Chapa ya Youversion
Ikoni ya Utafutaji

Zabúr 73

73
TIHATTARWÍṈ ZABÚR.
SIFR I SÁLIS.
Is zabúr ká ḳhulása páhli áyat meṉ hai, yạne, Ḳhudá apne logoṉ ke liye sirf khub o mihrbán hai, aur ḳhúbí ke siwá aur kisí taur par un se pesh nahíṉ átá. Dáúd ká Sardár Mug̣anní Ásaf kahtá hai ki agarchi guzre waqt meṉ mujhe is kí nisbat kuchh shubha thá, lekin ab yaqín hai ki Ḳhudá apne logoṉ ke liye hamesha khub aur sirf khub hai. Jin fikroṉ aur shubhoṉ aur ghabráhaṭ ká pahlí áyat meṉ lafz i sirf ke sáth ishára kiyá gayá, un ká ab mufassal bayán kartá hai, aur pahle un wáqiạ́t ká zikr kartá hai jin ke sabab se yih shubhe us ke dil meṉ paidá húe (2—11); is ke bạd in wáqiạ́t ki un tásíroṉ ká bayán hai jo us ke dil meṉ paidá húín (12—16); aur yih bayán, ki kis tarah yih ghabráhaṭ aur shubha us ke dil se rafạ húá, aur kyúṉkar us ko taskín hásil húí (17—20); aur apne taíṉ guzrí nádání par malámat karke (21, 22), us fazl i iláhí kí tạríf kartá hai jis ne use gumráhí o tabáhí se bacháyá (23, 24); aur kahtá hai ki maiṉ apne sáre dil o ján se apní abadí salámatí o bihbúdí ke liye usí fazl par bharosa rakhtá hún (25—28).
Ásaf kí Zabúr.
1Ḳhudá Isráíl ke liye, sáf dil-wáloṉ ke liye, sirf khub hai. 2Aur Maiṉ— nazdík thá ki mere paṉw ṭal jáeṉ, qaríb thá ki mere qadam phisal jáeṉ. 3Kyúṉki maiṉ mutakabbiroṉ par hasad kartá thá; aur kahtá thá ki Sharíroṉ kí salámatí dekhá karúṉgá. 4Kyúṉki un ke liye maut ke waqt kisí tarah ke ụqde nahíṉ haiṉ; aur un kí táqat ḳámil hai. 5Wuh insán ke mánind dukh meṉ nahíṉ haiṉ, aur ádam-zád ke sáth mar nahíṉ kháte. 6Is liye g̣urúr un kí gardan ká tauq húá, zulm kí poshák ne unheṉ ḍhámp liyá hai. 7Un kí ánkheṉ charbí se ubharí húí haiṉ, un ke dil ke tasauwurát ne ụbúr kiyá hai. 8Wuh chiṛháte aur sharárat ke sáth báteṉ karte haiṉ; sar-balandí se zulm kí báteṉ karte haiṉ. 9Unhoṉ ne apná muṉh ásmán par rakhá hai, aur un kí zabán zamín par sair kartí hai. 10Is liye wuh apní ummat ko yaháṉ pher látá hai, aur labálab pání un par nichóṛá játá hai. 11Aur wuh kahte haiṉ, ki “Qádir i Mutlaq kyúṉkar jane, aur kyúṉkar Haqq Taạ́lá ko is ká ịlm ho”?
12Dekho, yih sharír haiṉ, aur hamesha ke iqbálmand, unhoṉ ne apní daulat baṛháí hai. 13Sirf ạbas maiṉ ne apne dil ko pák kiyá hai, aur be ạibí meṉ apne háth dhoe haiṉ. 14Aur maiṉ sáre din mar khátá rahá, aur har subh ko merí tambíh húí. 15Agar maiṉ ne kahá ho ki aisá bayán karúṉgá, to dekh, maiṉ ne tere farzandoṉ kí guroh se dag̣á kí hai. 16Aur maiṉ ise daryáft karne ke liye sochá kartá thá; wuh merí ánkhoṉ meṉ dukh thá.
17 Aur main ne kahá Jab tak Qádir i Mutlaq kí maqdis meṉ na áúṉ, tab tak un ke anjám ká ḳhiyál kiyá karúṉgá. 18Tú unheṉ sirf phisaltí jagahoṉ meṉ rakhegá, aur ab tú ne unheṉ tabáhí meṉ giráyá hai. 19Wuh goyá ek lahze meṉ kyá hí wírání meṉ paṛ gae! Dahshatoṉ se nesto nábúd aur tamám ho gae. 20Jágnewále ke khwáb ke mánind, Ai Ḳhudáwand, jab tú jágegá, tab un kí súrat ko haqír jánegá.
21Kyúṉki mera dil áp ko khaṭṭá kar detá hai, aur maiṉ apne gurdoṉ meṉ apne taíṉ chhedtá húṉ. 22Aur Maiṉ haiwán hún, aur nahíṉ jántá; maiṉ tere huzúr baháim húá.
23Aur Maiṉ hamesha tere sáth húṉ; tú ne mera dahná háth pakṛá. 24Tú apní maslahat se merí hidáyat karegá, aur us ke bạd mujhe jalál meṉ le legá.
25Ásmán par mera kaun hai? Aur zamín par tere sáth maiṉ ne kisí ko nahíṉ cháhá. 26Merá jism aur merá dil ghaṭ gayá; par Ḳhudá abad tak mere dil kí chaṭán aur mera hissa hai. 27Kyúṉki, dekh, jo tujh se dúr haiṉ, wuh halák honge; tú ne har ek ko jo tujh se zání húá káṭ ḍálá hai. 28Aur Maiṉ — Ḳhudá kí qurbat mere liye ḳhub hai: main ne Ḳhudáwand Yahowáh par apná bharosa rakhá hai, táki, Ai Ḳhudá, tere sáre kámoṉ ká bayán karúṉ.

Iliyochaguliwa sasa

Zabúr 73: URDRPS

Kuonyesha

Shirikisha

Nakili

None

Je, ungependa vivutio vyako vihifadhiwe kwenye vifaa vyako vyote? Jisajili au ingia