Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 65

65
PAIṈSAṬHWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ Ḳhudá kí hamd ụmúman is sabab se kí játí hai, ki wuh sáre ádmioṉ par rahím o mihrbán hai (1—8); aur ḳhusúsan is wajh se, ki wuh zamín se anáj kasrat se detá hai (9—13).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr o Sarod.
1Ai Ḳhudá, Saihún meṉ chupke chupke terí hamd kí játí hai, aur tujhe nazr adá kí jáegí. 2Ai Duạ ke Sunnewále, sáre bashar tere pás áenge. 3Badíoṉ kí báteṉ mujh se qawítar haiṉ; hamáre gunáhoṉ ká kafára Tú hí degá. 4Wuh kyá mubárak hai jise tú barguzída aur muqarrab karegá, táki terí bárgáhoṉ meṉ sukúnat kare! Ham tere ghar, yạne, terí muqaddas haikal kí ḳhúbí se ásúda honge. 5Ai Hamáre Naját-dihinda Ḳhudá, zamín aur samundar kí sárí dur o daráz sarhaddeṉ kí ummedgáh, tú sidq se hameṉ haibatnák jawab degá; 6jo, qúwat se kamarbasta hoke, apní qudrat se paháṛoṉ ko nasb karta hai; 7jo samundaroṉ ke josh o ḳharosh, un kí maujoṉ ke josh o ḳharosh, aur qaumoṉ ke g̣ul-shor ko faro karta hai. 8Tab sarhaddoṉ ke báshinde tere nishánoṉ se ḍare; tú subh aur shám ke nikalne kí jagahoṉ se tarannum karwáegá.
9Tú ne zamín par tawajjuh kí aur use seráb kiyá hai; tú use bahut hí serhásil karegá; Ḳhudá kí nahr paní se bharí hai; tú un ke anáj ko taiyár karegá, kyúṉki tú use is tarah se taiyár kartá hai. 10Us kí regháríoṉ ko sínch, us ke ḍheloṉ ko hamwár kar; tú use meṉhoṉ se narm karegá; us kí roídagí ko barakat baḳhshegá. 11Tú ne apne lutf se sál par táj rakhá hai, aur terí sair se raug̣an ṭapaktá hai. 12Bayábán kí charágáheṉ ṭapaktí haiṉ, aur paháṛíáṉ ḳhushí se kamarbasta haiṉ. 13Charágáheṉ galloṉ se malbús haiṉ, aur nasheb anáj se ḍhap jáenge; wuh khushí se lalkárenge, balki gáyá karenge.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 65: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia