiṉ; jaise hamáre bápdádá the. 4Phir unhoṉ ne Fir‘aun se kahá, ki Ham is mulk meṉ musáfirána taur par rahne áe haiṉ, kyúṉki mulk i Kan‘án meṉ saḳht kál hone kí wajh se waháṉ tere ḳhádimoṉ ke chaupáyoṉ ke liye charáí nahíṉ rahí. So karam karke apne ḳhádimoṉ ko Jashan ke ‘iláqe meṉ rahne de. 5Tab Fir‘aun ne Yúsuf se kahá, ki Terá báp aur tere bháí tere pás á gaye haiṉ: 6Misr ká mulk tere áge paṛá hai; yaháṉ ke achchhe se achchhe ‘iláqe meṉ apne báp aur bháiyoṉ ko basá de, ya‘ní Jashan hí ke ‘iláqe meṉ un ko rahne de: aur agar terí dánist meṉ un meṉ hoshyár ádmí bhí hoṉ, to un ko mere chaupáyoṉ par muqarrar kar de. 7Aur Yúsuf apne báp Ya‘qúb ko andar láyá, aur use Fir‘aun ke sámne házir kiyá; aur Ya‘qúb ne Fir‘aun ko du‘á dí. 8Aur Fir‘aun ne Ya‘qúb se púchhá, ki Terí ‘umr kitne sál kí hai? 9Ya‘qúb ne Fir‘aun se kahá, ki Merí musáfirat ke baras ek sau tís haiṉ; merí zindagí ke aiyám thoṛe, aur dukh se bhare húe rahe, aur abhí yih itne húe bhí nahíṉ haiṉ jitne mere bápdádá kí zindagí ke aiyám un ke daur i musáfirat meṉ húe. 10Aur Ya‘qúb Fir‘aun ko du‘á dekar us ke pás se chalá gayá. 11Aur Yúsuf ne apne báp aur bháiyoṉ ko basá diyá, aur Fir‘aun ke hukm ke mutábiq Ra‘msís ke ‘iláqe ko, jo mulk i Misr ká niháyat zarḳhez ḳhitta hai, un kí jágír ṭhahráyá. 12Aur Yúsuf apne báp, aur apne bháiyoṉ, aur apne báp ke ghar ke sab ádmíoṉ kí parwarish, ek ek ke ḳhándán kí zarúrat ke mutábiq, anáj se karne lagá.
13Aur us sáre mulk meṉ kháne ko kuchh na rahá, kyúṉki kál aisá saḳht thá, ki mulk i Misr aur mulk i Kan‘án donoṉ kál ke sabab se tabáh ho gaye the. 14Aur jitná rupaya mulk i Misr aur mulk i Kan‘án meṉ thá, wuh sab Yúsuf ne us g̣alle ke badle, jise log ḳharídte the, le le kar jama‘ kar liyá; aur sab rupaye ko us ne Fir‘aun ke mahal meṉ pahuṉchá diyá. 15Aur jab wuh sárá rupaya, jo Misr aur Kan‘án ke mulkoṉ meṉ thá, ḳharch ho gayá, to Misrí Yúsuf ke pás ákar kahne lage, Ham ko anáj de, kyúṉki rupaya to hamáre pás rahá nahíṉ. Ham tere hote húe kyúṉ mareṉ? 16Yúsuf ne kahá, ki Agar rupaya nahíṉ hai, to apne chaupáye do, aur maiṉ tumháre chaupáyoṉ ke badle tum ko anáj dúṉgá. 17So wuh apne chaupáye Yúsuf ke pás láne lage, aur Yúsuf ghoṛoṉ, aur bheṛ bakriyoṉ aur gáe bailoṉ, aur gadhoṉ ke badle un ko anáj dene lagá; aur púre sál bhar un ko un ke sab chaupáyoṉ ke badle anáj khiláyá. 18Jab yih sál guzar gayá, to wuh dúsre sál us ke pás ákar kahne lage, ki Is meṉ ham apne ḳhudáwand se kuchh nahíṉ chhipáte, ki hamárá sárá rupaya ḳharch ho chuká, aur hamáre chaupáyoṉ ke galloṉ ká málik bhí hamárá ḳhudáwand ho gayá hai; aur hamárá ḳhudáwand dekh chuká hai ki ab hamáre jism aur hamárí zamín ke siwá kuchh báqí nahíṉ. 19Pas aisá kyúṉ ho ki tere dekhte dekhte ham bhí mareṉ, aur hamárí zamín bhí ujaṛ jáe? So tú ham ko aur hamárí zamín ko anáj ke badle ḳharíd le, ki ham Fir‘aun ke g̣ulám ban jáeṉ, aur hamárí zamín ká málik bhí wuhí ho jáe; aur ham ko bíj de táki ham halák na hoṉ, balki zinda raheṉ, aur mulk bhí wírán na ho. 20Aur Yúsuf ne Misr kí sárí zamín Fir‘aun ke nám par ḳharíd lí; kyúṉki kál se tang ákar Misríoṉ meṉ se har shaḳhs ne apná khet bech ḍálá. So sárí zamín Fir‘aun kí ho gayí. 21Aur Misr ke ek sire se lekar dúsre sire tak jo log rahte the un ko us ne shahroṉ meṉ basáyá. 22Lekin pujáriyoṉ kí zamín us ne na ḳharídí, kyuṉki Fir‘aun kí taraf se pujáriyoṉ ko rasad miltí thí. So wuh apní apní rasad, jo Fir‘aun un ko detá thá kháte the, is liye unhoṉ ne apní zamín na bechí. 23Tab Yúsuf ne waháṉ ke logoṉ se kahá, ki Dekho, maiṉ ne áj ke din tum ko, aur tumhárí zamín ko, Fir‘aun ke nám par ḳharíd liyá hai. So tum apne liye yaháṉ se bíj lo aur khet bo ḍálo. 24Aur fasl par páṉchwáṉ hissa Fir‘aun ko de dená, aur báqí chár tumháre rahe, táki khetí ke liye bíj ke bhí kám áeṉ, aur tumháre aur tumháre ghar ke ádmíoṉ aur tumháre bál bachchoṉ ke liye kháne ko bhí hoṉ. 25Unhoṉ ne kaha, ki Tú ne hamárí ján bacháí hai; ham par hamáre ḳhudáwand ke karam kí nazar rahe aur ham Fir‘aun ke g̣ulám bane raheṉge. 26Aur Yúsuf ne yih áín, jo áj tak hai, Misr kí zamín ke liye ṭhahráyá, ki Fir‘aun paidáwár ká páṉchwáṉ hissa liyá kare: so faqat pujáriyoṉ kí zamín aisí thí jo Fir‘aun kí na húí. 27Aur Isráílí mulk i Misr meṉ Jashan ke ‘iláqe meṉ rahte the, aur unhoṉ ne apní jáedádeṉ khaṛí kar líṉ, aur wuh baṛhe aur bahut ziyáda ho gaye.
28Aur Ya‘qúb mulk i Misr meṉ sattrah baras âur jiyá: so Ya‘qúb kí kull ‘umr ek sau saiṉtálís baras kí húí. 29Aur Isráíl ke marne ká waqt nazdík áyá: tab us ne apne beṭe Yúsuf ko bulákar us se kahá, Agar mujh par tere karam kí nazar hai, to apná háth merí rán ke níche rakh, aur dekh, mihrbání aur sadáqat se mere sáth pesh áná; mujh ko Misr meṉ dafn na karná. 30Balki jab maiṉ apne bápdádá ke sáth so jáúṉ, to mujhe Misr se le jákar un ke qabristán meṉ dafn karná. Us ne jawáb diyá, Jaisá tú ne kahá hai, maiṉ waisá hí karúṉgá. 31Aur us ne kahá, ki Tú mujh se qasam khá, aur us ne us se qasam kháí. Tab Isráíl apne bistar par sirháne kí taraf sijde meṉ ho gayá.

Iliyochaguliwa sasa

Paidáish 47: URDR55

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia