Лого на YouVersion
Иконка за търсене

Yūhannā 1

1
Zindagī kā Kalām
1Ibtidā meṅ Kalām thā. Kalām Allāh ke sāth thā aur Kalām Allāh thā. 2Yihī ibtidā meṅ Allāh ke sāth thā. 3Sab kuchh Kalām ke wasīle se paidā huā. Maḳhlūqāt kī ek bhī chīz us ke baġhair paidā nahīṅ huī. 4Us meṅ zindagī thī, aur yih zindagī insānoṅ kā nūr thī. 5Yih nūr tārīkī meṅ chamaktā hai, aur tārīkī ne us par qābū na pāyā.
6Ek din Allāh ne apnā paiġhambar bhej diyā, ek ādmī jis kā nām Yahyā thā. 7Wuh nūr kī gawāhī dene ke lie āyā. Maqsad yih thā ki log us kī gawāhī kī binā par īmān lāeṅ. 8Wuh ḳhud to nūr na thā balki use sirf nūr kī gawāhī denī thī. 9Haqīqī nūr jo har shaḳhs ko raushan kartā hai duniyā meṅ āne ko thā.
10Go Kalām duniyā meṅ thā aur duniyā us ke wasīle se paidā huī to bhī duniyā ne use na pahchānā. 11Wuh us meṅ āyā jo us kā apnā thā, lekin us ke apnoṅ ne use qabūl na kiyā. 12To bhī kuchh use qabūl karke us ke nām par īmān lāe. Unheṅ us ne Allāh ke farzand banane kā haq baḳhsh diyā, 13aise farzand jo na fitrī taur par, na kisī insān yā mard ke mansūbe se paidā hue balki Allāh se.
14Kalām insān ban kar hamāre darmiyān rihāishpazīr huā aur ham ne us ke jalāl kā mushāhadā kiyā. Wuh fazl aur sachchāī se māmūr thā aur us kā jalāl Bāp ke iklaute Farzand kā-sā thā.
15Yahyā us ke bāre meṅ gawāhī de kar pukār uṭhā, “Yih wuhī hai jis ke bāre meṅ maiṅ ne kahā, ‘Ek mere bād āne wālā hai jo mujh se baṛā hai, kyoṅki wuh mujh se pahle thā.’”
16Us kī kasrat se ham sab ne fazl par fazl pāyā. 17Kyoṅki sharīat Mūsā kī mārifat dī gaī, lekin Allāh kā fazl aur sachchāī Īsā Masīh ke wasīle se qāym huī. 18Kisī ne kabhī bhī Allāh ko nahīṅ dekhā. Lekin iklautā Farzand jo Allāh kī god meṅ hai usī ne Allāh ko ham par zāhir kiyā hai.
Yahyā Baptismā Dene Wāle kā Paiġhām
19Yih Yahyā kī gawāhī hai jab Yarūshalam ke Yahūdiyoṅ ne imāmoṅ aur Lāwiyoṅ ko us ke pās bhej kar pūchhā, “Āp kaun haiṅ?”
20Us ne inkār na kiyā balki sāf taslīm kiyā, “Maiṅ Masīh nahīṅ hūṅ.”
21Unhoṅ ne pūchhā, “To phir āp kaun haiṅ? Kyā āp Iliyās haiṅ?”
Us ne jawāb diyā, “Nahīṅ, maiṅ wuh nahīṅ hūṅ.”
Unhoṅ ne sawāl kiyā, “Kyā āp āne wālā nabī haiṅ?”
Us ne kahā, “Nahīṅ.”
22“To phir hameṅ batāeṅ ki āp kaun haiṅ? Jinhoṅ ne hameṅ bhejā hai unheṅ hameṅ koī na koī jawāb denā hai. Āp ḳhud apne bāre meṅ kyā kahte haiṅ?”
23Yahyā ne Yasāyāh Nabī kā hawālā de kar jawāb diyā, “Maiṅ registān meṅ wuh āwāz hūṅ jo pukār rahī hai, Rab kā rāstā sīdhā banāo.”
24Bheje gae log Farīsī firqe se tālluq rakhte the. 25Unhoṅ ne pūchhā, “Agar āp na Masīh haiṅ, na Iliyās yā āne wālā nabī to phir āp baptismā kyoṅ de rahe haiṅ?”
26Yahyā ne jawāb diyā, “Maiṅ to pānī se baptismā detā hūṅ, lekin tumhāre darmiyān hī ek khaṛā hai jis ko tum nahīṅ jānte. 27Wuhī mere bād āne wālā hai aur maiṅ us ke jūtoṅ ke tasme bhī kholne ke lāyq nahīṅ.”
28Yih Yardan ke pār Bait-aniyāh meṅ huā jahāṅ Yahyā baptismā de rahā thā.
Allāh kā Lelā
29Agle din Yahyā ne Īsā ko apne pās āte dekhā. Us ne kahā, “Dekho, yih Allāh kā Lelā hai jo duniyā kā gunāh uṭhā le jātā hai. 30Yih wuhī hai jis ke bāre meṅ maiṅ ne kahā, ‘Ek mere bād āne wālā hai jo mujh se baṛā hai, kyoṅki wuh mujh se pahle thā.’ 31Maiṅ to use nahīṅ jāntā thā, lekin maiṅ is lie ā kar pānī se baptismā dene lagā tāki wuh Isrāīl par zāhir ho jāe.”
32Aur Yahyā ne yih gawāhī dī, “Maiṅ ne dekhā ki Rūhul-quds kabūtar kī tarah āsmān par se utar kar us par ṭhahar gayā. 33Maiṅ to use nahīṅ jāntā thā, lekin jab Allāh ne mujhe baptismā dene ke lie bhejā to us ne mujhe batāyā, ‘Tū dekhegā ki Rūhul-quds utar kar kisī par ṭhahar jāegā. Yih wuhī hogā jo Rūhul-quds se baptismā degā.’ 34Ab maiṅ ne dekhā hai aur gawāhī detā hūṅ ki yih Allāh kā Farzand hai.”
Īsā ke Pahle Shāgird
35Agle din Yahyā dubārā wahīṅ khaṛā thā. Us ke do shāgird sāth the. 36Us ne Īsā ko wahāṅ se guzarte hue dekhā to kahā, “Dekho, yih Allāh kā Lelā hai!”
37Us kī yih bāt sun kar us ke do shāgird Īsā ke pīchhe ho lie. 38Īsā ne muṛ kar dekhā ki yih mere pīchhe chal rahe haiṅ to us ne pūchhā, “Tum kyā chāhte ho?” Unhoṅ ne kahā, “Ustād, āp kahāṅ ṭhahre hue haiṅ?”
39Us ne jawāb diyā, “Āo, ḳhud dekh lo.” Chunāṅche wuh us ke sāth gae. Unhoṅ ne wuh jagah dekhī jahāṅ wuh ṭhahrā huā thā aur din ke bāqī waqt us ke pās rahe. Shām ke taqrīban chār baj gae the.
40Shamāūn Patras kā bhāī Andriyās un do shāgirdoṅ meṅ se ek thā jo Yahyā kī bāt sun kar Īsā ke pīchhe ho lie the. 41Ab us kī pahlī mulāqāt us ke apne bhāī Shamāūn se huī. Us ne use batāyā, “Hameṅ Masīh mil gayā hai.” (Masīh kā matlab ‘Masah Kiyā Huā Shaḳhs’ hai.) 42Phir wuh use Īsā ke pās le gayā.
Use dekh kar Īsā ne kahā, “Tū Yūhannā kā beṭā Shamāūn hai. Tū Kaifā kahlāegā.” (Is kā Yūnānī tarjumā Patras yānī Patthar hai.)
Īsā Filippus aur Natanel ko Bulātā Hai
43Agle din Īsā ne Galīl jāne kā irādā kiyā. Filippus se milā to us se kahā, “Mere pīchhe ho le.” 44Andriyās aur Patras kī tarah Filippus kā watanī shahr Bait-saidā thā. 45Filippus Natanel se milā, aur us ne us se kahā, “Hameṅ wuhī shaḳhs mil gayā jis kā zikr Mūsā ne Tauret aur nabiyoṅ ne apne sahīfoṅ meṅ kiyā hai. Us kā nām Īsā bin Yūsuf hai aur wuh Nāsarat kā rahne wālā hai.”
46Natanel ne kahā, “Nāsarat? Kyā Nāsarat se koī achchhī chīz nikal saktī hai?” Filippus ne jawāb diyā, “Ā aur ḳhud dekh le.”
47Jab Īsā ne Natanel ko āte dekhā to us ne kahā, “Lo, yih sachchā Isrāīlī hai jis meṅ makr nahīṅ.”
48Natanel ne pūchhā, “Āp mujhe kahāṅ se jānte haiṅ?”
Īsā ne jawāb diyā, “Is se pahle ki Filippus ne tujhe bulāyā maiṅ ne tujhe dekhā. Tū anjīr ke daraḳht ke sāye meṅ thā.”
49Natanel ne kahā, “Ustād, āp Allāh ke Farzand haiṅ, āp Isrāīl ke Bādshāh haiṅ.”
50Īsā ne us se pūchhā, “Achchhā, merī yih bāt sun kar ki maiṅ ne tujhe anjīr ke daraḳht ke sāye meṅ dekhā tū īmān lāyā hai? Tū is se kahīṅ baṛī bāteṅ dekhegā.” 51Us ne bāt jārī rakhī, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tum āsmān ko khulā aur Allāh ke farishtoṅ ko ūpar chaṛhte aur Ibn-e-Ādam par utarte dekhoge.”

Избрани в момента:

Yūhannā 1: GVR

Маркирай стих

Споделяне

Копиране

None

Искате ли вашите акценти да бъдат запазени на всички ваши устройства? Регистрирайте се или влезте