Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 41

41
IKTẠ́LÍSWÍṈ ZABÚR.
Dáúd kahtá hai, Chúṉki maiṉ ne auroṉ par rahm kiyá hai, aur rahím par rahm kiyá jáegá (1—3), to, Ai Ḳhudá, mujh par bimárí kí hálat meṉ aur dushmanoṉ kí ḍáh kí musíbat meṉ rahm kar (4—9), aur madad kí duạ́ karke ịtiqád rakhtá hai ki beshakk Ḳhudá use madad baḳhshegá (10—13).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Wuh kyá hí mubárak hai jo miskín ke haqq meṉ dánishmandí kartá hai! Yahowáh musibat ke din use chhuṛáegá. 2Yahowáh us kí hifázat karegá aur use zinda rakhegá; wuh zamín par iqbálmand rahegá; aur tú use us ke dushmanoṉ kí ḳhwáhish par na chhoṛ. 3Yahowáh use kamzorí ke bistar par sambhálegá; tú ne us kí bímárí meṉ us ke sáre bichhaune ko ulaṭke bichháyá hai.
4Maiṉ ne kahá hai, ki “Ai Yahowáh, mujh par rahm kar; meṛí ján ko shifá baḳhsh, kyúṉki maiṉ ne tera gunah kiyá hai.” 5Mere dushman merí nisbat burá kahte haiṉ: ki “Wuh kab maregá aur kab us ká nám nest o nábúd ho jáegá?” 6Aur agar wuh dekhne ko áe, to jhúṭh bolegá; wuh apne dil meṉ apne liye badí baṭortá hai; wuh báhar jáegá aur raste meṉ bayán karegá. 7Mere sáre hásid báham merí muḳhálafat meṉ sargoshí karte haiṉ; wuh mere haqq meṉ mere nuqsán ká mansúba bándhte haiṉ. 8“Ḳharábí kí bát us meṉ unḍelí gaí, aur jo waháṉ paṛá hai, wuh phir na uṭhegá.” 9Jis se maiṉ sulh rakhtá thá, jis par mera bharosa thá, jo merí roṭí khátá thá, us ádmí ne bhí mujh par lat uṭháí hai.
10Aur Tú, Ai Yahowáh, mujh par rahm kar, aur mujhe uṭháke khaṛá kar, aur maiṉ un se badla lúṉgá. 11Is se maiṉ ne jáná hai ki tú mujh se ḳhush húá, ki mera dushman mujh par fath nahíṉ pá saktá. 12Aur Maiṉ jo húṉ, tú ne merí tamámí meṉ mujhe thámbhá, aur mujhe apne sámhne abad tak rakhá hai.
13Yahowáh, Isráíl ká Ḳhudá, azal se abad tak mubárak ho! Ámín aur Ámín.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 41: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia