Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Paidāish 24

24
Is'hāq aur Ribqā
1Ibrāhīm ab bahut būṛhā ho gayā thā. Rab ne use har lihāz se barkat dī thī. 2Ek din us ne apne ghar ke sab se buzurg naukar se jo us kī jāydād kā pūrā intazām chalātā thā bāt kī. “Qasam ke lie apnā hāth merī rān ke nīche rakho. 3Rab kī qasam khāo jo āsmān-o-zamīn kā Ḳhudā hai ki tum in Kanāniyoṅ meṅ se jin ke darmiyān maiṅ rahtā hūṅ mere beṭe ke lie bīwī nahīṅ lāoge 4balki mere watan meṅ mere rishtedāroṅ ke pās jāoge aur unhīṅ meṅ se mere beṭe ke lie bīwī lāoge.” 5Us ke naukar ne kahā, “Shāyad wuh aurat mere sāth yahāṅ ānā na chāhe. Kyā maiṅ is sūrat meṅ āp ke beṭe ko us watan meṅ wāpas le jāūṅ jis se āp nikle haiṅ?” 6Ibrāhīm ne kahā, “Ḳhabardār! Use hargiz wāpas na le jānā. 7Rab jo āsmān kā Ḳhudā hai apnā farishtā tumhāre āge bhejegā, is lie tum wahāṅ mere beṭe ke lie bīwī chunane meṅ zarūr kāmyāb hoge. Kyoṅki wuhī mujhe mere bāp ke ghar aur mere watan se yahāṅ le āyā hai, aur usī ne qasam khā kar mujh se wādā kiyā hai ki maiṅ Kanān kā yih mulk terī aulād ko dūṅgā. 8Agar wahāṅ kī aurat yahāṅ ānā na chāhe to phir tum apnī qasam se āzād hoge. Lekin kisī sūrat meṅ bhī mere beṭe ko wahāṅ wāpas na le jānā.”
9Ibrāhīm ke naukar ne apnā hāth us kī rān ke nīche rakh kar qasam khāī ki maiṅ sab kuchh aisā hī karūṅga. 10Phir wuh apne āqā ke das ūṅṭoṅ par qīmtī tohfe lād kar Masoputāmiyā kī taraf rawānā huā. Chalte chalte wuh Nahūr ke shahr pahuṅch gayā.
11Us ne ūṅṭoṅ ko shahr ke bāhar kueṅ ke pās biṭhāyā. Shām kā waqt thā jab aurateṅ kueṅ ke pās ā kar pānī bhartī thīṅ. 12Phir us ne duā kī, “Ai Rab mere āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā, mujhe āj kāmyābī baḳhsh aur mere āqā Ibrāhīm par mehrbānī kar. 13Ab maiṅ is chashme par khaṛā hūṅ, aur shahr kī beṭiyāṅ pānī bharne ke lie ā rahī haiṅ. 14Maiṅ un meṅ se kisī se kahūṅgā, ‘Zarā apnā ghaṛā nīche karke mujhe pānī pilāeṅ.’ Agar wuh jawāb de, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilā detī hūṅ,’ to wuh wuhī hogī jise tū ne apne ḳhādim Is'hāq ke lie chun rakhā hai. Agar aisā huā to maiṅ jān lūṅgā ki tū ne mere āqā par mehrbānī kī hai.”
15Wuh abhī duā kar hī rahā thā ki Ribqā shahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh Batuel kī beṭī thī. (Batuel Ibrāhīm ke bhāī Nahūr kī bīwī Milkāh kā beṭā thā.) 16Ribqā nihāyat ḳhūbsūrat jawān laṛkī thī, aur wuh kuṅwārī bhī thī. Wuh chashme tak utrī, apnā ghaṛā bharā aur phir wāpas ūpar āī.
17Ibrāhīm kā naukar dauṛ kar us se milā. Us ne kahā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.” 18Ribqā ne kahā, “Janāb, pī leṅ.” Jaldī se us ne apne ghaṛe ko kandhe par se utār kar hāth meṅ pakaṛā tāki wuh pī sake. 19Jab wuh pīne se fāriġh huā to Ribqā ne kahā, “Maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī pānī le ātī hūṅ. Wuh bhī pūre taur par apnī pyās bujhāeṅ.” 20Jaldī se us ne apne ghaṛe kā pānī hauz meṅ unḍel diyā aur phir bhāg kar kueṅ se itnā pānī lātī rahī ki tamām ūṅṭoṅ kī pyās bujh gaī.
21Itne meṅ Ibrāhīm kā ādmī ḳhāmoshī se use deḳhtā rahā, kyoṅki wuh jānanā chāhtā thā ki kyā Rab mujhe safr kī kāmyābī baḳhshegā yā nahīṅ. 22Ūṅṭ pānī pīne se fāriġh hue to us ne Ribqā ko sone kī ek nath aur do kangan die. Nath kā taqrīban 6 grām thā aur kanganoṅ kā 120 grām.
23Us ne pūchhā, “Āp kis kī beṭī haiṅ? Kyā us ke hāṅ itnī jagah hai ki ham wahāṅ rāt guzār sakeṅ?”
24Ribqā ne jawāb diyā, “Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai. 25Hamāre pās bhūsā aur chārā hai. Rāt guzārne ke lie bhī kāfī jagah hai.” 26Yih sun kar Ibrāhīm ke naukar ne Rab ko sijdā kiyā. 27Us ne kahā, “Mere āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī tamjīd ho jis ke karm aur wafādārī ne mere āqā ko nahīṅ chhoṛā. Rab ne mujhe sīdhā mere mālik ke rishtedāroṅ tak pahuṅchāyā hai.”
28Laṛkī bhāg kar apnī māṅ ke ghar chalī gaī. Wahāṅ us ne sab kuchh batā diyā jo huā thā. 29-30Jab Ribqā ke bhāī Lāban ne nath aur bahan kī kalāiyoṅ meṅ kanganoṅ ko dekhā aur wuh sab kuchh sunā jo Ibrāhīm ke naukar ne Ribqā ko batāyā thā to wuh fauran kueṅ kī taraf dauṛā.
Ibrāhīm kā naukar ab tak ūṅṭoṅ samet wahāṅ khaṛā thā. 31Lāban ne kahā, “Rab ke mubārak bande, mere sāth āeṅ. Āp yahāṅ shahr ke bāhar kyoṅ khaṛe haiṅ? Maiṅ ne apne ghar meṅ āp ke lie sab kuchh taiyār kiyā hai. Āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī kāfī jagah hai.” 32Wuh naukar ko le kar ghar pahuṅchā. Ūṅṭoṅ se sāmān utārā gayā, aur un ko bhūsā aur chārā diyā gayā. Pānī bhī lāyā gayā tāki Ibrāhīm kā naukar aur us ke ādmī apne pāṅw dhoeṅ.
33Lekin jab khānā ā gayā to Ibrāhīm ke naukar ne kahā, “Is se pahle ki maiṅ khānā khāūṅ lāzim hai ki apnā muāmalā pesh karūṅ.” Lāban ne kahā, “Batāeṅ apnī bāt.” 34Us ne kahā, “Maiṅ Ibrāhīm kā naukar hūṅ. 35Rab ne mere āqā ko bahut barkat dī hai. Wuh bahut amīr ban gayā hai. Rab ne use kasrat se bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail, sonā-chāṅdī, ġhulām aur launḍiyāṅ, ūṅṭ aur gadhe die haiṅ. 36Jab mere mālik kī bīwī būṛhī ho gaī thī to us ke beṭā paidā huā thā. Ibrāhīm ne use apnī pūrī milkiyat de dī hai. 37Lekin mere āqā ne mujh se kahā, ‘Qasam khāo ki tum in Kanāniyoṅ meṅ se jin ke darmiyān maiṅ rahtā hūṅ mere beṭe ke lie bīwī nahīṅ lāoge 38balki mere bāp ke gharāne aur mere rishtedāroṅ ke pās jā kar us ke lie bīwī lāoge.’ 39Maiṅ ne apne mālik se kahā, ‘Shāyad wuh aurat mere sāth ānā na chāhe.’ 40Us ne kahā, ‘Rab jis ke sāmne maiṅ chaltā rahā hūṅ apne farishte ko tumhāre sāth bhejegā aur tumheṅ kāmyābī baḳhshegā. Tumheṅ zarūr mere rishtedāroṅ aur mere bāp ke gharāne se mere beṭe ke lie bīwī milegī. 41Lekin agar tum mere rishtedāroṅ ke pās jāo aur wuh inkār kareṅ to phir tum apnī qasam se āzād hoge.’ 42Āj jab maiṅ kueṅ ke pās āyā to maiṅ ne duā kī, ‘Ai Rab, mere āqā ke Ḳhudā, agar terī marzī ho to mujhe is mishan meṅ kāmyābī baḳhsh jis ke lie maiṅ yahāṅ āyā hūṅ. 43Ab maiṅ is kueṅ ke pās khaṛā hūṅ. Jab koī jawān aurat shahr se nikal kar yahāṅ āe to maiṅ us se kahūṅgā, “Zarā mujhe apne ghaṛe se thoṛā-sā pānī pilāeṅ.” 44Agar wuh kahe, “Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ke lie bhī pānī le āūṅgī” to is kā matlab yih ho ki tū ne use mere āqā ke beṭe ke lie chun liyā hai ki us kī bīwī ban jāe.’
45Maiṅ abhī dil meṅ yih duā kar rahā thā ki Ribqā shahr se nikal āī. Us ke kandhe par ghaṛā thā. Wuh chashme tak utrī aur apnā ghaṛā bhar liyā. Maiṅ ne us se kahā, ‘Zarā mujhe pānī pilāeṅ.’ 46Jawāb meṅ us ne jaldī se apne ghaṛe ko kandhe par se utār kar kahā, ‘Pī leṅ, maiṅ āp ke ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilātī hūṅ.’ Maiṅ ne pānī piyā, aur us ne ūṅṭoṅ ko bhī pānī pilāyā. 47Phir maiṅ ne us se pūchhā, ‘Āp kis kī beṭī haiṅ?’ Us ne jawāb diyā, ‘Merā bāp Batuel hai. Wuh Nahūr aur Milkāh kā beṭā hai.’ Phir maiṅ ne us kī nāk meṅ nath aur us kī kalāiyoṅ meṅ kangan pahnā die. 48Tab maiṅ ne Rab ko sijdā karke apne āqā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī tamjīd kī jis ne mujhe sīdhā mere mālik kī bhatījī tak pahuṅchāyā tāki wuh Is'hāq kī bīwī ban jāe.
49Ab mujhe batāeṅ, kyā āp mere āqā par apnī mehrbānī aur wafādārī kā izhār karnā chāhte haiṅ? Agar aisā hai to Ribqā kī Is'hāq ke sāth shādī qabūl kareṅ. Agar āp muttafiq nahīṅ haiṅ to mujhe batāeṅ tāki maiṅ koī aur qadam uṭhā sakūṅ.”
50Lāban aur Batuel ne jawāb diyā, “Yih bāt Rab kī taraf se hai, is lie ham kisī tarah bhī inkār nahīṅ kar sakte. 51Ribqā āp ke sāmne hai. Use le jāeṅ. Wuh āp ke mālik ke beṭe kī bīwī ban jāe jis tarah Rab ne farmāyā hai.” 52Yih sun kar Ibrāhīm ke naukar ne Rab ko sijdā kiyā. 53Phir us ne sone aur chāṅdī ke zewarāt aur mahange malbūsāt apne sāmān meṅ se nikāl kar Ribqā ko die. Ribqā ke bhāī aur māṅ ko bhī qīmtī tohfe mile.
54Is ke bād us ne apne hamsafroṅ ke sāth shām kā khānā khāyā. Wuh rāt ko wahīṅ ṭhahre. Agle din jab uṭhe to naukar ne kahā, “Ab hameṅ ijāzat deṅ tāki apne āqā ke pās lauṭ jāeṅ.” 55Ribqā ke bhāī aur māṅ ne kahā, “Ribqā kuchh din aur hamāre hāṅ ṭhahre. Phir āp jāeṅ.” 56Lekin us ne un se kahā, “Ab der na kareṅ, kyoṅki Rab ne mujhe mere mishan meṅ kāmyābī baḳhshī hai. Mujhe ijāzat deṅ tāki apne mālik ke pās wāpas jāūṅ.” 57Unhoṅ ne kahā, “Chaleṅ, ham laṛkī ko bulā kar usī se pūchh lete haiṅ.”
58Unhoṅ ne Ribqā ko bulā kar us se pūchhā, “Kyā tū abhī is ādmī ke sāth jānā chāhtī hai?” Us ne kahā, “Jī, maiṅ jānā chāhtī hūṅ.” 59Chunāṅche unhoṅ ne apnī bahan Ribqā, us kī dāyā, Ibrāhīm ke naukar aur us ke hamsafroṅ ko ruḳhsat kar diyā. 60Pahle unhoṅ ne Ribqā ko barkat de kar kahā, “Hamārī bahan, Allāh kare ki tū karoṛoṅ kī māṅ bane. Terī aulād apne dushmanoṅ ke shahroṅ ke darwāzoṅ par qabzā kare.” 61Phir Ribqā aur us kī naukarāniyāṅ uṭh kar ūṅṭoṅ par sawār huīṅ aur Ibrāhīm ke naukar ke pīchhe ho līṅ. Chunāṅche naukar unheṅ sāth le kar rawānā ho gayā.
62Us waqt Is'hāq mulk ke junūbī hisse, Dasht-e-Najab meṅ rahtā thā. Wuh Bair-lahī-roī se āyā thā. 63Ek shām wuh nikal kar khule maidān meṅ apnī sochoṅ meṅ magan ṭahal rahā thā ki achānak ūṅṭ us kī taraf āte hue nazar āe. 64Jab Ribqā ne apnī nazar uṭhā kar Is'hāq ko dekhā to us ne ūṅṭ se utar kar 65naukar se pūchhā, “Wuh ādmī kaun hai jo maidān meṅ ham se milne ā rahā hai?” Naukar ne kahā, “Merā mālik hai.” Yih sun kar Ribqā ne chādar le kar apne chehre ko ḍhāṅp liyā.
66Naukar ne Is'hāq ko sab kuchh batā diyā jo us ne kiyā thā. 67Phir Is'hāq Ribqā ko apnī māṅ Sārā ke ḍere meṅ le gayā. Us ne us se shādī kī, aur wuh us kī bīwī ban gaī. Is'hāq ke dil meṅ us ke lie bahut muhabbat paidā huī. Yoṅ use apnī māṅ kī maut ke bād sukūn milā.

Iliyochaguliwa sasa

Paidāish 24: GVR

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia