Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 20

20
BÍSWÍṈ ZABÚR.
Qadím kalísyá ke istịmál ke liye jang ke waqt kí duạ́. Kalísyá apne zahirí sardár se muḳhátib hokar duạ́ kartí hai, ki Ḳhudá terí madad kare, aur tujhe fathyábí baḳhshe (1—5), aur is duạ́ ke mustajáb hone ká qawí ịtiqád rakhtí hai (6—8), aur naját aur mustajáb hone kí phir duạ́ karke is zabúr ko ḳhatm kartí hai (9).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Yahowáh tangí ke din terí sune! Yạqúb ke Ḳhudá ká nam tujhe balandí par rakhe! 2Maqdis se tujhe madad bheje, aur Saihún se tujhe sambhále! 3Tere sáre hadiyoṉ ko yád farmáe, aur terí soḳhtaní qurbání ko qabúl kare! Siláh. 4Tere dil ke mutábiq tujhe baḳhshe, aur tere sáre mansúbe ko púrá kare! 5Ham terí naját par tarannum kareṉ, aur apne Ḳhudá ke nám par jhanḍá khará kareṉ! Yahowáh terí sárí darḳhwásteṉ púrí kare!
6Ab maiṉ ne jáná hai, ki Yahowáh ne apne dahne háth kí naját baḳhshnewálí qúwatoṉ se apne Masíh ko bacháyá hai; wuh apne muqaddas ásmánoṉ se us kí sunegá. 7Yih gáṛíoṉ ká aur wuh ghoṛoṉ ká, aur ham Yahowáh apne Ḳhudá ke nám ká zikr karenge. 8Wuh jhuke aur gir pare haiṉ, aur ham uthe aur sídhe khare húe hain.
9Ai Yahowáh, bachá! Jis din ki ham pukáreṉ, bádsháh hamárí sune!

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 20: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia