1
Yūhannā 20:21-22
Kitab-i Muqaddas
Īsā ne dubārā kahā, “Tumhārī salāmatī ho! Jis tarah Bāp ne mujhe bhejā usī tarah maiṅ tum ko bhej rahā hūṅ.” Phir un par phūṅk kar us ne farmāyā, “Rūhul-quds ko pā lo.
Karşılaştır
Yūhannā 20:21-22 keşfedin
2
Yūhannā 20:29
Phir Īsā ne use batāyā, “Kyā tū is lie īmān lāyā hai ki tū ne mujhe dekhā hai? Mubārak haiṅ wuh jo mujhe dekhe baġhair mujh par īmān lāte haiṅ.”
Yūhannā 20:29 keşfedin
3
Yūhannā 20:27-28
Phir wuh Tomā se muḳhātib huā, “Apnī unglī ko mere hāthoṅ aur apne hāth ko mere pahlū ke zaḳhm meṅ ḍāl aur be'etaqād na ho balki īmān rakh.” Tomā ne jawāb meṅ us se kahā, “Ai mere Ḳhudāwand! Ai mere Ḳhudā!”
Yūhannā 20:27-28 keşfedin
Ana Sayfa
Kutsal Kitap
Okuma Planları
Videolar