Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 70

70
SATTARWÍṈ ZABÚR.
Dáúd ne chálíswíṉ zabúr meṉ guzrí húí riháí ke sabab se shukrguzárí kí (1—13), aur duạ́ bhi mángí ki Ḳhudá shukrguzárí ká koí nayá sabab ạtá kare (14—17). Us kí wuh duạ́, jo chálíswíṉ zabúr ká pichhlá hissa hai, yaháṉ unhattarwíṉ zabúr ká goyá ḳhátima, aur ekhattarwíṉ zabúr ká díbája hai, kyúṉki wuh donoṉ zabúreṉ is duạ́ se muwáfaqat o mushábahat rakhtí haiṉ, aur is tarah se yih tínoṉ zabúreṉ ek silsile meṉ haiṉ.
Sardár Mug̣anní ke liye; Tazkír ke liye#Yạne, Ḳhudá ko apne bande kí hájaton kí nisbat yád diláne ke liye. Dáúd kí Zabúr.
1Ai Ḳhudá, mujhe riháí dene ke liye, Ai Yahowáh, merí madad ke liye jaldí kar! 2Wuh jo merí ján ke tálib haiṉ sharminda aur ḳhajil honge; merí musíbat ke ḳhwáháṉ píchhe haṭáe aur ruswá kie jáenge. 3Jo “Ahá, ahá” kahte haiṉ, wuh apní sharmindagí ke sabab se palaṭ jáenge. 4Tere sáre tálib tujh se shádmán aur ḳhush honge; aur terí naját ke ạ́shiq hamesha kahá karenge, ki “Ḳhudá azím ho!” 5Aur Maiṉ musíbatzada aur kangál húṉ; Ai Ḳhudá, mere liye jaldí kar! Mera madadgár aur mera chhuṛánewálá Tú hí hai; Ai Yahowáh, der na kar!

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 70: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia