1
Lūqā 9:23
Kitab-i Muqaddas
Phir us ne sab se kahā, “Jo mere pīchhe ānā chāhe wuh apne āp kā inkār kare aur har roz apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe ho le.
Karşılaştır
Lūqā 9:23 keşfedin
2
Lūqā 9:24
Kyoṅki jo apnī jān ko bachāe rakhnā chāhe wuh use kho degā. Lekin jo merī ḳhātir apnī jān kho de wuhī use bachāegā.
Lūqā 9:24 keşfedin
3
Lūqā 9:62
Lekin Īsā ne jawāb diyā, “Jo bhī hal chalāte hue pīchhe kī taraf dekhe wuh Allāh kī bādshāhī ke lāyq nahīṅ hai.”
Lūqā 9:62 keşfedin
4
Lūqā 9:25
Kyā fāydā hai agar kisī ko pūrī duniyā hāsil ho jāe magar wuh apnī jān se mahrūm ho jāe yā use is kā nuqsān uṭhānā paṛe?
Lūqā 9:25 keşfedin
5
Lūqā 9:26
Jo bhī mere aur merī bātoṅ ke sabab se sharmāe us se Ibn-e-Ādam bhī us waqt sharmāegā jab wuh apne aur apne Bāp ke aur muqaddas farishtoṅ ke jalāl meṅ āegā.
Lūqā 9:26 keşfedin
6
Lūqā 9:58
Īsā ne jawāb diyā, “Lomṛiyāṅ apne bhaṭoṅ meṅ aur parinde apne ghoṅsloṅ meṅ ārām kar sakte haiṅ, lekin Ibn-e-Ādam ke pās sar rakh kar ārām karne kī koī jagah nahīṅ.”
Lūqā 9:58 keşfedin
7
Lūqā 9:48
aur un se kahā, “Jo mere nām meṅ is bachche ko qabūl kartā hai wuh mujhe hī qabūl kartā hai. Aur jo mujhe qabūl kartā hai wuh use qabūl kartā hai jis ne mujhe bhejā hai. Chunāṅche tum meṅ se jo sab se chhoṭā hai wuhī baṛā hai.”
Lūqā 9:48 keşfedin
Ana Sayfa
Kutsal Kitap
Okuma Planları
Videolar