1
Yūhannā 11:25-26
Kitab-i Muqaddas
Īsā ne use batāyā, “Qiyāmat aur zindagī to maiṅ hūṅ. Jo mujh par īmān rakhe wuh zindā rahegā, chāhe wuh mar bhī jāe. Aur jo zindā hai aur mujh par īmān rakhtā hai wuh kabhī nahīṅ maregā. Marthā, kyā tujhe is bāt kā yaqīn hai?”
Karşılaştır
Yūhannā 11:25-26 keşfedin
2
Yūhannā 11:40
Īsā ne us se kahā, “Kyā maiṅ ne tujhe nahīṅ batāyā ki agar tū īmān rakhe to Allāh kā jalāl dekhegī?”
Yūhannā 11:40 keşfedin
3
Yūhannā 11:35
Īsā ro paṛā.
Yūhannā 11:35 keşfedin
4
Yūhannā 11:4
Jab Īsā ko yih ḳhabar milī to us ne kahā, “Is bīmārī kā anjām maut nahīṅ hai, balki yih Allāh ke jalāl ke wāste huā hai, tāki is se Allāh ke Farzand ko jalāl mile.”
Yūhannā 11:4 keşfedin
5
Yūhannā 11:43-44
Phir Īsā zor se pukār uṭhā, “Lāzar, nikal ā!” Aur murdā nikal āyā. Abhī tak us ke hāth aur pāṅw paṭṭiyoṅ se bandhe hue the jabki us kā chehrā kapṛe meṅ lipṭā huā thā. Īsā ne un se kahā, “Is ke kafan ko khol kar ise jāne do.”
Yūhannā 11:43-44 keşfedin
6
Yūhannā 11:38
Phir Īsā dubārā nihāyat ranjīdā ho kar qabr par āyā. Qabr ek ġhār thī jis ke muṅh par patthar rakhā gayā thā.
Yūhannā 11:38 keşfedin
7
Yūhannā 11:11
Phir us ne kahā, “Hamārā dost Lāzar so gayā hai. Lekin maiṅ jā kar use jagā dūṅgā.”
Yūhannā 11:11 keşfedin
Ana Sayfa
Kutsal Kitap
Okuma Planları
Videolar