Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 61

61
EKSAṬHWÍṈ ZABÚR.
Dáúd g̣áliban Abisalúm kí bag̣áwat ke báịs se tangí meṉ paṛke madad kí duạ́ kartá hai, aur use yaqín hai ki Ḳhudá use riháí baḳhshegá aur abad tak us kí já i panáh rahegá (1—4). Is yaqín ká sabab yih hai, ki Ḳhudá ne us se wạda kiyá ki us kí nasl abad tak taḳht-nashín hokar. Ḳhudá kí himáyat meṉ mahfúz rahegí (5-8).
Sardár Mug̣anní ke liye; tar ke báje par Dáúd kí Zabúr.
1Ai Ḳhudá, merá nála sun, merí duạ́ ká shinawá ho. 2Maiṉ apní dilgírí meṉ zamín kí sarhadd se terí taraf pukárúṉgá: us chaṭán par jo mujh se baland hai tú merí rahnumáí karegá. 3Kyúṉki tú mere liye já i panáh húá hai, dushman ke sámhne mazbút burj. 4Maiṉ tere ḳhaime meṉ abad tak rahá karúṉgá; tere paroṉ ke sáye tale panáh lúṉgá. Siláh.
5Kyúṉki, Ai Ḳhudá, Tú hí ne merí nazreṉ qabúl farmáíṉ; apne nám se ḍarnewáloṉ kí mírás mujhe baḳhshí hai. 6Tú bádsháh kí ụmr par ụmr baṛháegá; us ke baras pusht dar pusht. 7Wuh abad tak Ḳhudá ke sámhne taḳht-nashín rahegá: tú mihrbání aur sacháí maujúd rakh; wuh us kí hifázat karengí. 8So maiṉ hamesha tak tere nam kí nag̣ma-saráí karúṉgá, táki roz ba roz apní nazreṉ adá karúṉ.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 61: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia