1
Paidáish 4:7
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Agar tú bhalá kare, to kyá tú maqbúl na hogá? aur agar tú bhalá na kare, to gunáh darwáze par dabká baiṭhá hai, aur terá mushtáq hai, par tú us par g̣álib á.
Karşılaştır
Paidáish 4:7 keşfedin
2
Paidáish 4:26
Aur Set ke háṉ bhí ek beṭá paidá húá, jis ká nám us ne Anús rakkhá: us waqt se log YAHOWáH ká nám lekar du‘á karne lage.
Paidáish 4:26 keşfedin
3
Paidáish 4:9
Tab ḲHUDáWAND ne Qáin se kahá, ki Terá bháí Hábil kaháṉ hai? Us ne kahá, Mujhe ma‘lúm nahíṉ: kyá maiṉ apne bháí ká muháfiz húṉ?
Paidáish 4:9 keşfedin
4
Paidáish 4:10
Phir us ne kahá, ki Tú ne yih kyá kiyá? tere bháí ká ḳhún zamín se mujh ko pukártá hai.
Paidáish 4:10 keşfedin
5
Paidáish 4:15
Tab ḲHUDáWAND ne us se kahá, Nahíṉ, balki jo Qáin ko qatl kare us se sát guná badla liyá jáegá. Aur ḲHUDáWAND ne Qáin ke liye ek nishán ṭhahráyá, ki koí use pákar már na ḍále.
Paidáish 4:15 keşfedin
Ana Sayfa
Kutsal Kitap
Okuma Planları
Videolar